XIV. Anubhav's Marriage 2

1.1K 118 11
                                    

Continued...

Hassena halted her car near an old factory. She was in civil. She got down the car infront a man.

"Namaste Maddamsir!"

"Namaste baad mein karna, pehle information do. Keh rahe the ki bohot important hai."

"Are Maddamsir, Bohot badi khabar haath lagi hai. Voh Dhiraj Kumar hai na? Vahi jo hatiyar on ki hera pheri karta hai. Atankvadiyon tak hatiyar supply karta hai"

"Hum usse jaante hai, aab uske age bhi toh kuch bolo?"

"Voh Lucknow mein hai. Aapni bhanji ki shaadi karane vala hai. Koi Sheena naam ki ladki hai...", The informer said.

"Sheena? Kahi yeh vahi Sheena toh nahi hai?", Hassena thought.

"Aaisa bhi ho sakta hai ki Sheena bhi unn sab se mili hui hai...", Informer said.

"Agar yeh vahi Sheena hi hai toh Anubhav sir unse shaadi kyu kar rahe hai?", Hassena thought.

-----------

At Evening,

Karishma had come to headquarters to meet Anubhav and confront him over marrying some else girl. She had came in Lunch time but he wasn't in headquarters.  She was mad at him. She never expressed but, she couldn't give her ‘Bhabhi’ title to anyone else than Hassena.

Karishma entered Anubhav's cabin. She saw him working on some files.

"Jai Hind sir!", She said entering the cabin.

Anubhav was suddenly startled and immediately closed the file. He looked at Karishma who was looking at him with anger.

"Kya hua aap aaise achanak Mukhyalay kyu ayi hai Karishma Singh?", Anubhav asked avoiding eye contact.

"Bhaiya..."

"Sirr!", Anubhav reprimanded her.

"Lekin, humko toh aapne Bhaiya se baat karna hai..."

"Yeh Mukhyalay hai Karishma Singh, yaha par hum aapke senior hai, iss sheher ke DSP, aur aap SI Karishma Singh. Toh aapko aapne bhai se jo bhi baat karni hai off-duty kar lena. Aab yadi aapko niji kary kar atirikt kary hai toh kahiye. Hume bohot kaam hai...", He said sternly.

"Lekin humko aapse bohot jaruri baat karna hai. Yeh aapke jindagi ka sawal hai aap samajh kyu nahi rahe. Aapke liye Maddamsir hi ek matr jeevan sathi hai.", Karishma tried to make him understand.

"Lekin shaadi karne ke liye prem hona bohot avashyak hota hai Karishma Singh. Aur hum Hassena Mallik se prem nahi karte hai... Hum Sheena se prem karte hai...", Anubhav said.

"Accha aap Sheena se pyaar karte hai?", Karishma asked sarcastically.

"Karishma Singh!! Kripa karke aap yaha se jaye varna aaisa na ho ki hum aapko aaisa kuch bole jisse aapko bura lage"

"Nahi bhaiya aaj nahi. Aaj toh aapko hamare sawalon ka jawab dena hi padega. Hum aapki choti behen hai, aur jaante hai ki Maddamsir aapse kitna pyaar karti hai. Aap unke pyaar ko kaise thukra sakte hai?", Karishma questioned angrily.

"Karishma Singh, aap hamari choti behen hai kintu aapko keval aapne Maddamsir ki chinta hai aapne bhai ki nahi."

Karishma eyed him confusingly.

"Hamara vivah yadi Sheena se ho gaye toh aapki Maddamsir ko taklif hogi kintu aapke bhai ke sukh ke vishay mein ek baar bhi nahi socha aapne...", Anubhav said emotionally with a heavy voice.

"Hamare kehna ka yeh matlab na...".

"Nahi rehne dijiye. Aapki baaton se saaf saaf jahir ho raha hai ki aab jab aapke paas Hassena Mallik hai toh aapko aaise bhai ki kya jarurat hai... Jisne aapke Maddamsir ko aapne pyaar ke jaal mein phasaya. Aapki najron mein abhi hum Dhokhebaaz hai haina? Toh thik hai yadi aapko hamari, iss bhai behen ke rishte ki avashyakta nahi hai toh hume bhi koi avashyakta nahi hai...", Anubhav said wiping the lone tear escaped his eye.

"Bhaiya..."

"Sir, hume bhaiya kehne ka hak ab aap kho chuki hai.. abhi toh hum keval Sheena se hi Shaadi Karenge", Anubhav said determined.

Karishma was on verge of crying. She tried to speak but Anubhav's mobile rang. Anubhav received the call and went out from the cabin, without speaking a word to her. Karishma stood their expression less.

------------

At night,

"Kya soch rahi hai Patni ji?", Karishma's husband asked as he witnessed her thinking something. "Are hum bhi kya puch rahe hai? Aap Jarur Anu bhaiya ke baarein mein hi soch rahi hogi", He said and sat next to her.

"Aapko kaise pata?", Karishma asked amused.

"Jab se humne suna hai ki voh kisi Sheena naam ki ladki se shaadi kar rahe hai tabhi se hum unhi ke baarein mein soch rahe hai. Hume toh laga tha ki voh Hassena madam se pyar karte hai ", he said in disappointment.

"Hume bhi aaisa hi laga tha. Lekin, hume na Bhaiya ka bartav kuch ajeeb sa hi laga. Aaj jab hum unse unki shaadi ke baarein mein baat karne gaye, tab unhone hume aapni behen manne se mana kar diya", Karishma said sadly. Tears filled her eyes.

"Kya? Aap sach keh rahi hai?", Karishma nodded.

"Ek baat puche Patidev?", He hummed. "Agar aapko aapke dost aur hamare bich mein kisi ko chunna ho toh aap kisi chunenge?", Karishma asked.

"Yeh kaisa betuka sawal hai Karishma? Dono rishte alag alag hai. Dono ka mehetva saman hai. Aaise kaise chun sakte hai?", Her husband said and chuckled.

Karishma thought for a while.

-------

Next day,

Hassena rang Anubhav's door bell. She wasn't nervous but determined.  It was Maa who opened the door. Hassena passed a smile to her. Maa just gave her a small weak smile.

"Kya hua Aunty ji, aapki tabiyat toh thik hai?", Hassena asked worriedly.

"Meri tabiyat bilkul thik hai. Vaise tu yaha achanak se? Koi kaam tha?"

"Ha voh hume DSP sir se kuch kaam tha"

"Toh main bula du usse niche? Nahi ek kaam kar tu hi usse jakar mil le.", Maa insisted.

"Thik hai...", Hassena smiled awkwardly and moved towards Anubhav's room.

She was gonna push the door open when she saw him talking to himself. She stopped for sometime to listen what he is saying. As he kept talking to himself, her eyes widened in shock, surprise and confusion...

-To be continued

Date:- 5th January 2022

Sorry if this chapter seemed to be even a little bit boring.

So here is the second part of Series ‘Anubhav's marriage’. Stay tuned for the next parts. Also, Comment down and vote if you liked it. Next part kab ayega I don't know. Whenever I'll complete it, I'll publish it.

AnuSeena Shots/Series/ER -by JanescripterWhere stories live. Discover now