Truth Revealed.

169 14 5
                                    

Mishti pushed Abir with a great force and he fell at some distance. She held her sword in an attacking way and before Abir could get up, she lept over him to kill him. Mishti was over Abir and just as she was going to insert her sword inside his chest, her hands stopped. Everyone including Abir and except Rajveer were shocked that why Mishti didn't kill Abir. But only Rajveer knew that reason. Her love overpowered her. She reminisces Abir's smiling face, his attempts to make her laugh, his tries to befriend her.

"Logon ka pata nahi, lekin tumhare liye meri niyat bilkul saaf hai. Dost banogi??"

"Mai woh insaan ban-na chahta hoon jiske saamne tumhe apne emotions chupane na padein."

Abir looked in her eyes and was left confused. The eyes which were showing utter rage a few seconds ago had many emotions now but for him it was not the time to know what emotions they were.

Mishti didn't want to kill him but as Abir didn't know that kaal pari is his love lady Mishti, he took its advantage and attacked her, this time not with sword. It was to save himself. And while this attacking and defending, Mishti's turban came off her head revealing her long black hair. Abir was not able to see her face as she was facing her back towards him and her hair was covering her face. He held her arm and turned her towards himself with a jerk and got the biggest shock of his life.

Abir (almost in a whisper)- Mishti!!

Mishti got her arm released and signs everyone to leave. Everyone, without any questions left the place. Now, it was only Abir and Mishti present there. Abir was not able to form his words. He didn't know what to speak. Mishti was also silent. She could see many emotions in his eyes. Emotions of hurt, anger, disappointment and betrayal. After about 15 minutes of silence, Abir spoke.

Abir- kyun?? Kyun kiya yeh?? I mean murders?? I can't believe this. Kyun kiya yeh sab??

Mishti didn't speak anything.

Abir- mai aaj tak sochta raha ke tumhari family nahi rahi iss liye tum aisi chidchidi ho. Jab pyar kiya tha toh socha tha ke tumhe har khushi dene ki koshish karunga, tumhe hasna sikhaunga, pyar karna sikhaunga. Log kehte the ke tum ruthless ho. Maine socha ke iss pyar mein mai tumhari ruthlessness ko kindness mein badal doonga lekin yeh possible hi nahi hai kyunke tum sirf ruthless nahi ho. Tum heartless bhi ho.

Mishti looked towards Abir but still didn't speak anything.

Abir- mujhe toh yakeen nahi ho raha ke maine ek atankwaadi se pyar kiya hai. Open firing aur bomb blasts ko side mein rakhte hai, har atankwaadi karta hai aur na mai uss waqt tumhe janta tha par do do officers ka murder, woh bhi itni berehemi se?? (Now Mishti was getting angry) ek baar bhi tumhare haath nahi kampe? (He held her face and made her look in his eyes) kyun kiya yeh?? (Angrily) i said answer me damn it.

Mishti (angrily, getting her face released)- haan kiya maine. Maine maara unhe. (Showing her hands) inhi haathon se maara.

Abir- kyun?? Tumne ek baar bhi nahi socha ke unke gharwalon ka kya hoga, unke parivaar ka kya hoga?? Poora parivaar tha unka, jo tumhari wajha se bikhar gaya.

Mishti (angrily)- mera bhi parivaar tha, jo unki wajha se khatam ho gaya. (Abir's anger subsided a little hearing Mishti) koi insaan apni maa ki kokh se atankwaadi paida nahi hota. Usske halaat ussey atankwaadi banate hain.

Abir- tum paagal ho chuki ho. Dr. Mishti Maheshwari, u yourself need a doctor. Dimag kharaab ho gaya hai tumhara. You have lost it.

Mishti (angrily)- haan. Hoon mai pagal. I know it, kissi ko mujhe bataane ki zarurat nahi hai. I AM a psycho. (Like a psycho) khoon khaulta tha mera unhe dekh ke, dimaag ka paara chadh jata tha.

Mishti- Tum nahi samjhoge ke kaisa feel hota hai jab aapke baba ko koi atankwaadi kahe, kaisa feel hota hai jab aapko atankwaadi ki beti ka tag mil jaye, nahi samjhoge tum. Bomb blast mein mare the na tumhare baba? Unhe marte huye dekha tha?? Unki laash dekhi thi?? Nahi na. Lekin phir bhi atankwaadiyon ke liye itni nafrat paal li ke atankwaadi khatam karne ke liye tum bhaiyon ne intelligence join kar li. Mera kya han?? Maine apni aankhon se apne parivaar ko marte huye dekha hai.

