NO FOOD

541 58 12
                                    

Mata Parvati was preparing food in the kitchen for today's feast, when Amarsri and Srinav approached her.

"Pranam Mata." They both greeted.

"Kalyanamstu. Aaj itne jaldi aagaye tum dono ?" Mata Parvati asked.

"Woh aaj Pitashree Narayan le aaye iss liye." Amarsri said.

"Thik kiya. Akhir tum dono samaye par jo aagaye." Mata Parvati said and chuckled.

"Mata, waise hum 8 log hai bhojan hetu kintu keval 7 thaliya ?" Srinav asked.

"Ha putra. Mai sadev woh hi bhojan karti hu jo Mahadev chhod dete hai." Mata Parvati said.

"Kintu yadi aapko adhik bhook lagi toh ?" Amarsri asked.

"Swami ka mere liye bhojan chhodna yeh dikhata hai ki unko sadev mera smaran rehta hai. Yeh Pratik hai unka mere prati apaar sneh ka. Iss liye mujhe kitni bhi bhook kyu na lagi ho, mai keval unhi ke thali se khayungi." Mata Parvati said.

"Mujhe toh bhojan ke sugandh se hi bhook lag gayi." Srinav said.

"Kuch shan aur mere putra, fir bhojan ban jayega. Tab tak aasan grahan karlo." Mata Parvati smiled.

Amarsri and Srinav took her leave and took their seat where rest of the Tridev and Tridevis were sitting. Soon Mata Parvati came and served everyone with food.

"Behen Parvati, sugandh se hi bhojan ke swaad ka anuman lag raha hai." Narayan said.

"Ha devi, bhojan toh atyant swadisht dikh raha hai." Mata Laxmi said.

"Ab prasansha hi karte rahenge ya khayenge bhi ?" Mata Parvati said.

All of them started eating, looking at them enjoying the tasty food Mata Parvati also felt hungry. She looked Mahadev, and wondered how much will he leave for her.

But today Mahadev wasn't planning to leave anything for her. For he had promised Narayan, to finish all his food.

Soon everyone finished eating, Brahmadev and Mata Saraswati went back to Brahmalok, Narayan and Mata Laxmi with Mahadev went outside.

"Aayiye Mata, mai aapki sahayata kardu ?" Amarsri asked.

"Hum kritarth honge." Srinav said.

"Uchit hai. Rasoi mei jitna bhojan hai woh gano ko paros do." Mata Parvati said.

"Awashya." Both agreed and took the food from the kitchen outside.

Mata Parvati finally sat down at Mahadev's aasan where his plate was kept covered with a palm leaf. As she removed the leaf, Mata Parvati was shocked seeing no food.

"Swami ne mere liye bhojan nahi chhoda ? Asambhav. Yeh kisi aur ki thali hogi." Mata Parvati said and went to the kitchen.

Reaching there she saw the rest of the plates were washed and neatly kept meaning that plate was indeed of Mahadev.

She looked for some food in the kitchen but found none and then remembered she had told Amarsri and Srinav to serve them to the Gans.

"Maine sabke liye bhojan banaya aur mere liye hi bhojan shesh nahi bacha ? Aur Mahadev ne bhi mere liye bhojan nahi chhoda. Mujhe itni bhook lagi hai, ab mai kya grahan karu ?" Mata Parvati muttered.

"Behen Parvati ?" Narayan appeared there.

"Bhrata Narayan, aap yaha ?" She asked.

"Aapki chinta ho rahi thi. Aapne sabke bhojan banaya kintu swayam kuch nahi khaya. Aapka bhrata hone ke naate mai yeh sunishchit karne aaya tha ki aapne bhojan kiya ya nahi." Narayan said.

"Nahi Bhrata, Swami ne mere liye kuch bhi nahi chhoda." Mata Parvati said.

"Kuch nahi chhoda ? Yeh toh Mahadev ne sarvatha anuchit kiya. Pati ka daitwa hota hai patni ka dhyan rakhna. Srinav ko hi dekh lijiye, jab tak Amarsri ke mukh mei niwala nahi jaata tab tak use kitni bhi bhook kyu na lagi ho woh bhojan ko sparsh bhi nahi karta. Aur Mahadev bina sunishchit kiye ki aapne bhojan kiya ya nahi, kaise jaa sakte hai ?" Narayan said.

Mata Parvati frowned wondering how can Mahadev do such a thing to her.

"Behen Parvati, jaa ke Mahadev se prashn karo, ki woh aisa kaise kar sakte hai ? Unhone jaan bujh kar sampoorn bhojan kyu kiya ? Tumhare liye kyu kuch nahi chhoda ? Jao pucho." Narayan said.

"Uchit kaha aapne Bharta, Mahadev mere saath aisa kaise kar sakte ?" Mata Parvati said angrily.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

UH OH, MATA PARVATI IS ANGRY AND SHE IS HUNGRY ALSO.

EMPTY STOMACH AND ANGER...VERY DEADLY COMBINATION.

HARIHARESHWARI 6 : BHAYEMEVASTI SHATRUHA Where stories live. Discover now