Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙...

By ItsButterstar_

203K 12.8K 22.3K

Yeh nikkah deal hai yaad rahey! Iss baazi mein koi ek bhi haar gya toh? Game over ! ══════•❁❀❁•══════ Tumh... More

Author's Note
Let's Meet Them.
Chapter 1| Yeh mera aaj hai
Chapter 2| Manjdhaar
Chapter 3| Rivayaat
Chapter 4| Intizaar
Chapter 5| Ek kal raakh hua, Ek kal maloom nahi
Chapter 6| Deal
Chapter 7| Sangemarmar Ka Dil
Chapter 8| Aatish
Chapter 9| Khwaabo kay Musafir
Chapter 10| Parwaaz e Nahumwaar
Chapter 11| Raaz e Rang
Chapter 12| Husn e Nazar
Chapter 13| Dastak
Chapter 14| Sard Bahaar
Chapter 15| Barf sa sard
Chapter 16| Dil se nikley hain yeh Lafz
Chapter 17| Bss itna hai tumse kehna..
Chapter 18| Dil sambhal jaa zara
Chapter 19| Dhalti Shaamein
Chapter 20| Alvida! Ay Dil
Chapter 21| Sawaal zehar ka nahi tha woh toh mein pee gya
Chapter 22| Ab kay hum bicharey toh shayad Khwaabon mein milein
Chapter 24| Waqt ne kiye kia Haseen Sittam
Chapter 25| Aghaaz e Anjaam
Chapter 26| Faasley
Chapter 27| Broken and Burnt
Chapter 28| Tu Dard bhi, Tu Dawa bhi
Chapter 29| Mumkin hai
Chapter 30| Aşk
Chapter 31| Baaran
Chapter 32| Charha Dey Rang
Chapter 33| Tere Haatho ki tarf Mere Haatho ka Safar
Chapter 34| Poori Hui Dua
Chapter 35| Baa yakjaa mann o tu
Chapter 36| Tu saabit e hassti Ashq e mn
♡ Author's ending note ♡
Chpater 38| A Whole New World 🦋
MY MOTHER! ♡
Chapter 39| Girtey Sambhaltey yunhi Chaltey
Chapter 37| At Last I see the lights

Chapter 23| Bin Roye

3.4K 260 477
By ItsButterstar_


____________________________

~Ruhaan kay accident kay teen saal baad ~ ___________________________

"Ruhaan!"

Gehri raat kay sannattey mein Safoorah hrbarraa kay yeh lafz duhraatey uthi thi. Uska maatha jism paseeney se sharaboor tha aur gehrey lmbey saans le rahi thi. Woh khwaab daikh rahi thi.
Nahi.
Yeh maazi ki ek yaad khwaab bn kar roz raat ki trhan aj raat phir ayi thi.

Usney ird gird daikha jese yaad krna chaha ho kay woh kahan hai, kiya waqt hai.
Gharri par nazar daali toh subah kay 3 bj rahey thai.
Tahajjud ka waqt tha.

Woh maathey se paseena saaf karti, chadar parrey hatati side table par para paani ka glass utha kar ek saan mein pee gyi thi.

Ab woh kuch behtr lg rahi thi. Apne baal halkey joorrey mein baandh kar, woh apne saath soyi zaira ka lehaf theik karney uthi thi. Uski trf ka lamp kamrey mein halki zard roshni baikhaiyr raha tha. Safoorah ne abhi lihaaf sahi trha orhaya hi tha kay ek album uskay paoun kay qareeb zameen par a giri. Album par darmyaan ka safa khula tha jis par unn chaaro ki teen saal pehle ki tasveerain collage ki surat mein muskura rahi thi.

Tasveerain bhi ajeeb hoti hai. Waqt ko amar kar deti hain. Woh muskurahat who khushi hamesha kay liye uss lamhey mein qaiyd ho kar apni yaad chor jaati hain. Safoorah ne ek nazar bhi daikhai beghair uss album ko bairehmi se bnd kia tha. Har yaad apni awaaz aur muskurahat kay saath dabb gyi.
Woh issey daraz mein rakhti bathroom ki trf gyi aur darwaza bnd kia. Woh raat na garam thi na thandi. Bass tehri hui khamosh siyah raat...

