Ek Dhokha

17 8 9
                                    

"Ap ye kaise kar sakte hai bhaiya?" An over raged Alok spoke while splitting fire but more pain in his voice...

Vyom Yadav the own blood and Elder brother of Alok smirked at him

Vyom: vaise he jaise karte hai...tumhare haaton mein pen diya aur sign le li

Alok: ye Ghar Mera aur mere bacchon ka hai

Vyom: aa..aa Correction!! Tha ... Ye Ghar tumhara tha ... Kal he tumne isse mere naam kiya hai

Alok: kiya nahi hai apne Dhoke se liya hai

Vyom: saboot kya hai chote? saboot chahiye na hume

Alok fisted his palm as he was helpless
Never in his Bad dreams he had wondered that his own brother would do this to him...he trusted him more than anyone in the world , he was having faith in his elder brother that his elder brother loves him very much but today his faith was broken, his trust was broken and most importantly he was broken

He was ready to shoot his elder brother with fiery words but stopped when saw 2 pairs of legs coming inside
One was Ramanuj and other was Krishna

Krishn looked at his father's condition and understood what must have happened while Ramanuj asked his Father

Ramanuj: kya hua papa? Ap itne tension mein kyu hai?

Vyom: bete vo ab tumhe Ghar chhod kar jana hoga na bas ussi ke tension mein hai

Krishn just kept staring at Vyom with angery expressions
Ramanuj looked at Kanha and understood that something fishy has been cooked up in the house

Ramanuj: matalab?

Vyom: matalab ab ye Ghar tumhara nahi raha Ramanuj beta
Ab tumhe ye Ghar chhod kar jana padega

Ramanuj looked at Kanha and then at his father

Ramanuj: papa ye...ye kya keh rahe hai?

"Ye sab... sach hai beta" regretted Alok with Trembling lips.

Vyom: tumhare papa ne ye Ghar mere naam kar diya hai

Ramanuj looked at his father who was standing silent with eye lids bowed

Vyom: Toh Alok aur Shobha 2 din...2 din ki moholat deta hu tumhe...2 din mein ye Ghar Khali ho jana chahiye

Kanha glared at His uncle with total rage but was helpless not because he the youngest in his house but because he knows that it's Vyom's karma and he have to pay for it

Vyom was leaving when Ramanuj looked at Kanha and interact through his mind

Ramanuj: kuch karo kanha

Kanha: nahi bhaiya...ye Chacha ji ke karm hai aur unke ye karm lautkar uke paas he ayege

The floor beneath Alok's Legs slipped and he sat on his knees

Krishn and Ramanuj moved towards their father for his support...

Shobha: ap kyu tension le rahe hai sab theekh ho jayega

Alok: kuch theekh nahi hoga...Ye ghar toh mujhse chin he chuka hai aur dusri taraf bahiya be mujhe business se bhi nikal diya

Krishn: ghar he toh hai papa phir ban jayega

Alok: beta bolna asan hai karna mushkil...ek vo samay tha jab Shri Krishna ke mama ne Shri Krishna ke Ghar Gokul mein Aag laga kar unhe unke ghar se dur kar diya tha aur ajj ye samay hai ki tumhare kaka ne dhoke se mujhe se iss ghar ke kagzat par sign kar ke tumhe, hume iss ghar se dur kar diya

Ramanuj: Papa ap he ne sikhaya hai ki Ghar banta hai parivar se toh hum charon ab se jaha bhi rahenge vohi Ghar hoga

Krishna: Haa baba... Aur aisa toh hai nahi na ki duniya mein kaam ki kami hai? Hum mehenat karnege aur phir se sab theekh  karenge

Shobha: suniye...vo humara Mumbai mein ek flat hai na...hum vaha chale jate hai

Alok: Nahi Shobha...Yaha Delhi jaise se shehar mein guzara karna mushkil hai...phir vo toh Mumbai hai...Maya Nagri Mumbai...vaha hum kaise guzara karenge...upar se uss flat keliye bhi har mahine ka maintenance ka cheq lagta hai...

Ramanuj: papa...ap kyu tension le rahe hai...jab tak apki Job nahi lagti mai aur Krishn music tuitions de kar kam chala lenge

Alok : tu pagal hai Krishn ki Padhiee ki umar hai...iss umar mein mai iss se kaam karau? Aur tera bhi 2nd year hai

Krishn: papa padhaiee toh tab hogi na jab paise honge aur vaise bhi mai itna bhi chota nahi hu papa akhir mujhe bhi thoda responsible toh hona padega na vaise bhi bachpan se spoon feeding ki adat hai mujhe

Shobha: suniye... bacche sahi keh rahe hai jab tak apko kam nahi mil jata yehi sahi hoga aur jab apki naukri lag jayegi tab phir ye tuitions rok denge

Alok remained silent for sometime, thinking upon his family's request

Alok: theekh hai par meri naukri lagne ke baad dono ko apni padhiee aur sirf padhiee par dhyan dena hoga ...manzur hai?

"Deal!!!" Both the brothers agreed hugging their father..

__________________________________

In Kailash

Mata Parvati : ye kya Mahadev... jeshth kuch karte kyu nahi

Mahadev: Aradhya sab theek kar sakte hai Gauri Parantu Unhe Samjhana bhi toh hai

Mata Parvati: iss peeda ko sehekar akhir Narayan kya samjhana chahte hai ?

Mahadev: Mahatva

Mata Parvati: Mahatva?

Mahadev: haa Gauri...Gauri kya kabhi tumne ye vichar Kiya hai ki vo aisi konsi visheshta hai jo Purva kal ke bacchon ko Kalyug ke bacchon se bhinn banati hai?

Mata looked at Bholenath with confusion

Mahadev: vo visheshta hai Mehenat... Dwapar yug ke bacche mehenat ka Aarth jante the...samjte the aur issiliye he parishram karte the apna bhavishya ujwal banane hetu parantu Kalyug mein aisa nahi hota Gauri... Kalyug mein Mata pita apne bacchon se itne Mohit hai ki bacche unhe Jo mangte hai vo Mata pita unhe turant la dete hai aur iss liye Kalyug ke baache swayam parishram karna he nahi chahte...
Alok Yadav ke jeevan mein aya ye bura samaya Krishn aur Ramanuj se Parishram karayega

Mata Parvati: parantu Vo toh swayam Narayan hai vo toh parishram ka Aarth bhali bhati jante hai

Mahadev: parantu...Jag ko samjhane se purv Krishn ko ye swayam bhogna hoga taki jag iss baat se Prerna le

Mata Parvati: aur Vyom? Uska kya Swami?

Mahadev: vo bhi uss paristhi ka samna karega jis paristhiti se iss samay Alok ka parivar lad raha hai taki Vyom uss peeda ka Anubhav kar sake jo peeda usne apne bhai ko di hai, use kshati pohociee hai aur jab Vyom ka maan pashyatap ki Agni mein jalega tab milega usse Shri Krishna ki oor se ek Avsar aur vaise bhi tumhe toh prasann hona chahiye Gauri...ab jald he राधाकृष्ण ek dusre ke saath honge aur ye sansar dekhenga Ki jab prem ki shakti saath hoti hai toh har badha dur hoti hai
Iss Parishram mein Devi Radha he hogi Shri Krishna ki sabse badi Shakti
Aur ab punha janega ye bhramand Prem ka mul arth

Mata Parvati smiled

__________________________________

Here the chapter ends
Hope you liked it
Do tell your reviews in the comments section
Radhe Radhe ❣️🙏

__________________________________

Avsar - Kalyug ki Prem Gatha Where stories live. Discover now