Krishna feels ❣️

18 7 16
                                    

At night time...it was time to be on bed and the time to sleep but our dear Krishna was not in the mood to sleep ...he looked around and found his dear brother and his dear devotee sleep besides

(Forgot to tell you guys... Hanuman ji is Staying as a paying guest at Yadav house)

He quietly got up and moved towards his balcony and looked at a Perticular Flat that was visible from his balcony
P.S.- it is not Radha Rani's flat

He was constantly looking at the flat with emotional eyes

Voice: Prabhu!!

His trans was been broken by Hanuman ji's call

Shri Krishna looked behind and Found Hanuman ji near his feets

Krishna: Hanuman ji ap ? Ye toh apki yog Nidra ka samay hai na

Hanuman: ji parbhu...Parantu jab Aaradhya vichlit ho toh ek bhakt ko shanti kaise pradan ho?

Voice : haa kanha ...baat kya hai ? Ye samay toh Narayan ki Yog Nidra ka bhi hai

Kanha looked up and Found his dear brother

Kanha: Bhaiya...ap soye nahi

Ramanuj: Jab kanha vichlit ho toh uske Daau ko neend kaise aaye?

Hanuman ji: Prabhu Apki iss peeda ka karan kya hai

Kanha smiled with pain and again looked towards the flat

Kanha: Jab Sakhi peeda mein toh iss Sakha ka maan vichlit kyu na ho?

Ramanuj: Konsi Sakhi kanha?

Kanha: Meri Sakhi... Ap toh jante hai Daau...iss sansar mein jo bhi mujhe Prem se apna ta hai , prem se mujhe apna bulata hai Mai usi ka ho jata hu

Hanuman ji: Prabhu isme toh koi sandeh nahi parantu...ap kis sakhi ki baat kar rahe hai ?

Kanha pointed towards the flat

Kanha: Vaha uss ghar mein ...meri sakhi reheti hai

Ramanuj: Khushbu ?

Kanha: haa Dau Khushbu... Jo iswaqt apne jeevan mein ek atyant peeda daiee sthiti se guzar rahi hai

Hanuman ji: kaisi peeda Prabhu..

Kanha: Khushbu ki Maa ek bimari si juj rahi hai ...ise Typhoid kehete hai...iss karan ek bhay uske hirday mein Baith chuka hai ki kahi vo apni Mata ko na kho de ... Mahamari ke kal mein vo apne pita ko kho chuki hai aur ab uske parivar mein Uski maa , ek chota bhai aur vo he hai...Chintit vo apne liye nahi hai parantu apne chote bhai keliye hai kyu ki vo balak apni maa ke bina nahi reh sakta aur uspar...

Ramanuj: uspar kya kanha?

Kanha: uspar meri Sakhi ke Moh ka baan tuta hai

Ramanuj: itni kathorta vo bhi ek Kishor kal (teenage) ki ladki pe? kyu Narayan?

Kanha: Ye Moh ka ban Khushbu ne Swayam chuna tha Daau parantu apni Mata ki peeda se jo bhay uske maan mein utpann hua hai ye usse jeevan mein apne karmo ka mahatva sikhayega

Hanuman ji: arthat Prabhu?

Kanha: khushbu mein atyant bachpana hai Hanuman ji...usse apni zimmedariyon ka bhan nahi...Iss Kalyug jaise trahi mein kisi ke bhi baaton mein saralta se aa jati hai vo ...thoda kator toh uske kanha ko bhi hona hai hoga na?

The trio looked at Khushbu from their Divya Drishti

She was crying with pain

Khushbu: ap toh mere bestfriend hai na kanha? Toh fir aap mujhe aise dard mein kaise chhod sakte hai ? Apko meri ma ko theekh karna hoga...Nahi toh mai apse kabhi baat nahi karugi

Here Kanha smiled

Hanuman ji: Prabhu vaha apki bhakt ro rahi hai aur aap muskura rahe hai

Kanha: mai meri sakhi ke masum hriday ke karan muskura raha hu Hanuman...kal meri yehi sakhi mujse keh rahi the ki vo mujhse nafrat karti hai aur kabhi mujhe se baat nahi karegi aur aaj  punha mujh par adhikar jata kar keh rahi hai ki mujhe uski sahayata karni hogi

Ramanuj: ye toh bohot masum hai kanha

Kanha: Parantu iske vishwas mein ek dagmaghat hai Daau ... Nisandeh he meri ye bholi Sakhi mujhse aatyant prem karti hai aur mai bhi uss se atyat prem karta hu...Parantu Prem mein , mitrata mein , bhakti mein vishwas hona atyant aavashyak hai Daau ...Ye Manushya hai aur Manushya ki prakriti he ye hai ki vo galtiyon se seekhta hai...Jis prakar mujhe meri sakhi ki haazar galti hone par bhi vo sudhar sakti hai iss baat par purn vishwas hai... uss he prakar meri Sakhi ko bhi mujh par Purna vishwas karna padega ...

Kanha: usne ye suna hai Daau ki Shri Krishna kisi bhi sthithi mein apne mitra ko akela nahi chodte parantu uska iss baat ko samjhna... abhi shesh hai...agar jeevan ke haar acche kshan mein mai uske saath hu toh mujhe meri sakhi ko ye samjhana hai ki uske jeevan ke haar bure kshan mein bhi uske Kanha uske saath hai...

Hanuman ji: ye kaise sambhav hoga Prabhu?

Krishna: Ye swayam Khushbu ko sambhav karna hoga Hanuman ji
Parantu...mai chahta hu ki uske sahayak aap bane...

Hanuman ji: kaise Prabhu...

Kanaha : ap swayam Bhakti ka ek Parishudh roop hai...apke bina toh koi bhakti ki shakti samjh he nahi sakta

Kanha smiled

Kanaha: ab meri is Priya Sakhi ko bhakti ki shakti kaise samjhani hai...ye bhi apko he nichit karna hoga

Ramanuj: Hanuman ji toh Bhakti ki shakti samjha denge parantu vo Moh ka ban jo tuta hai ...uska kya?

Kanha smiled more wider

Kanha: Galti yehi hue hai meri Sakhi se...usne prem nahi Moh kiya...Usne prem ko Pana Chaha...

He smiled

"Pane ko he prem Kahe yehi jagat ki reet , prem aarth punha samjhayegi ab...
RADHAKRISHN ki preet" Announced Shri Krishna

Ramanuj: Arthat...vo samay aa gaya hai ?

Krishna: Haa bhaiya...ab samay aa gaya hai ki Radhakrishn ki Prem kahani iss Kalyug mein aarambh ki jaye

The Motive to bring this part :

Many people say Why to enchant the name of the one who is never seen , who never answers ...
But Only a Devotee knows that though is Dear Idol is not Responding but he feels...

Same goes with Shri Krishna too...

"Krishna feels our pain , when we are sad he is the saddest, when we are happy he is the happiest and Believe me I experienced that
Whatever the situations are he is the one who Is most affected"

Radhe Radhe ❣️🙏




Avsar - Kalyug ki Prem Gatha Dove le storie prendono vita. Scoprilo ora