Agent

1.4K 166 70
                                    

AS- yahi toh baat hai priye...hum unse aapko nahi milva sakte...

At an instant negative thoughts loomed in her mind. She fumbled. He pressed her hand, not letting her speak the worst.

AS- teen saal pehle 14 February ko hi humari unse akhiri baar baat hui thi jab usne humse kaha tha ki woh jaha bhi hai uska waha se niklna laghbhag asambhav hai...usne humse uske parivaar ki suraksha vyavstha ke liye durbhas kiya tha...uske baad se aaj tak uska koi aata - pata nahi hai. Hum ye toh bilkul nahi mante ki voh ab is duniya me nahi hai...kyuki aisa kai baar hota hai secret agent ki life me. Apni khud ki mrityu ka bhi dhong ya phir apni pehchaan bhi kurbaan karni padti hai.

Haseena humare liye ye intezaar kathin nahi hai kyuki hum apni khud ki nijji zindagi aur kaam me vyasth hote hai...itna sochne ka waqt hi nahi milta...lekin khuch tareekhe uss ghav ko vapis taaza kar deti hai.
Shayad Valentines Day me humari ruchi ka na hone ka karan yahi hai...
Lekin Vikrant ke parivaar ka kya Haseena..., uski wife jo har pal apni aas kho rahi hai...khuch din pehle gaye the hum unse milne.

Logo ke liye shayad ye kehne ki zindagi kisi ek insaan ke jaane se nahi rukti bahout asaan hai par jo ye sab sehta hai usse hi maloom hota hai voh dard. Ha ho sakta hai samay ke saath hume aadat ho jati hai, lekin kisi insaan ke bina jeene ki nahi...us dard ko apne saath rakhne ki...

Haseena moved forward and hugged him tightly.

HM- ek agent ki life me kya kya sacrifices hote hai...har cheez ke peeche unka kya matlab hota hai ye hum kabhi bhi nahi Jan sakte... bas kar sakte hai toh baithke unhe pathardil kehna...

He smiled lightly.

AS- aap samjhti hai na humme har baar...bas ab humme kya chahiye...hum aapko ye isliye nahi batana chahte the kyuki Valentines pe aap bahout khush thi...aur phir aapke man me bhi kabhi humare na lautne ka dar na baith jaye...

HM- Vikrant vapis ayenge dekhna...humari shaadi hone se pehle...hum unse aapke bahout saare secrets jaane ge...aur milkar aapki tang kheechenge...(She said grining and press a kiss on his forehead)

AS- humare liye nahi Haseena kintu uske Maa- baba aur patni ke liye woh ab toh vapis laut aaye...ya koi khbar hi sahi jo hum uske parivar ko bata sake...jhoothi aas sabse zyada takleefdaayi hote hai Haseena.

HM- acha sochiye Anu. (She said and patted his back to comfort him)

Ek agent ka uske parivaar se door rehne ka matlab ye nahi ki usse unse prem nahi hai...parantu ye ki woh darta hai...khud ki mrityu se nahi lekin har pal unpe aane wale musibato se...ya uske chale Jane ke baad ke dukh se...,his mind was going on with such thoughts. She hugs him even tighter sensing his discomfort.

AS- Ek cheez toh bata di lekin Delhi jaane ka sach abhi bhi baaki hai...is baar hum Haseena se kahi pit na jaaye. (Thinking)

_________________________

Next day evening.

HM- kal humme jaldi nikalna hai Anubhav...bag pack kariye apna

AS- (tired) Hum kal subha hi kar lenge aap apna dekh lijye...(lays on bed)

HM- kal subha 6 baje nikalne wale hai hum... aap kal subha hi kaam karenge? Late ho jayega!

AS- Haseena hum bahout thak gaye hai please aap hi kar dijye.

HM- acha theek hai kam se kam apne kapde toh bata dijye...

AS- jo marzi jana 5 Jodi kapde aur vardi.

HM- theek hai lekin waha jake hume mat kahiyega ye reh gaya...ya ye kyu dala...

Mere HumsafarWhere stories live. Discover now