3. ENTRY OF PURVI

604 40 12
                                    

5 years passed & no one knows about where Kavin is. DGP tried to contact Kavin many times in those 5 years but what DGP found is only that phone which he gave to Kavin to contact him.

DGP (pov) : 5 saal ho gaye lekin Kavin ka kuch ata pata nahi hai.. Sirf yeh phone.. Mujhe dar hai ki Kavin... Mujhe use is mission pe bhejna hi nahi chahiye tha.. I just hope ki vo thik ho..

"Desh ke liye marna mere liye garv ki baat hai sir"

DGP : Desh ke liye tumhe jeena hi hoga Kavin.. Desh ko tum jaise officers ki zaroorat hai..

On the other hand, a girl wearing formals, hair tied in high pony tail enters inside a cabin.

Girl (smile) : Good morning sir..

Boss (serious face) : Good morning..

Girl (mind) : Aaj Dushyant sir ko kya hua hai..? Chahe kitne bhi kaam kyun na ho vo mujhe hamesha smile dete hi hai.. Shayad aaj kuch zyada hi pareshaan hai.. Kya tum bhi Purvi..?

Purvi : Dushyant sir.. Aap kuch pareshaan lag rahe hai.. Sab thik tho hai na..?

Dush : Ha.. Sab thik hai.. Tum jaa ke apna kaam karo..

Purvi (mind) : Aaj itne khadoos kyun ban rahe hai..? Aaj pukka inhe kuch hua hai.. Abhi test kar ke dekhti hu..

Purvi : Sir, kya aap kuch lenge..? Chai, coffee ya phir aapka favourite cappuccino..?

Dushyant (straight face) : Nahi.. Tum jaake apna kaam karo..

Purvi : Ok sir..

She was about to go from there when suddenly another girl comes in running.

Girl (breathing heavily) : Sorry sir... Aaj mai traffic mei phas gayi hu isliye late ho gayi..

Dushyant (angry) : Kya tumhe nahi pata ki mujhe late aane walon se kitni nafrat hai..??

Purvi & the girl looked in confusion.

Purvi (mind) : Sir ko zaroor kuch hua hai.. Varna vo unki dost Nisha ko daant rahe hai jo roj late aati hai.. Anyway chal Purvi kaam karo..

Purvi goes from there along with Nisha. Dushyant was seeing some files when he found a file in which there was biodata of Purvi. He sees that she used to be a crime reporter.

Dushyant calls Purvi in his cabin. She enters with a cup of cappuccino.. She gives the cup to him.

Dushyant : Yeh kya hai..?

Purvi : Aapki cappuccino..

Dushyant : Mujhe nahi chahiye..

Purvi looks at the clock & it was morning 10:30 am. She looks at Dushyant in confusion. Dushyant looks at her.

Dushyant : Aise kyun dekh rahi ho..?

Purvi : Aap ke andar koi bhoot ghusa hai kya..? Nahi, vaise tho har roj subah 10:30 baje tak cappuccino aapke desk pe nahi hota tha tho aap hungama khada kar dete lekin aaj aap keh rahe hai ki cuppa chino chahiye hi nahi..

Dushyant : Vo aaj mera mood nahi hai..

Purvi : Ok.. Vaise sir aapne mujhe bulaya kyun..?

Dushyant : Tum crime reporter ho..?

Purvi : Hu nahi thi.. Kisi aur ki galti ki wajah se ab nahi rahi.. Kyun aap yeh sab kyun puch rahe hai..?

Dushyant : Mujhe tumhari madad chahiye..

Purvi : Kaisi madad..?

Dushyant : Mujhe kisi ke baare mei pata lagana hai..

Purvi (teasing smile) : Kaun hai vo ladki..?

Dushyant : Ladki nahi ladka hai..

Purvi (shocked) : What..????

Dushyant : Chakkar nahi chal raha hai mera.. Mera dost hai..

Purvi : Phir thik hai.. Vaise kya naam aapke is dost ka...?

Dushyant : Kavin Khanna.. Ips officer..

Purvi was freezed at her place hearing what Dushyant said..

Dushyant : Kya hua..? Kya tum jaanti ho ki Kavin kaun hai..?

Purvi : Nahi.. Vo IPS officer hai tho khud aa jaayenge na.. Bachchhe thodi hai jinhe mai dhundhu..?

Dushyant : 5 saal ho gaye uska kuch ata pata nahi hai..

Purvi : Phir kaha gaye vo..?

Dushyant : Pata nahi.. Bas mujhe itna pata hai ki usko uske DGP sir ne ek secret mission pe bheja hai..

Purvi : Secret mission...?? Tho kya mai bhi us secret mission pe jaau unhe dhundh ne..? Vo bhi AKELE..?

Dushyant : Nahi.. Secret mission pe tho nahi jaana hai bas Kavin ke baare mei pata lagana hai..

Purvi : Tho ab kya mai po--police ke paas jaau..?

Dushyant : Ha.. Chalo station mei chal ke puch tach karte hai..

SOULFUL : THE STORY OF SOULSWhere stories live. Discover now