Wuzzu krney k lye sink pe haath rakhey sar jhuka kay kharri thi. Saamney ayna tha. Ayna jiski aanko mein aankhain daal kar ab Safoorah nai daikha krti thi. Aur jo kbhi daikh bhi leti to ziada dair seh na paati thi. Yeh khud ka aqs hi daikhna kia yaad dilata tha ussey, maazi mein guzrey 2 khoobsurat saal ya 3 azeeyat amaiz saal. Kia sahi tha? Kia ghalat? Kia dhoka tha? Kia azmaaish? Kuch samjh e nai aya bas waqt 4 zindiyo ko apne saath ghaseetta ley gya tha.

Dhai saal se Aurangzeb ki saari zameenay aur kaam ab woh aur Zaira smbhaalti thi. Lekin aaj phir se kisi ne khoyey huey rishto ka thapar mun pe de maara tha. 3 saal ho gye duniya ka zehar kaano mein ghultey huey aur aj bhi raahein ussi trha rawaa hain. Faraq hai to itna kay iss zehar ki karwahat se na Safoorah bch saki, na Zaira aur na Aarish. Zindagi ajeeb hai buht ajeeb.
Yeh pehle kohrey pathar ko muskurana sikhaati hai.
Phir ussi pathar ko dard se torr kar takleef mein bhi muskurana sikhati hai.
Yeh pehle jeet ka urooj deti hai.
Phir uss hi takht se gira kar haar ki asal jeet se ashna karwati hai.
Kon jaaney akhir kia hai zindagi? Jb waqt hota hai to samjh nai aati aur jb smjh aati hai toh waqt nai hota.

Woh thandey paani se mun par cheethay maartey ab kohniyo tak apne baazu bhigo rahi thi. Wuzu mukammal kar kay baahir ayi to kamra abhi bhi neem andhere mein dooba tha. Zaira so rahi thi. Woh dupatta lapaittey, kamrey se bahir nikal ayi thi. Sunsaan kaatti khamosh haveli ki deewarein ajeeb wehshat amaiz lgti thi iss pehar.
Seeriyaan utartey woh seedha Aurangzeb shah kay kamrey ki trf barh gyi thi. Andr halki zard roshni thi aur koi bistarr par kisi baijaan jism ki trhan chitt laita tha. Woh unkay qareebb ayi aur paas baith gyi thi.

"Aap soye kyoun nahi?"

Safoorah unka lihaaf seedha karti puch rahi thi. Par woh baijaan jism sirf aankhain jhapak kar reh gye. Aurangzeb dhaai saal se partial paralysis ka shikaar ho chukey thai. Doctors ne taqreebn jawaab de dia tha. Ruhaan ki maut ki khabar buht koshish kay bawjood bhi kuch din mein un tak puhnch gyi thi. Unko severe attack hua tha jiskay baad Safoorah ki duao se Allah ne unhey saansein baksh di thi lekin jismaani quwat nai. Doctors kehtey hain kay Aurangzeb apni poorani halat mein a bhi saktey hain air nahi bhi. Lekin na aaney kay amkaan 90 feesad hain aur 10 feesad maujzey kay.

Unka kamra ek chota hospital lgta tha jaahan unki zrurat ki hr cheez thi. Subah male nurse ata tha aur raat ko chala jata. Raat saari Wajid Shah unkay paas sotay aur unka khyaal rakhtey thai.

Phuphoo ne ghrdari aur mulaazim smbhaal rakhey thai. Wajid Shah Safoorah ki madad kia kartey thai lekin woh unhey ziada takleef na karney se hamesha mana kar deti thi.

"Mein smbhaal lun gi chotey abba! Aap bas baba kay saath raha karein. Woh apko hr waqt yaad krtey hain!"

Safoorah muskura kar kaha krti thi.

"Aur mere saamney woh tumhey, Zaira aur Ruhaan ko yaad krtey hain bchey!"
Woh bhi baichaargi se btaya kartey thai.

" Safoorah beta! Tum ne kyoun takleef ki? Mein uth gya tha!"

Wajid Shah bathroom se nikley thai aur Safoorah ko Aurangzeb Shah kay paas baitha daikh kar narmi se keh rahey thai.

