Naina's letter

2.7K 103 13
                                    

"Khushi,

Beta, jab tak tum ye letter par rahi hogi... main shayed tab tak iss duniya main hi na rahu. Abhi jab main ye khat likh rahi hu, tum mere pet me ho. Main tumhari har ek kick aur movement ko mehsoos kar rahi hu. Mujhe aaj hi pata chala ki tumhari papa aur meri pyaar ki nishani banke ek nanhi si pari ane wali hai. Magar I'm so sorry, beta ke main tumhare saath nahi hu. Iske pichhe ek bohot bara raaz hai jo aaj main tumhe tumhari biswi janam din par batana chahti hu.

Main tumhari maa, Naina Singh Ahluwalia hu. Tumhare papa ka naam tha Rajveer Singh Shikhawat, jo Indian Army me ek Captain huya karte the. Tumhara asli naam hai... Khushi Singh Ahluwalia. Mere surname hai kyu ki tumare papa aur meri shaadi nahi huyi thi. Isliye nahi ki hum karna nahi chahte the. Balki isliye... kyuki iss desh ke dushmano ne hume ek hone hi nahi diya.

Ye kahani shuru huyi tab jab tumhare mama... yani ke mere bare bhai, Captain Naveen Singh Ahluwalia ko fasaya gaya aur unko deshdrohi karar kiya gaya. Uss ghatna ke baad maine army join karne ka faisla kiya... Apne bhai ko nirdosh sabit karne. Meri journey shuru huyi teen saal baad Kanchajanga Military Academy se. Academy ke pehli din main mere panch saathi se mili jo age jake meri sabse achhe dost ban gaye; Aalekh Sharma, Amardeep Huda, Ali Baig, Yadhuvansh Sahni and Pooja Ghai. Hum chheyo (6) ke alag alag maksad the army join karne ke pichhe, par kab wo maksad badal gaye aur humara rasta aur manzil ek ban gaye hume khud pata hi nahi chala.

Agle din jab humare classes shuru huye to hum humare respected faculty members se mile; Brigadier Chandok, Major Nair, Captain Rajveer, Dr. Captain Shalini, Dr. Ritu, Subedar Suri, aur Subedar Lolita."

/

/

/

"Mission me jane se thik kuch der pehle, Rajveer sir ne mujhe ek recorder diya aur meri zindegi ka sabse bhayankar sach bataya. Unhone kaha ke Naveen bhai ko... unke best friend ko... unhone hi goli mari thi. Khushi, main tut gayi thi. Apna sudbudh kho chuki thi. Sahi aur galat ka difference bhul gayi thi. Aur isi chakkar me mission ke dauran maine Rajveer sir ko... goli maardi."

/

/

/

"Uss mission ke baad bohot kuch badal gaya tha. Maine apni zindegi ki dusri galati ki. Maine Naveen bhai ke batchmate, Captain Abhimanyu Rai Chauhan ko call karke KMA bulaya. Wo friendly the aur ghamandhi bhi. Wo Rajveer sir se bohot jalte the kyuke anath hokar bhi Rajveer sir nesab kuch khud hasil kiya tha jaha wo Barmer ka Yuvraj hote huye bhi apne baba sa ke niche dabe huye the.

Yaha maine apne gussa aur nafrat me tumhare papa ko bohot bhala bura sunaya... ek bar nehi... bohot bar. Wo kehte hai na... ki hum jinse sabse jyada pyaar karte hai unhiko sabse jyada chot pohchate hai. Unhone kabhi mera saath dena nehi chhora... Tab bhi jab main unka saath nahi chahti thi. Naveen bhai ki recorder me se jab maine unki akhri moments ko kayi bar suna to dhire dhire ye ehsaas huya ki Rajveer sir ki isme koi galati thi hi nahi. Naveen bhai ne unse bhik mangi thi apni maut. Bhai apne jigri dost ke haato marna chahte the, naki apni dushmano ke haato. Rajveer sir, jo Naveen bhai ko apna parivaar mante the tut gaye the. Unhe apne hi haato apni parivaar ko khatam karna para tha. Jab samajh me aya, main unki aur bhi jyada respect karne lagi thi. Par tab tak unki sabar ki badh bhi tut chuka tha aur wo bhi mujhse naraz rehne lage.

Main tab ye samajh nahi payi thi ke meri narazgi se wo ek bar phir se tut gaye the aur pagalo ki tarha Naveen bhai ko nirdosh sabit karne mein jut gaye the. Jab dushmano ko pata chala ki wo sachchayi ke kitne kareeb pohch gaye the to unn logo ne Rajveer sir ko kidnap karwa liya. Thankfully, main, Pooja, Ali, aur Huda milke unhe waha se bacha le aye par hum uss desh ki dushman ka chehra nahi dekh paye. Beta, tumhe pata hai wo to mujhse itna naraz the ki unhone sabko thanks bola par mujhe nahi."

My solemn promise (Crossover of Raina and Arshi) *Comeplete*Where stories live. Discover now