Mystery girl

253 8 4
                                    

"Main uss ladki ko nahi chhorunga..nahi chhorunga", Hadi kept saying while Mithal and his bodyguard supported Hadi on either side, as they entered the backdoor of the club. The club 'Rendezvous' was owned by Ali, Hadi's best friend. The club was situated on the ground and first floor of the building. On its second floor was a flat used for Hadi and Ali's private parties. Mithal rang the doorbell of the flat. When Ali opened the door, he was shocked at the sight in front of him. "Hadi!",he exclaimed, "Yeh sab kaise hua??". Ali moved aside as Mithal made Hadi sit on the couch of the living room. "Doctor ko bulao", Mithal ordered the guard. "Nahi!",Hadi protested,"Sabse pehle uss ladki ko mere paas le aao! Uske baad hi main apne zakhm par marham lagaunga". "Kaunsi ladki?", Ali asked confused,"Hadi please pehle doctor ko dikha it's not looking good. Mithal isse goli kaise lagi?". Mithal replied,"Ek ladki ke saath unki unban ho gayi aur usne inhe goli maar di aur bhaag gayi". "MITHAL!!", Hadi yelled, his face red with pain and humiliation,"Tum yaha khade kyun ho..uss ladki ko laao!!Sunayi nahi deta tumhe!!!". Mithal replied,"Chhote Mir woh ladki bhag gayi hai. Maine guards ko kaha hai uske gaadi par nazar rakhne ke liye...woh gaadi ke liye zarur aayegi...aap tab tak doctor ko dikha de.". Ali agreed, "Haa Hadi pehle doctor ko tujhe dekhne de phir hum uss ladki ka bhi pata laga lenge.". "Thik hai", Hadi said,"Magar Mithal baba ko iske baare mein kuch nahi pata chalna chahiye. Main iss maamle ko apne tarike se handle karunga.". "Ji,Chhote Shahji.", Mithal replied.
______________________________________

Next morning
Thank God, maine subah subah car collect kar liya, Khaani thought relieved. She had asked Anjum to keep the car in her garage until she came back from Balochistan.

Khaani was sitting in the car with Sarim. They were on their way to the airport. "Khaani",Sarim's voice broke into her thoughts. "Kya?", she asked. Sarim frowned and said,"Uss din dining table par tumhe Abul se waise baat nahi karni chahiye thi.". "Maine Aisa kya keh diya?", Khaani replied defensively,"Bas wohi kaha ho sach hai. Woh dragon lady usse tumse zyada favour kar rahi hai elections mein. Woh uske campaigns mein participate karengi, uske rallies mein speech dengi aur tumne uska campaign budget dekha hai? Tumhare campaign budget se teen guna zyada hai!". Sarim argued,"Haan, kyuki Karachi ko jeetna bohot mushkil waha ki seat humesha PDP jeet ti hai. Toh zaahir si baat hai waha pe funding aur mehnat zyada deni paregi. Aur Sibi-".
"Sibi ki seat last time PDP ne jeeta tha. Haa abhi waha anti-incumbency hai aur floods ke time pe tumhare contribution ko media mein bohot highlight kiya gaya tha...par woh do saal purani baat hai.", Khaani argued back,"Yeh tumhara pehla election hai don't you think tumhe national level pe thoda aur highlight karna chahiye tha - jaise Daadi aur taaya humesha Abul ko karte hai?". Sarim replied,"Usse kya fark padta hai?Mera focus abhi Sibi hai". Khaani said,"That's great. For the election. Lekin uske baad kya?Tum saari zindagi bhar Sibi ke MNA banke to nahi rahoge ....tumhe apne political future ka bhi sochna chahiye. Tumne dekha nahi uss din taayi-ammi ne kaise sabke saamne bol diya ke Abul party ka future hai aur Daadi ne taaya ne unse kuch nahi kaha.". Sarim sighed and said,"Tum bohot overthink kar rahi ho unki baat ko. Aur waise bhi unn logo bachpan se Abul ko taiyyar Kiya tha party to head karne ke liye ab achanak main aa gaya to unka apne bete ke liye concerned hona to banta hai. Aur rahi baat mere political future ki to woh khud banaunga. Uske liye mujhe Dadi aur party ke sahare ki zarurat nahi.". There was complete silence in the car until Khaani said,"Main jaanti hu tumhe apne political career ke liye kisi ko sahara nahi banana lekin main yaha haq ki baat kar rahi hu. Uss ghar mein rules aur traditions ko humesha logo se zyada tawajju mili hai. Tradition ke hisaab se party ke agla leader ghar ke bade bete ko banna chahiye. Magar main jab se yaha aayi hu dekh rahi hu ke tumhari jagah Abul ko favour kiya ja raha hai..party office mein aur ghar mein bhi." Sarim tried to reason with her,"Khaani woh college ke time se party mein hai..ussne party ke student wing ko bakhoobi sambhala hai. Tum maano ya na maano lekin aaj uski party mein jo position hai woh uski apni kabiliyat ke wajah se hai...inn do saalo mein maine iss baat ko note kiya hai. Uske comparison mein mujhe time hi kitna hua hai iss field mein. Ab achanak agar main sabse yeh expect karu ke sab mujhe Abul jaisi importance de...toh kya yeh sahi hoga? Isse log mere aur khilaf nahi ho jayenge? Main chahta hu party mein log meri izzat mera kaam dekh kar kare na ki iss liye ke main iss family se belong karta hu.". Khaani didn't say anything. She knew there was no point arguing with her brother. Sarim, though a reasonable man, could be annoyingly dogged about his principles and integrity. Abul was a manipulative snake, Khaani knew it. And Sarim was too trusting. It would be a child's play for Abul to trap Sarim. Mom sahi kehti thi, Khaani thought, Sarim bohot simple hai. Usse logo ke mind games samaj mein nahi aayegi. Mujhe Sarim aur uske aas paas ke logo pe nazar rakhni paregi, especially Abul.
______________________________________

Khaani: Mera Dushman Mera IshqWhere stories live. Discover now