Mysterious Man

754 53 3
                                    

The man was in his 30s. There in the living room Raghav's parents and pandit ji came and were taking out date for their marriage. Anirudh was feeling to stop it right now. But thakuma's sentences were ringing in his ears.

Flashback starts :

Thakuma - Ab to tu 14 ki hone wali hai tere paas ye bahana bhi nahi ki baal vivah nahi ho sakta. Vaise bhi ye to hona hi tha.

Flashback ends

Suddenly Bondita's sound came from her room. She was shouting and crying. Thakuma thought that she is shouting so that pandit ji and Raghav's parents go away so she said that a mad girl sometimes comes near their house. But Ani was very worried so he sneeked into Bondita's room. Bondita now was in in a corner crying. Ani went to her.

Anirudh - Kya hua Bondita.

Bondita - Vo tha vahan pe jo mujhe le jana chahata hai.

Ani - Tum mujhe shuru se batao Bondita. Tum use janti thi? Aur tum pehle Raghav se shadi karne ke liye khush thi ab nahi ho.

Bondita - Mai batati hoon Raghav aur meri dosti bohot achi thi. Hum dono hamesha ek dusre ke saath hi milte the. Thakuma ne yeh dekh ke ye tay kiya ki hum dono ka vivah hoga. Hum dono ke liye ye gudde gudiyon ka khel tha, hame lagta tha ki agar hum dono ka vivah hoga toh hum din bhar khelenge. Par ye nahi pata tha ki shadi ek khel nahi sat janmo ka bandhan hai. Baba bal vivah nahi hone dena chahte the unhone thakuma ko samjhane ki bohot koshish ki lekin jab vo nahi mani to baba mujhe aur maa ko leke Krishnanagar se bahar ek gaon mein leke chale gaye aur hum tino vahan rehne lage. Ek din ek aadmi mujhe ghoor raha tha, maine baba ko bataya unhone usse poocha ki vo mujhe kyon ghoor raha hai to voh vahan se bhag gaya. Usi raat humare ek rishtedar ke ghar mein shadi thi aur baarat jaani thi to maa kaki ki madad karne ke liye gayi thi. Hamara ghar ek sunsan se ilake mein tha. Aaspas koi ghar nahi tha. Mai or baba ghar par the. Tabhi darwaze par khatkhatane ki awaz ayi. Darwaza khola to dekha ki bahar wahi aadmi tha jo mujhe ghoor raha tha. Uske haath mein ek chaku tha. Vo mujhse kehne laga ki main uski patni Urmila hoon
aur meri taraf aane laga. Baba ne jab use rokne ki koshish ki to usne kaha vo pehle baba ko hi khatam karega. Usne baba ko kuch sunghaya jiski vajah se vo behosh ho gaye. Phir usne mujhe ghar ke andar band kar ke Baba ke samne sanp chod diya. Saanp ne baba ko kaat liya par isse pehle vo mujhe le jata paas ke gaonvale jo meri chikh sunkar aa gaye the. Unhe dekh kar vo vahan se bhag gaya. Uske baad vo kahin nahi mila.

She cried bitterly.

********************
Sorry if  mistakes wrote it in a hurry.

What is this happening to me?Kde žijí příběhy. Začni objevovat