Taiji came inside pushing her slightly, splitting her venom, "aate hi teri manhoos surat dekh li... kitni baar kaha hai ki saamne mat aaya kar.... itne dinon baad toh meri tabiyat theek huyi hai aur dekho phir se iska saaya pad gaya mujh par... pata nahin ab kya bura hoga mere saath..."

Flashback (in village)

Taiji was very much frustrated that even after following all instructions told her by God, her wishes didn't get fulfilled... moreover she get good scolding from Tauji also when she explained the reason for her weird behavior which humiliates him more in front of whole family and society...

Tauji shouted on her foolishness, "tumhara dimaag kahin charne gaya tha ki aisi fizool ki baaton ko sach maan liya... pakka tumne koi sapna dekha hoga varna bhagwan kaise tumhein darshan dene aa sakte hai... tumhari wajah se saare rishtedaaron mein hamara majaak bana aur do mahine se akale yahaan gaon mein pade hai... mere kaam ka kitna nuksaan hua hai voh alag... aur upar se vahaan Anand ne jab se Naina ki shaadi karwayi hai saare rishtedaar uske hi gungaan kar rahe hai..."

Taiji determined to take revenge from all, "ghar pahunch kar sabko batati hun ki kaise badon ke bina unhone shaadi bhi kara di... koi samman nahin bacha badon ka Anand Bela ki najron mein...huh... kitni mannat maangi thi ki yeh shaadi rok sakun par itni mehanat ke baad bhi sab gadbad ho gaya..."

Flashback ends

Naina starts leaving inside her room to check on Chachiji, ignoring her rants when Taiji shouts from back, "ab kahaan chali maharani.. shaadi kya huyi, apni aukaat bhool gayi... aur voh Bela maharani kahaan hai... yeh nahin ki jethani aayi hai toh aakar paer chhuye... arey bado ke aashirwad se hi itna naam kamaya hai aur badon ki hi izzat nahin in logon ko... kuchh din mein ghar se baahar kya gayi, saara naksha hi bigad gaya hai iss ghar ka toh..."

Naina replied softly, "ji Taiji voh Chachiji ki tabiyat kharaab hai... unhein bohot tej bukhaar hai, andar aaraam kar rahi hai... aap bethiye, mein Chai paani laati hun aap logon ke liye..." she moved to kitchen to make tea for them while the fat lady keep cursing the poor soul, "ab tera saaya padega toh bimaar toh hona hi hai... kitni baar kaha hai iss manhoos se dur raho par nahin, jab dekho isse seene se lagaye ghumate hai donon... humein kya mare ya jiye..."

Pralay came out listening his parents voice excitedly when Taiji pulled her towards her, "arey Pralay babu, aap kahaan iss manhoos ke paas khade ho.. kitni baat kaha hai na ki isase dur raha karo... yeh manhoos hai... isake paas nahin jaate..."

Pralay removed her hand from his arms rushed to Naina, "nahin Mummy, Didi bohot achchhi hai... mujhse kitna pyaar karti hai... aap nahin the toh sabne mera kitan dhyaan rakha... aap aaj ke baad meri didi ko kuchh nahin kahoge..." he said with a stern tone making them shocked...

Naina caressed his head lovingly, "Pralay, mummy papa aapse bade hai na toh aise nahin bolte... aap jaao aur apna homework kar lo aur Chachiji ka dhyaan rakhna... mein abhi aayi..." Pralay smiled nodded his head and left inside the room, "okay.. didi.. par aap jaldi aana, mujhe aapse bohot saari baatein karni hai.." Naina too went to get tea and snacks for them avoiding them...

Taiji gets shocked seeing Pralay's behavior, "dekha aapne... isne mere bachche par bhi kaala jaadu kar diya... hamesha meri baat maanta tha aur aaj mujhe hi aankhen dikha raha tha... isse toh mein nahin chhodungi... mere ghar mein aag laga kar isse chen se nahin rehne dungi mein..."

Tauji said slowly, "Beena, akkal toh sabki thikane lagani hai par dhyaan rahe ab yeh un bade ghar walon ki bahu hai... kahin tumhara kiya hum par hi bhaari na pad jaaye... vaise bhi suna hai bade gungaan karte hai voh sab in donon ladkiyon ke... sar par chada rakha hai donon ko..."

Kuchh Ankahi Baatein - Part 2 (Completed)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें