BRAHMADEV IS CAPTURED

513 60 3
                                    

Brahmadev was compelled to give his darshan to Tarkasur because of the Laghottar tap, he had no other option.

"Brahmadev, kya meri tapasya safal huyi ?" Tarkasur asked.

"Vardaan maango Tarkasur." Brahmadev said half-heartedly. He knew this is going to make matters only worse for the universe.

"Mujhe vardaan de Brahmadev, ki mere dwara banayi vyuh rachna ko koi na bhed sake, na akele aur na samuh mei." Tarkasur said.

"Tathastu." Brahmadev sighed.

Here at Kailash, Mahadev has been training Kartikeya for a while, and he was getting better and better each day.

But Mata Parvati still wasn't sure whether Kartikeya was ready to fight the terrible Tarkasur, after all he was still very young.

Mahadev had told Kartikeya that he needs to prove his worthiness to Mata Parvati, only then he can be deemed fit to go.

Currently, he was roaming outside thinking of a way he can make Mata Parvati believe he is ready.

'Sabhi gano ko yudh ka awahan du toh kadachit Mata ko mere bal par vishwas ho ? Ya devo ko yudh ka awahan du apna samarthya dikhane hetu ?' He wondered.

Suddenly he noticed Brahmadev, hurriedly walking with his head high, to meet Mahadev and talk to him about the situation of Tarkasur.

"Pranam." Kartikeya greeted.

But instead of blessing him, Brahmadev didn't even look at him and went ahead. Kartikeya frowned at his behaviour.

"Dwarpal ho ya Raja, tiraskar toh kabhi kisi ka nahi karna chahiye

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Dwarpal ho ya Raja, tiraskar toh kabhi kisi ka nahi karna chahiye. Fir chahe woh swayam Shrishti ke racheta hi kyu na ho." Kartikeya muttered.

He thought for a moment as to how he will make Brahmadev, the creator, realise his mistake. And then an idea came to him mind.

Kartikeya ran towards Brahmadev and quickly came in front of him stopping his way.

"Pranam Brahmadev, aapko akasmat yaha rokne hetu mai kshama prarthi hu. Kintu mere man mei ek jigyasa hai, ek prashn hai. Kripa kar use shaant kare prabhu." Kartikeya said.

"Aisi kaunsi jigyasa hai putra, jo mai prabhu Mahadev se bhet ke baad shaant nahi kar sakta ?" Brahmadev said.

"Mera prashn toh aapke liye atyant saral hai prabhu." Kartikeya said.

"Uchit hai. Pucho." Brahmadev said.

"Shrishti ke racheta hone ke nate, aap mujhe shrishti ke aadhar kahe jane wale pranav shabd Om ka arth samjhane ki kripa kare." Kartikeya said.

"Uchit kaha putra, yeh prashn toh mere arthat Shrishti ke racheta ke liye atyant saral hai." Brahmadev said smiling.

"Toh samjhane ki kripa kare." Kartikeya said.

"Ek baar prabhu Mahadev ne swayam kaha tha ki shrishti ke aarambh mei unke mukh se ek swar prakat huya tha, aur wahi swar Omkar hai." Brahmadev said.

"Aapne mujhe Om ke Rahasya ko nahi, apetu uske utpatti ke baare mei bataya." Kartikeya said. Brahmadev frowned at that.

"Issi liye mai samajhta hu ki shrishti abhi ayogya hatho mei hai. Ab jab tak aap pranav shabd Om ka arth nahi jaan jate tab tak shrishti ki rachna ka dhyan mai swayam rakhunga." Kartikeya said.

Kartikeya raised his hand and an energy barrier formed around Brahmadev, capturing him. The warrior God then sat down and went into meditation, while Brahmadev tried to get out but failed.

"Aayu mei chhote hone par bhi, Kartikeya ne mujhe bandhi bana kar uchit nahi kiya. Ab toh keval Mahadev hi mujhe apne putra ke bandhan se chhuda sakte hai." Brahmadev said.

He sat down and started chanting the name of Mahadev to come and free him from this barrier.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

ABHI MAJA AAYEGA !!!

CAUSE NEXT CHAPTER IS AWESOME !!

HARIHARESHWARI 6 : BHAYEMEVASTI SHATRUHA Where stories live. Discover now