AUSPICIOUS POOJA

1.2K 81 14
                                    

It's 3:00 a.m, midnight,
Neil and Aarohi's room,
Neil hears a strange voice near the dressing table, so he wakes up, as it was dark he turns the lights on and sees, that Aarohi was searching something in her purse.

Neil: Aarohi... Raat ke teen baje tum itni awaaz karke apne purse mein kya dundh rahi ho??.... Aur tum toh so gayi thi na... Ab wapas kyu uthi ho??.....
Aarohi: awaaz karne keliye sorry.... Par mein mera chips ka packet dhundh rahi hu....
Neil: kya?.....
Aarohi (scream): mere chips ka packet....
Neil: chipkali.....pehle toh tum Zara dheere bolo sab so rahe hai..... Aur 'kya' se mera matlab tha 'kyu'.... Kyu dhund rahi ho chips ka packet??.....
Aarohi: chamgadar.... raat ke teen baje koi insaan chips ka packet kyu dhunde ga??......
Neil: kyu?....
Aarohi: ofcourse jab usse bhuk lagi ho tabhi dhunde ga..... Ab uth hi gaye ho toh timepass maat Karo meri help kardo dhundne me....
Neil: woh....chips dhundne ka koi fayda nahi hai.... Kyunki dupher ko nishtha humare room se chips ka packet leke gayi thi.....
Aarohi: (sadly) ohh.....toh ab mein kya khaungi?....
Neil: fridge mein baccha hua khana hoga... Woh khalo...
Aarohi: meine check kiya tha.... Par Sara khana dinner ke wakt hi khatam hogya tha aur kuch nahi baccha tha...
Neil: toh khud kuch bana ke khalo.....
Aarohi: chamgadar tumhe saach me lagta hai ki mujhe khana banana aata hai.....aaj baadi mushkil se moong dal ka halwa banaya tha.... Mujhe hi pata hai kitni mehnat se recipe dhunde thi
Neil: toh ussi recipe ko use karlena ab.... Aur bana lo halwa....
Aarohi: mujhe mitha nahi.... Kuch spicy khana hai.....
(Neil holds aaru's hand and takes her towards the kitchen)

(Neil holds aaru's hand and takes her towards the kitchen)

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

In the kitchen,
Aarohi: Neil.... Hum kitchen mein kyu aaye he.... Meine check kiya tha fridge me kuch nahi hai....
Neil: tum bas chup-chap khadi raho.... Mein humare liye spicy noodles banata hu..... Ek to tumse baat karte karte mujhe bhi bhuk lagne lagi hai.....
Aarohi: chamgadar....(shocked and confused) Kya tumhe sacch mein noddles banane aate hai?
Neil: haa.... Bilkul.... Tum bas mujhe 15-20 minutes do...
Aaru: Okay...but noddles spicy hone chahiye....
Neil: hmm....
(Neil starts preparing the noodles and within 20 minutes they were ready.)
At dinning table,
Aarohi: aree waah.... Khushbu toh aachi aa rahi hai....taste ka pata nahi kaisi hai.....
Neil: tum taste toh Karo..... bohot tasty bane hai....
(They both together take a bite.)
Neil: kaise bane hai??....
Aarohi: hmm.... Aache he....
Neil: Oo chipkali.... Adhi raat ko meine tumhare liye itne tasty spicy noodles banaye hai..... Aur tum bas 'aache he' keh rahi ho....
Aarohi: oo chamgadar..... Tumne bhi mere itne tasty moong dal ke halwe ko (mimicking Neil)..."aacha he".... Yeh hi complement diya tha....
Neil: ohh...waise halwa bohot tasty tha...
Aarohi: toh fir to ye noddles bhi bohot delicious bane hai....
(They both laugh at silly 'complement' discussion. Then they start eating.)
Neil: wese... Aarohi tum dinner ke wakt hi jyada khana khaya Karo... Fir tumhe bhuk bhi nahi lagegi aur tumhari neend bhi kharab nahi hogi
Aarohi: wese tum sahi keh rahe ho... Par dinner ke wakt me acche se khana kha leti hu..... Par medical student hoo na.... Toh raat bhar padhne ke aadat hai aur fir padhai karte karte bhuk lag hi jati thi.... Issi liye main mere sath chips ka packet rakhti hu....
Neil: ohh..... toh tumhare bhuk ki wajah padhai hai....
Aarohi: haa... Essa hi kuch samajh lo... aacha mera kha ke hogya hai....
Neil: mera bhi kha ke hogya hai.... Toh ab chale sone...
Aaru: Ha chalo....
(After keeping the dishes in the sink they both went to the room.)
Aarohi: Neil please lights off kardo.... Aur haa tumhe ek aur baar warn kar rahi hu.... agar tumhe mere neend mein mere haath ya pair lage na toh mujhe blame bilkul mat karna....
Neil: ha....ha.... Aur rahi baat tumhare haath pairo se.... Toh mujhe the great wall of pillows baccha legi...
Aaru: okay.... toh fir good night...
Neil: sweet dreams....

HUM TUM mile Where stories live. Discover now