INSANE LOVE

492 48 58
                                    

{PLEASE IGNORE THE SPELLING AND THE GRAMMAR MISTAKES}

*_*_*_*_*_*_*

Same night,
Kamya is driving her car with the overspeed. The other vehicles on the road and the people on the footpath get scared by her speed. At one point, her car passes a bike leaving a micro-inch distance. The biker was indeed lucky to survive at that moment. But Kamya ignores him. The people around there get scared more and more. Everyone is cursing her. But her ears have gone deaf after hearing Neil's talk about Haseena and Anubhav. Her eyes see nothing but Haseena's face is flashing in front of her black eyes filled with rage.

She stops her harsh driving near a cliff. She gets out of the car and sits on the bonnet. Her eyes are as red as the fresh blood fell from a living body. Her breathing was as fast as the wind flows during the time of the storm. 

"Kya yaar Kamya? Aap khud itni samajhdaar hain. Yeh sab drama dekhkar pata nahi chala ki yeh hain kaun?"

"Arey ab kaise samjhaye aapko? Simple si toh baat hain, Kamya. Woh ladki hain, aur Anu ek ladke. Aur kya bataye hum aapko?"

"Kamya, unn ladki ka ek naam bhi hain. Haseena! Jaisi shakal hain waisa hi naam hain. Apne Anu ke liye ek dum suit karti hain. Aapko toh khush hona chahiye yaar ki aapke dost ki bhi zindagi set ho gayi. Aur rahi baat gussa karne ki toh arey bhai jab rishta hoga toh nok-jhok bhi hogi. Nok-jhok hogi toh thoda ruthna-manana aur gussa karna bhi hoga."

Neil's word are giving immense torture to her ears.

"Ahhhhhhhh....." She screams at the top of her lungs keeping her palms on her ears. She angrily slapped at the bonnet. "Nahi, nahi, aisa nahi ho sakta. Woh maamuli si ladki mere AV ki.... Aahhhh... Aisa hargiz nahi ho sakta. AV sirf mera hain. No, AV. I... I... I can't let you be with someone else other than me. You are mine. Only mine! AV, jitna pyaar main tumhe karti hoon utna pyaar koi tumhe nahi de sakta. Tum hamesha se mere the, mere ho, aur mere hi rahoge, AV."

She inhales deeply and says, "AV, main tumse itna pyaar karti hoon ki tumhare liye apni jaan bhi de sakti hoon. Main ek second bhi nahi katraungi tumhare liye apni jaan de ke liye. Magar..." She stops for a couple of seconds and adds in a deep husky voice, "Magar hum dono ke beech mein koi aur aaye toh uski jaan lene mein main ratti bhar nahi sochungi. Woh, maamooli si ladki Haseena... Uski haisiyat hi kya hain? Woh hum dono ke beech mein deewar banegi toh main uss deewar ko mitti mein mila dungi."

"Haseena, tumne yeh galat kiya. Tum mere pyaar ko chheen-na chahti ho. I don't let this happen. Tumhe iski saza milegi. Aur milni hi chahiye. Anubhav Singh mera hain. Kisi aur ka kabhi nahi ho sakta. Main usse kabhi kisi aur ka nahi hone dungi. You have to pay for this, Haseena."

------

Two months later, 
Kamya is standing in a godown wearing blue jeans and a white shirt and her face is covered with a red scarf. She is also wearing black goggles. Two men are standing in front of her in the same attire as the 2rs villain in the Indian movies. Ahh... They are looking like negative junior artists. 

She passes off a bundle of hundred notes of 200rs to them and says in a different voice, "Yeh lo, poore 20,000 hain. Baki ke 30,000 kaam hone ke baad milenge. Lekin dhyaan rahe, kaam aaj ke aaj hona chahiye. Galti se bhi koi galti nahi honi chahiye. Warna jo kaam tumko karne ko bol rahi hoon, woh hi kaam main tumhare saath bhi kar sakti hoon. Samajh gaye?"