" Mein wese bhi toh roz iss waqt uth jati hun chotey abba! Phir mujhe abba ko medicine khud dena acha lgta hai. Phir inki medicines check kar kay bhi tassali krti rehti hun theik le rahey hain na. Kyoun kay doctors kehtey hain inhey pichli medicines suit nahi ki thi!"

Safoorah Aurangzeb ko baithney mein madad de rahi thi.

"Jaanta hun bchey. Tum fiqr na karo. Kal hi woh nurse test bhi le kr gya hai inkay. Report ajaye gi parso tak!"

Wajid shah bhi Aurangzeb ko bithaney mein saath lg gye.

"Woh to theik hai chotey abba! Lekin abba mein pichley 2 saal se koi behtari nai hai. Doctors to seedha jawaab detey hain. Mein chahti hun abba ko America le jaoun. Baahir achey doctors hain, acha set up hai, koi to hal ho ga. Phir humarey family doctor ne bhi to humey America kay doctor kay paas refer kia hai!"

Safoorah medicine ab unko khilati, paani pila rahi thi.

"Mujhe koi aitaraaz nai hai bchey. Lekin tum hi nai maanti. Yeh sb kaam zameenay mein daikh lun ga!"
Woh sanjeeda mashwra de rahey thai.

"Chotey abba akele smbhaalna buht mushkil ho jaye ga apkay lye. Faheem bhi nai hai. Mein aur aap hi hain. Zaira accounts daikhti hai. Agr hum bhi chaley gye to kia ho ga. Aagey hi buht loss hua hai. Ab ja kay kuch behtari ayi hai bussiness mein!"

Aur Wajid Shah ne neem zard roshni mein Safoorah Aurangzeb ko ghaur se daikha aur jese unka dil ko takleef si mehsoos hui thi. Yeh? Yeh wohi larki hai jiskay chehrey se shrart aur muskurahat jaaney ka naam nai leti thi? Uski aankho kay gird halkey bhoorey halkey parr chukey thai.

Woh 3 saal mein waziya kamzor ho chuki thi. Goh kay woh utni hi haseen thi lekin inn teen saalo ne uss par kis Khoobsurati se sitam kiye thai. Baal barh kar kamr ko chootey thai aur jild safaid roi jesi narm thi. 28 saal ki iss khoobsurat larki kay chehrey par ab sanjeedgi ya halki si muskurahat rehti thi. Woh ab buht saada kaprey zaybtan karti thi aur sar par dupatta orhti thi.

Abhi bhi neelay rang ki shalwaar qameez pehney thi aur ajeeb vairaan aankho se wajid shah ko daikh rahi thi.

"Tum buht bahadur ho Safoorah. Jaanti ho na?"

Wajid Shah ne uth kar uspe sar pe hath rakha tha.

"Aap yeh baqt roz kehtey hain!" Wohi halki udaas muskurahat.

"Iss lye kay kahi tum bhool na jaou!"

"Shukriya chotey abba!"

Safoorah ko apne dusrey hath par kuch mehsoos ho raha tha. Aurangzeb Shah apna daaya larazta hath Safoorah kay opr rakhne ki koshish kar rahey thai.
Safoorah ne muhabat se unka haath thaam lia aur chooma.

"So jayein abba! Aankho ko daikhain halkey parr gye hain!"
Woh unki aankho ke gird daairey dikha rahi thi.
Unki aankhain bhar ayi thi lekin roye nai.
Safoorah ab uth kar bahir ki trf barh gyi thi aur wajid shah ne nafal ki neeyat bandhtey Allah hu Akbar parha tha.

____________________________

"Mulaqaat ayi hai teri !"
Kisi ne uss konay mein baithey qaydi ko kaha tha.
Woh uth kay hrbraata hua baahir ki trf bhaaga tha.

"Bol? Baat hui vakeel se? Kia kaha unho ne chor rahey hain na mujhe?" Woh paaglo ki trhan jail ki salaakho se lipta puch raha tha.

"Tum pe kisi kay qatal ka case hai Faheem. Aur jinho ne kia hai woh koi chothey log bhi nai. Koi saboot nai hai jo tumhey baigunnah saabit kr skey. Humara vakeel koshish kar raha hai. Mein jaanti hun tum jitney bhi jaahil ho lekin qaatil ki hdd tak nai gir sktey! "

"Uss kuttey kay....."

"Zabaan smbhaal kay..!" Safoorah ne uski awaaz uss se ziada raub se kaati thi.

