🤍{ 2 }🤍

929 140 36
                                    

رستم - 𝑹𝒖𝒔𝒕𝒂𝒎

"Saba... tum pagal to nhi ho gyi ho?" Irfan raised his voice. "Aapne Shehnaaz ka haath maanga Sidharth ke liye?"

"Haa...To usme kya badi baat ho gyi? Sidharth ki shaadi to karwani hi thi na hume... Aur waha Shehnaaz ke liye bhi ladka doondh rha tha, to humne jaake baat Karli". Saba said casually.

"Aur humse ek baar poochna zaruri nhi samjha?" Irfan asked to which Saba lowered her gaze. She intentionally avoided this conversation with Irfan as she knew he would have disagreed.

"Hume jo sahi laga humne wahi kiya". Saba said looking to the other side.

"Ye? Ye hai aapka sahi?" Irfan seethed. "Shehnaaz ki umar ka andaaza hai aapko? Sirf 19 saal ki hai wo. Aap to usse beti bolti thi na? Koi apni beti ke saath aise karta hai kya?"

"Aap aise kyu bol rhe hai jaise humne uski zindgi barbaad karne ke liye ye Rishta tey kiya hai? Bataiye Sidharth mein aisi kya kami hai? Wo divorcee hai, uska ek baccha hai, aap hi bolte the na ke ye sab kami nhi hai?" Saba asked.

"To maine kab bola kami hai usme? Yaha mai Shehnaaz ki baat kar rhi hu. Arre... bacchi hai wo. Kuch samajh nhi hai usse ke ghar kaise chalana hota hai aur upar se ab usko ek baccha bhi paalna hai".

"Kabhi na kabhi to usko seekhna hi tha ye sab. Shaadi ke baad sab seekh legi". Saba said with a straight face.

"Aur uski padhai?" Irfan asked. "Itni brilliant ladki hai wo... Ab uske career ka kya hoga? Wo apni college complete kar paayegi?"

"Wo sab uske shohar ka decision hoga. Agar Sidharth nhi to koi aur. Salim miyan uski shaadi karaake hi dum lenge. Tab to ye uske shohar ka hi decision hoga na". Saba justified.

"Agar Salim bhai kisi galatfehmi ki wajah se uski shaadi karaarahe hai, to uss galatfehmi to dur karna ka kaam to humara haina. Wo humari college mein padti thi. Hume to sacchai pata haina, ke usse koi galti nhi hui hai. Par tum unki majboori ka fayda utha rhe ho. Uske do rishte toott gye, ye mauka dekh ke tum apne Bhai ka Rishta leke gyi".

"Pani sar pe upar se jaa chuka hai. Ab ye masla sametna humare haath mein nhi hai. Pehle hi uske baare mein jhooti khabre poore khandan mein phail chuki hai. Isiliye koi Rishta karna hi nhi chahta usse. Aise mein jo mujhe theek laga maine wahi kiya". Saba said without meeting her eyes with her husband.

"Shehnaaz maan gyi rishte ke liye?" Irfan asked fisting his hand.

"Uske gharwaale mana lenge".

"Aur Sidharth..."

"Wo aap mujhpar chod dijiye... Usko maanna hi padega iss baar".

"Tum bohot galat kar rhi ho Saba, Shehnaaz ke saath".

"Shayad haa... Par mere bhai ke liye yahi sahi hai". Saba said coldly.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Nov 18, 2023 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

𝑸𝓪𝓵𝓫 -𝓔-𝑵𝓪𝓪𝔃 🤍ft. sɪᴅɴᴀᴀᴢ Where stories live. Discover now