51

513 74 39
                                    

Anand- Nahi toh kya.... Vivek jee!

Vishakha- zyada kuch nhi wohi karenge jo aapke bhai aur unki patni ke sath kiya. Bas fark itna hoga ki iss baar aapka wo bhatija Munna uski wo so sweet biwi Swati aur pyari si Siya hongi. Aur kya pata wo aapki bhatiji aur uska beta bhi...

Anand- you...!

Vivek- Don't you dare to raise your voice Anand... Don't you dare... Tumhe pta bhi nhi hai hum kya kya kar sakte hai.

Vishakha walks towards sofa with full of attitude and sits on it crossing her legs, smiling proudly like she done something good work, pouring water in glass from jug she sipped it. Vivek comes and stand front of Anand, looking directly in his eyes with full of rage.

Vivek- bevkoof mat bano Anand, yehi bevkufi tumhare bhai ne ki thi, agar us waqt wo humari baat man leta toh aaj wo aur uski biwi zinda hote, par nahi imandari, khuddari ka toh jaise usne theka le rakha tha, Us raat itni achhi deal leke mai uske pass gya tha, Mai uski company muh mangi kimat pe kharidna chahta tha aur badle me paison ke sath sath use apna timber ka business dene ka wada bhi kiya.

Anand- Jo ki illigal tha.....

Vivek- Kuch bhi illigal nhi tha, arey issues kis bussiness me nhi hote hai, thode issues the jo ki kuch paise pay kar ke resolve ho jate. Par nhi usne toh apne man ki hi karni thi, jo ki bhi, badle me mila kya... Maut! Actually galti meri hi hai, mujhe pehle sab kuch achhe se check kar lena chahiye tha, har window, har door.

Vishakha- Look ab hume aisa kam dubara karne me zara sa bhi regret nhi feel hoga, humne shuru se hi tumhare pariwar ki life hell banai hai, yaad hai na. Apni meethi-meethi baton me us Rama aur Rakesh ko behka ke Vivek ko mauka diya jisse wo ghar ke charo taraf petrol dal sake, fir bahane se Rama ko kitchen me lejake use waha lock kar diya, jab Rakesh ko pata chala ki Rama kitchen me locked hai toh wo use bachane nikal gya.

Vivek- aur jab Rakesh us lock ko todne ki koshish kar raha tha tabhi humne living room me petrol dala aur bahar aa ke aag laga dii. Us ghar ko dur se jalte hue dekh kar jaise dil ko ek sukun sa aaya. Socha Rakesh Agarwal aur uska pura pariwar khatm. Par us Rakesh ne hoshiyari dikhai, apne bete ko picche ki window se bhaga diya, aur beti ko tumhe de diya. Agar hume pata hota ki tum bhi aane wale ho toh tumhe bhi unke sath bhasm kar dete toh aaj ye naubat hi nahi aati.

Vishakha- Humara bad luck ye bhi nikla ki us Rakesh ki beti se mere bete Sameer ko pyar ho gya. Sameer is one and only way tha humare liye Maheshawari Umpire hasil karne ka, maine aur Vivek me full proof plan banaya tha ki hum Sameer ki shadi ek high society ki bigdi hui ladki se kara kar use apne plan me shamil karte aur dheere-dheere sara Maheshwari Umpire hathiya lete. Par jab tak mai kuch karne ke liye sochti, papa ne un dono ki shadi kara di. Us waqt toh maine kuch nhi bola, fir humne plan banaya ki yaha aake is Naina nam ki problem ko ki khatam kar dete hai.

Vivek- Aur humne kiya bhi, wo ladki divorse papers sign kar ke yaha se bina kisi ko bataye chali gyi, hum fir se apne purane plan ko excute karne me lag gye, par hume kaha pata tha ki wo Sameer devdas ban jayega aur sab kuch samet ke London chala jayega. aur agar hume us naina ke yaha rehte hue me ye pata hota ki wo pregnent hai toh us sapole ko pehle marte fir use ghar se nikalte, kyuki uske baad wo khud mar jati, sab kuch kho kar. Priti ko bhi us Sameer ne apne jaisa bana diya, us gandi nali ke keede Pandit ne meri beti apne pyar ke jaal me fasa liya, aur humari beti ne apne maa-baap ki jagah us do kaudi ke ladke ko chuna, Priti ke liye bhi humne Mumbai ke ek billonare ke bete ka rishta pakka kiya tha, humari lottry lagne wali thi but wo bhi pani me beh gyi.

Vishakha- Itna emotional card khela par us ladki pe koi asar nhi hua, humne usse rishta tak tod liya par fir bhi koi farak nhi pada. Akhirkar usne us gande khoon Pandit se shadi kar hi lee. Aur sath diya mere hi papa aur bete ne. Par abhi huamre pass Sameer nam ki ek umeed baki thi, mai roz use call karti, emotional baten karti jisse use pura yakin ho jaye ki mai uska bhala chahti hu aur usse bhut pyar karti hu. Infact humne yahi Ahemdabaad ke Parekh's ki beti Sunaina ki shadi Sameer se fix kar di, mujhe pura yakin tha ki Sameer India aayega toh mai use convince kar lungi iss shadi ke liye. Sab kuch thik se chal raha tha humara plan bhi set tha, par na jane us Pandit ko wo Naina kaha se mil gyi.

maina~meri nainaWhere stories live. Discover now