Som's fear

441 58 15
                                    

Continue with previous part.....

Som (while hiding behind the pillar whispered)- kal puchki wapas aa rahi hai.......

Suresh- par kaka kal to sourabh ke vivah me bhi jaana hai na.......

Anirudh- dada aap uski Chinta mat kijiye puchki shaam tak aayegi tab tak to hum aa bhi jaayenge........

Suresh- achcha tab thik hai........

Trilochan - arey arey ab baate bahut ho gayi ab sab sone jaao raat bahut ho gayi hai........

Everyone - ji......

(and everyone went to their respective room Anirudh went to som's room)

Anirudh - Som!.....

Som - dada aap yaha is samay!......

Anirudh - puchki se baat kyu nahi ki som?.......

Som - dada kal baat karte hai na mujhe nind aa rahi hai.......

Anirudh (stongly) - maine puchha puchki se baat kyu nahi ki tumne som.......

(but getting no response)

Anirudh (little loudly) - jawaab do som (while calming himself) som mujhe nahi pataa ki 5 saal pahle aisa kya hua tha mujhe bataao som kyu baat nahi karte tum som bataao na som kahi isliye to nahi ki puchki hamaari apni behan nahi hai kahi yahi baat to nahi hai na som.......

Som (with teary eyes) - nahi dada main to aisa soch bhi nahi sakta uske aane se hi to hamaara pariwar pura hua hai uske aane se ab raksha bandhan ke din hamaari kalaai (wrist) suni nahi rahti uske liye main aisa kabhi soch nahi sakta jaan hai wo meri dada.......

Anirudh - phir baat kyu nahi karte tum puchki se som dekho som main jaanta hoon tum puchki se bahut pyaar karte ho jaan hai wo tumhaari wo tumhaare liye bahut khaas hai bataao som kyu nahi karte tum usse baat jaante ho kitna udaas ho gayi thi wo jawaab do som bataao mujhe........

Som ( with closed eyes) -  kyuki DARTA HOON MAIN.......

Anirudh - darte ho? kis baat se som......

Som ( with teary eyes) - Darta hoon puchki se baat karne se darta hoon ki kahi maine usse baat ki aur apne aap ko sambhal nahi paya kamzor pad gya to wo kaise sambhalegi apne aap ko. Jaante hai dada mere liye puchki se khaas koi nahi hai jitna aap batuk se pyar karte hai na utna hi main bhi puchki se pyar karta hoon aap nahi jaante dada 5 saal kaise bitaaye hai maine uske bina bahut pyaar karta hoon main apni chhoti behan se dada aur aaj jab wo wapas aa rahi hai to main bataa nahi sakta ki main kitna khush hoon.... dada wo wapas aa rahi hai... hamaari puchki wapas aa rahi hai main bahut bahut bahut khush hoon dada.......

(And he hugged anirudh and anirudh caressed his hair)

Anirudh - main bhi bahut khush hoon som......

(then they separated)

Anirudh - chalo ab baat bahut ho gayi hai ab tum bhi so jaao kal puchki ke aane ki tyaariyaan bhi to karni hai na agar uska swagat achchhe se nahi kiya to jaante ho na wo kya kahegi........

Som - haan dada (while mimicking her) ye kya rudhy dada buddhu ram aise swagat karenge aap sab Roy Choudharyon ki beti ka itna fika  arey Roy Choudharyon ki beti aai hai jasna to banta hai na........

(and they both start laughing)

Anirudh - haan bachpan me bhi to aisa hi karti thi na baat - baat par rone lag jaati thi aur phir kaka, baba, ya maa se hamaari shikayat karti thi jaane kitni badi ho gayi hogi na 6 saal se dekha nahi use main to pahchaan bhi nahi paaunga.......

Barrister babu_ ANIDITA Where stories live. Discover now