Abir eyes widened hearing Mishti.

Mishti- humari aankhon ke saamne maara tha unn teeno ne humare parivaar ko.

Abir- humare??

Mishti- mere aur Kirti ke. I'm not at all surprised that u r not surprised. Mujhe pata hai ke tum yeh baat jaante ho ke Kirti meri behen hai. Kyunke jis din tum Rajveer se milne aaye the, mai wahin thi. Woh meri hi gaadi theek kar raha tha. Sab kuch suna tha maine.

Abir- toh fine. Bataao. Kis raat ki baat kar rahe the tum dono aur kya hua tha uss raat. (Mishti didn't speak) (angrily) bolo.

Mishti- murder. Ek nahi char char murder. Baba police ke khabri the. Unn teeno officers ko maa sundar lagi. Uss waqt paise ki tangi thi. Unn teeno ne paison ke badle maa ko maanga tha jo baba ne manha kar diya. Baba ne khabri ka kaam bhi chhod diya lekin woh peeche nahi hatey. 13 saal pehle, 12 January ko maa ka b'day celebrate karne hum 11 January ke din humare farmhouse chale gaye, jo ek sunn saan ilaake main tha. 12 tareekh ko raat mein baba kuch khane ke liye laane gaye lekin 2 ghante baad khaali haath laute, bahut darey huye. Woh teeno officers humare ghar tak pahunch gaye. Mai aur Kirti chhote the toh humein chhupne ke liye kaha gaya. Woh log darwaza tod ke andar aa gaye aur...

Mishti tells him everything. Abir was super shocked. Tears were rolling down his eyes.

Mishti- 10 saal ka bacha ek chhoti si chot se behta khoon dekh ke bhi dar jata hai lekin humne toh humari family ka murder dekha tha. Meri family ke khoon se nahaai thi mai. Tum Inspector Rawat and inspector Prashant ki laash nahi dekh paa rahe the. Lekin humne apne maa baba ko apni aankhon ke saamne kat-te huye dekha tha. Mere baba ke saamne maa ka rape kiya tha unhone. Yeh sab asaan nahi tha. Mujhe gundon se bachaane ke liye mujhe chalti train se phenka tha Kirti ne. Woh aaj tak yeh samajhti hai ke ussne meri jaan le li. Toh kaise zinda chhod doon mai unhe??

Abir reminisces Kirti's words.

"Teri wajha se maine meri behen ko maar daala."

" Meri maa chahiye thi tujhe?? Mai deti hoon. ruk."

"Kirti woh ACP nahi hai!!"

Abir was all in tears but Mishti didn't have a single drop of tears in her eyes, as if her tears have dried during all these years.

Abir- kanoon ko apne haath mein lene ki kya zarurat thi?? Kanoon ki madad bhi toh le sakti thi.

Mishti- paise nahi the mere paas. Ek raat mein sadak pe aa gayi thi mai. Aur chalo maan lo ke maine kanoon ki help le bhi li, toh kanoon kya kar leta?? Kuch nahi. Woh log officers the. Ya toh judge aur wakeel ko ghoos de ke bach jate, paise ki kami toh thi nahi unhe, ya unhe saza kam milti.

Abir- unhe maarne se tumhari family toh wapis nahi aayi na.

Mishti- family wapis nahi aayi, par dil ko sakoon bahut mila.

Abir was not able to hold any more. Without thinking anything, he hugged Mishti tightly. Firstly, she was taken aback but then wrapped her arms around him, leaning on him. Her chain of thoughts broke when she heard some noise. Abir was going backwards and he mistakenly stepped on a dried stick. Mishti then realised that Abir never hugged her and it was just her imagination. She thought that she lost her love as well. Abir left from there without saying anything.

On other hand all the Rajvanshs were tensed about Abir's whereabouts. His phone and Karan's phone, both were switched off and they had no idea where he was.




Precap:- Farz Ya Mohabbat??

Farz Ya Mohabbat....Where stories live. Discover now