"Kaam ho jaayega. Par kisko tapkana hain woh toh bolo. Tumne abhi take apun ko itna bola hain ki kisi ko tapkana hain. Par kisko tapkana hain, kab tapkana hain, kyun tapkana hain yeh toh bola hi nahi?" One of the men asks her while chewing his gum.

"Deemag zyada na lagakar kaan se kaam ki baatein suna karo. Tumhe already bata diya hain ki aaj hi yeh kaam karna hain. Aur jiska kaam tamam karna hain woh tumhe aaj dopahar do baje XYZ kabristan mein milegi. Safed salwar pehne hue. Tumhare liye yeh hi tak jaan-na bas ho gaya. Iske pichhe ki wajah jaan-ne ki faltu koshish mat karo."

The men look at each other and reply to her, "Thik hain, kaam ho jaayega. Baki ka rokda taiyyar rakhna. Sham hone se pehle tumhe khush khabri dene aayenge."

"Hmmm," She says with attitude and comes out of the godown. She sits in her car and says to herself, putting her hand on the steering wheel, "In do mahino mein tumhare baare mein har ek chhoti si chhoti cheez samajh gayi hoon main. Aaj apne papa se milne jaaogi naa tum. Bahut pyaar karti ho naa apne papa se. Toh tumhe hamesha ke liye tumhare papa ke paas hi bhej rahi hoon."

"Zaroorat se zyada karib aa chuki thi tum mere AV ke. Uske gharwalon ke. Tumhare chakkar mein inn do mahino mein maine dhang se AV se baat nahi ki. Jab bhi uske karib jaane ki koshish karti toh ya toh tum aa jaati ya phir tumhari baatein. So, saza toh milni thi. Aaj mil jaayegi. Goodbye, Haseena!"

She smirked and drove to her home. 

------

Kamya is sitting on a bean bag on her balcony with an expressionless face and closed eyes. It's 3:30 pm. Her phone starts to ring. She opens her eyes and picks the call up, "Hello"

"Kaam ho gaya" the person from another side says and she smirks with a huge grin 

She cuts the call and says to herself, "Once again, my love won. I love you, AV. And I proved that."

------

Karishma is coming home from her college. She gets a call from Neil. She smiles.

She receives, "Kya baat hain? Abhi kuch der pehle toh baat ki thi. Aur do minute bhi nahi hue ki phir se call kiya. Itna miss kar rahe hain aap hume" She asks him with naughtiness.


Neil answers in a very tense voice, "Karu, listen to me. Bahut badi tension ho gayi hain."

She asks him becoming serious, "Kya hua, Neil? Is everything alright?"

"Nothing is alright. Aap jald se jald City Hospital (fav hospital of all shows/movies) pahunchiye."

"Kyun kya hua? Bhaiyya thik toh hain naa? Santu... Maa... Kise kya hua hain?" She almost starts to cry.

"Karu, Karu, don't get panic. Anu, Maa, aur Santu, teeno ekdum thik hain. Baat Haseena se judi hain. Hum phone par aapko sab kuch nahi bata sakte. Aap jald se jald hospital pahuchiye. Hum aur Anu bhi nikal rahe hain."

"Okay, hum abhi aa rahe hain wanha" She says quickly and cuts the call. "Bhaiyya, City Hospital chaliye. Jaldi" She orders to the driver of her car who is appointed by Anubhav as he doesn't allow her to drive after knowing her driving skill when she was angry for some reason. 

*_*_*_*_*_*

Hey friends,
I want to apologise for the irregular updates. And also I want to ask that is this story becoming a typical Saas-Bahu drama? Is it? If yes, kindly tell me. I don't want to ruin it anymore. I'll delete this story in pehli fursat if your answer is 'Yes'. I have understood that for a good story, regularity is very very important. I try to be regular onwards. The entire flow is messed up. Please answer here. I am waiting for your responses.



BEAUTY AND THE BEASTWhere stories live. Discover now