CHAPTER-52

1.7K 165 6
                                    

Manu- matlab kaise dikha raha tha na jaise kitni fikar hai tere liye. Mera man to kar raha tha ek dhapak se maru jaise jaake uss chudail ke pass chala jayega.

Sana- yeh baat tu mujhe 106 baar keh chuki hai.

Manu- haan to wo kyun kar raha hai aisa . Uska man hua pyar kar baitha , uska man hua kisi aur se shadi karne chala gaya , uska man hua to hospital chala aayega kyun.

Sana- to hum kuchh kar bhi to nanhi sakte na.

Manu- mein ek baat bataun tujhe tu yeh job chhod de. Mein nanhi chahti ki tu uss insaan ki aas pass bhi rahe.

Sana- pehle maine bhi yahi socha tha manu phir mujhe wo din yaad aa gaya jis din mein apne aap ko kosh rahi thi ki mein meri zindagi mein kuchh nanhi kar sakti par achanak Ashok sir mujhe chunke jo mere liye kiya hai mein usse kaise bhul jaun.
Kisse pata tha ki mumbai jaisa jagah mein akeli ladki jo kisko jaanti tak nanhi aur work experience bilkul 0 hai usse koi kaise job dega par Ashok sir tab mujhe yeh job diye jab mujhe sabe jyada zarurat thi .

Manu- haan janti hoon mein par .

Sana- par kya hai phir.

Manu- par sach mein mein nanhi chahti.

Sana- thik hai jab tak sab kuchh thik hai tab tak kar lete hein na manu haan ( in a playful manner).

Manu nodded.
..
Sid- ab kya hua ? Kyun bulaya mujhe?

Vik- jiya chahti hai ki yeh shadi agle hafte hi ho jaye.

Sid- what! Aur iska kya matlab hai ?

Vik- matlab yeh hai ke tum dono ke shadi agle hafte ho raha hai. And that's final.

Sid- final, aur yeh jisne kaha ?

Vik- mein bol raha hoon na .

Sid- tum bologe aur mein humesha tumhara sunta rahunga yeh nanhi ho sakta hai na.

Vik smirked and said manna to padega tumka chahe tum chaho yaa na chaho.
Sid gritted his teeth and looked at him and said mein ab tak chup hoon kyunki mere samne meri behan hai agar na hota na to mein dikhati ki Sidharth ke upar hukum chalane wale ke saath Sidharth kya karta hai.

Vik- par afsos na ke tum kuchh bhi nanhi kar sakoge sad..

Sid- chhodo yeh sab agar kuchh bolna hai to bol warna jaa raha hun mein.

Vik- bataya to maine ab to batane ki bari tumhara hai .

Sid- dekho tumhara deal par maine isliye raji hua tha kyunki tumhare pass wo contract paper hai aur uss paper se meri family ki khusi judi hai iska matlab yeh nanhi hai ke mein har baar tumhare baat mein dolta rahun.
Tumhari iss deal ke liye mein shadi ke liye haan bola, aur iss deal ke bare mein kisiko kuchh nanhi bataya even mere family se bhi nanhi kyunki tum chahte the. aur jab tumhare hisab se shadi ho raha hai to phir yeh sab kyun keh rahe ho.

Vik- haan bilkul sahi kaha tune par pata nanhi Jiya ko itni jaldi kyun hai par wo chahti hai to hona hi hai.

Sid- aur mujhe yeh manjoor nanhi hai.

DARMIYAN (COMPLETED)♥️Donde viven las historias. Descúbrelo ahora