Abir's Confession.

158 16 2
                                    

Tej turns to face a super angry Mishti standing there. Mishti just calmed herself and went to Karan.

Mishti- sir yeh priya ke murder case ki file. Aaj subha hi woh mujrim pakde gaye hain aur ab parso unhe saza sunaayi jayegi.

Karan takes the file. They then discuss kaal pari's case and how to safeguard the other 2 officers.

It was evening. All were about to leave when Tej again did something that angered Mishti. She lashes out at him and left furiously. Abir followed her.

Abir- Mishti!!!

Mishti- mujhe kuch nahi sun-na. Leave me alone.

Abir- nahi. Kya ho gaya achaanak se?? Uss din toh...

Mishti- uss din jo hua galti se hua.

Abir- hasna galti nahi hoti Mishti. Jaise gussa karna ek emotion hai, waise hi hasna bhi ek emotion hai.

Mishti- mujhe koi lecture nahi sun-na.

Abir- mai lecture nahi de raha hoon. Mai ek dost hone ke naate apni dost ki khushi chahta hoon iss liye keh raha hoon.

Mishti- kaun dost, kiska dost??? Hum friends nahi hain.

Abir- tum maano chahe naa mano, mai tumhe apna dost maanta hoon. Aur shayad uss-se jyada bhi.

Mishti (confused)- matlab??

Abir- chalo mere saath. Batata hoon.

Mishti- mujhe kahin nahi jana.

Abir- Shhhhh!! Chalo.

He took her to a park where many children were playing, people were doing their evening walks.

Mishti- tum mujhe yahaan kyun laaye ho??

Abir- taan ke tumhara mind relax ho sake. Kehte hain khuli hawa mein saans lene se stress kam hota hai.

They both start walking. Though Mishti knew that she needs to ignore Abir but was not able to do so.

Abir- ab bataao.

Mishti- kya??

Abir- ke psychologist hone ke bawajood, tumhe itna gussa kaise aata hai. (Mishti was silent) come on Mishti, you can share. Kehte hain baantne se, khushi badhti hai aur dukh kam hote hain. So.

Mishti- mai meri problems se khud deal kar sakti hoon tumhe beech mein padne ki zarurat nahi hai. Tum bas mujhe yeh bataao ke tum mujhe yahaan kyun laaye ho bcoz yeh stress releasing is not the actual reason.

Abir (surprised)- arrey waah Angry Chorni!!! Tum toh bahut smart ho gayi ho han.

Mishti- chorni?? Maine kya churaya??

Abir- mera dil.

Mishti went silent for a minute and then spoke...

Mishti- agar tumhe yahi bakwaas karni hai toh I'm leaving. (Leaves)

Abir- arrey yaar mujhe jo kehna tha woh toh sun leti... Angry Chorni!!!

Abir signs someone to go. Mishti was going towards the park exit when suddenly, a little boy collided with her.

Mishti- oh! Sorry. Lagi toh nahi??

The boy didn't reply and gave her a rose (of course without thorns.) And a card.

Mishti- yeh kissne diya??

He again didn't reply anything and ran away. Mishti was confused that who had sent it. She started reading the card.

Card- Aasman mein sitaare to bohot hai...
Par Chaand mein kuch aalag hi baat hai ..
Duniya mein chahre to bohot hai...

Par aap mein kuch alag hi baat hai...

Mishti was still confused when an another girl came with a rose. Same as previous one, she gave her the rose and ran away. Children were coming, giving her roses and running away. This happened at least 6 times and now Mishti was irritated. So, Mishti caught hold of the seventh child and sternly asked him to tell whose sending all these. The child gets scared and pointed towards her back. She left the child and he ran away. She turned and found a tall guy holding some roses to his face. She got to know who he was. ABIR!!

Mishti- yeh sab kya hai??

Abir- izhaar.

Mishti somewhere knew what was going to happen. She was wishing that what she's thinking should not become true, but not all the wishes are fulfilled, and so was Mishti's case.

Abir- please shaanti se pehle meri baat sun lena. Kaafi time se mai yeh baat kehna chahta tha par himmat nahi kar paya. Jitne bhi logon ne tumhare baare mein bataya, sabne negative hi bataya. Tumhari yeh chhoti si naak pe itna bada gussa 24/7 baitha rehta hai, kabhi hasti nahi ho, muskuraati nahi ho, ruthless ho. Yeh woh sab hai jo tumne logon ko apne baare mein yakeen dilwaya hua hai lekin kabhi kabhi tumhari aankhein tumhare words ka, tumhare actions ka saath nahi deti. Mujhe koi idea nahi hai ke tumhari life mein aisa kya hua hoga jisne tumhe aisa bana diya aur mai woh sab jaan-na chahta hoon. Tum apne emotions chupane mein maahir ho lekin mai woh insaan ban-na chahta hoon jiske saamne tumhe apne emotions chupane na padein. Pehli baar jab tumhe hastey huye dekha tha na toh laga ke waqt tham gaya ho. Jab tum mujhe ignore karti ho toh aise lagta hai jaise saans ruk gayi ho. Tum kab meri life ka itna important part ban gayi, pata hi nahi chala. Ab, mai sirf ek baat kehna chahta hoon ke... Ms. Mishti Maheshwari, I Love You.

Mishti had her eyes wide open.









Precap:- Abir sees Mishti with Rajveer.

Farz Ya Mohabbat....Where stories live. Discover now