VI. The Emotions

1.5K 105 14
                                    

It's a continuation of Haunted Hotel Rajput series.

-----------

"Thank you so much madam, sir, aur aapki puri team. Aap sab ke karan aab main nishchint hokar aapna hotel chala sakta hun. Mujhe aab dar kar rehne ki koi jarurat nahi hai",
Nitin said.

"Of course aab aap bina kisi tension ke aapna business kar sakte hai but aapko hume thanks bolne ki jarurat nahi hai. Yeh hamara farz tha. But, kal aapko hamare thaane mein iss sab ki ek official complaint file karni padegi inke against.",
Hassena informed.

"Ofcourse. Lekin abhi bohot raat ho gayi hai toh aap log yahi ruk jaeye na. Vaise bhi aapne abhi tak check out nahi kiya hai",
Nitin insisted.

"Ha madam dekhiye na kitna accha hotel hai. Hum yaha rahenge toh kitna maza ayega. Ha keh dijiye na.",
Santosh too joined.

"Lekin hum iss Harsh ka kya kare?",
Anubhav asked.

"Hum force ko maangva dete hai aur isse unke saath hi bhej dene. Aab sab ka itna maan hai toh ruk jate haina Maddamsir",
Karishma said.

"Thik hai. Hum ruk jate hai",
Hassena said.

"Yay!!!"

"Lekin lekin... Hum kal subah yaha se chale jayenge thik hai"

"Thik hai Maddamsir!"

The force came and took away Harsh.

"Main aapke rooms book karva deta hun.",
Nitin said and called the receptionist.

The receptionist came after some time and Nitin explained her everything. She was happy after listening that Anubhav is not married.

"Okay. Main aapke rooms book karva deti hun. Vaise DSP sir main aapka bhi room book karva deti hun",
She said in a little flirty tone.

Hassena fisted her hand to control her anger.

"Yeh ladki firse Anubhav se flirt kar rahi hai. Kya kare hum iska",
Hassena thought angrily.

"Nahi koi jarurat nahi hai. Unke naam se hum room book kar denge. Aur shayad aapko pata nahi hai ki Anubhav hamare pati na sahi par par... Hamare boyfriend hai",
Hassena said angrily.

All looked at her confusingly and shocked. Here, the most shocked person was Anubhav himself. She rejected him on the holi day then why was she referring him as her boyfriend.

Without thinking for a moment he dragged Hassena away from the group.

"Hassena ji, aap kya kar rahi hai. Hamara abhinay khatam ho chuka hai. Aap kyu hume aapna boyfriend bata rahi hai. Bhuliye maat ki vaha Mahila Police Thaana ke staff bhi hai jinpar hume vishwas nahi hai ki kab kiske saamne kya bol de. Aaise mein agar unhone kisi jaan pehchaan vale ko bata diya toh?",
Anubhav blabbered infront of her.

"Chup!",
She shouted.

"Mahila Police Thaana ke logon ki chinta aap maat kijiye hum unhe samjha denge. Lekin aap ko kyu itna fark pad raha hai ki humne uss receptionist yeh kehne par ki hum dono relationship mein hai. Kahi voh receptionist aapko pasand toh nahi aa gayi?",
Hassena asked dramatically (means in short like Pushpa ji 😂)

"Pehli baat toh aap Pushpa ji se jara duri banaye rakhe unka asar ho raha hai aapke upar. Aur dusri baat ki aap overreact kar rahi hai. Humne kab kaha ki hume uss receptionist mein koi Ruchi hai. Jisse prem karte hai usse toh prem swikar nahi....",
Anubhav taunted Hassena indirectly.
(Abb yaar Hassena ki sangat ka bhi koi asar hua hoga na)

"Ek minute, aap na topic change maat kijiye."

"Humne kab topic change kiya?"

"Aapne change kiya hai topic. Aap hume kyu bich mein la rahe hai?",
Hassena questioned.

"Humne kab aapko bich mein laya? Aap toh aapne aap bich mein aa gayi. Aapne swayam aapne mukh se uss receptionist ko kaha na ki aap humse prem karti hai... Aab voh bholi ko kya pata ki aap humse prem nahi karti...",
Anubhav argued.

"Ek minute, humne aapse kab aaisa kaha ki hum aapse pyaar nahi karte...",
Hassena said but soon realised what she had said. She cursed herself in mind for spilling out everything.

Anubhav smirked listening to her.

"Kya kaha aapne?",
Anubhav asked in order to tease her.
"Iska matlab aap manti hai aap humse prem karti hai?",
Anubhav asked again.

"Humne kab aaisa kaha?",
Hassena questioned.

"Aapne abhi toh kaha...."

"Humne aaisa kuch na kaha... Hum aapse pyaar.... Matlab...",
Hassena fumbled avoiding any eye contact.

Anubhav smiled listening to her. He was happy that atleast she still loves him.

"Aapko chipane ki awashyakta nahi hai Hassena ji. Hum jaante hai ki aap hamse kitna prem karti hai. Par aap maan na nahi chahti kyuki aapko lagta hai ki hum dubara aapko dokha denge. Haina?",
Anubhav asked seriously.

Hassena was short of words. She didn't get how to answer to his questions.

"Aap yadi chahe toh aab hume bhulakar move on kar sakti hai. Hamara kya hai hum aab tak bina kisi ke prem ke ji rahe the. Age bhi jee lenge. Parantu hamare liye aapke marzi aur khushi ke age kuch nahi hai.",
Anubhav said emotionally and walked away.

Anubhav and Hassena remembered all the things again and that memories pierced their heart. Hassena couldn't ever think of moving on from him because she loves him and could not change it then.

Hassena followed his retreating figure. They reached the lobby.

"Hum Lucknow laut rahe hai. Kintu aap yaha reh sakte hai",
Anubhav said and walked towards the stairs for his luggage.

Everyone noticed the change in his behaviour and voice. His voice was heavy.

"Hum bhi nahi rukenge."

"Par maddamsir",
Pushpa ji tried to reason out.

"Nahi Pushpa ji. Hume bohot saare kaam hai. Please insist maat kijiye. Hum ja rahe hai par aap yahi ruk jaeye. Aap sabhi ko hamari kasam",
She said and walked away to their room.


Date:- 3rd November 2021

AnuSeena Shots/Series/ER -by Janescripterحيث تعيش القصص. اكتشف الآن