"Kyoun abhi bhi susral ki muhabat jaagi hui hai tere dil mein. Unn neech logo na mere uttey apni hi behn dey mard nu qatal karan da ilzaam saabit kr ditta hai aur tu unha nu bcha rhi hain?"

"Bacha nai rahi mein. Saboot tumharey khilaaf hain. Zaira abba sb jaantey hain tum uss waqt ghr mein thai lekin gaari k paas ek phone para mila tha jisme ek hi number ko bar bar call milayi gyi thi. Aur woh thai tum. Woh vakeel call records mein tumhari awaaz tk suna raha hai. Hum jaantey hain yeh jhoot hai. Lekin unhey aisa kia miley ga tumpe jhoota ilzaam laga kay. Woh apni jgah jaaiz hain."

"Unhey jaidaad k ilawa kuch nahi chahiye baiwakoof aurat. Abba to wese hi kaam se gye hain aur mujhe jail mein bnd kra dein gai. Wajid chacha nu aunda e takka ay tey tu jo vi hain , hain tey kurri! Aj nai tey kal woh sb aye gai tere saamney teri hi haveli pe qabza karney aur tu bas goongi bni rehna... Mujhe nikalwa idr se .. mein inn haraam..... "

Woh ghussey se khaulti hui whan se nikal gyi thi. Kbhi kbhi dil Chahta hai iss ghatiya paagal insaan ko idr sarrney kay lye hi chor dey. Phir apna zameer aur abba ka khyaal ijazat nai daita.

"Mil ayien?"
Zaira abhi kamrey mein ayi thi.

"Hm!"
Safoorah ne Khamoshi se sar hila dia.

"Kia keh raha tha?"

"Jo hr dafa kehta hai!"
Safoorah baizaar hui thi.

"Babaa ko dwai di? Chotey abba kidr hain?"
Safoorah ko jese ek dm khyaal aya tha.

"Woh factory gye hain kaam daikhney. Dwai mein ne dy di thi!"

Zaira uss khamosh chehrey ko parhne ki koshish kar rahi thi.

"Mujhe phone kr deti mein seedha wohi se factory chali jati"
woh uth kar jaaney ki tyari krne lgi thi kay zaira ne rok dia.

"Apko abba par bharosa nai hai?"
Zaira ne haath thaama tha.

"Yeh tum kesi baatein kar rahi ho zaira? Chotey abba mere abba jese hain isi lye mein aur tum unki madad krtey hain. Ghr mein unkay baad humari hi zimaidaari hai "

Safoorah ka lehja thora sakht tha.

"Aur 3 saal se apni hr zimaidaari bakhoobi nibhati arhi hain. Chahey woh ek behn ki ho, beti ki ho, bhateeji ki ho, bahu ki ho ya phir biwi ki"

Zaira ki zabaan se akhiri 2 rishtey baikhtyaar nikley thai. Woh khud ko aur ussey takleef nai dena chahti thi lekin kuch rishtey kahan choottey hain. Woh to saari umar ka tamgha e imtiaaz hotay hain.

Safoorah ne ussey surkh hoti aankho se daikha tha.

"Aj break lein ley! Mein chai bna kay laati hun. Araam kar lein thora!" Zaira ne ussey bithaya tha.

Safoorah kay tassurrat narm parey thai. Woh zaira ko daantna nai chahti thi bas ab sakht si ho gyi thi.

"Tu ne kuch khaya hai?"
Safoorah ne uskay haath pe haath rakha tha.

"Mujhe chorein. Abba bta rahey thai aap barrey abba ko America le jana chah rahi hain?"
Zaira ko hairat hui thi jese hi yaad aya tha.

"Han Zaira! Babaa ki halat mein behtari nai arhi. Dr. Kamil ne bhi American doctors ko recommend kia hai. Bs kuch maheeno ki baat hai. Ab to bussiness bhi stable ho gya hai. Chotey abba daikh lein gai. Aur issi bahaney tu apni degree complete kar lena!"
Safoorah tassali se sb bta rahi thi.

"Degree apki bhi rehti hai. Aur wese bhi ab 3 saal baad kon humey Yale mein parhne de ga?"
Zaira jese dard ki shiddat se phatti thi.

"Hum ne semester freeze to karwa dia tha. Ek baar baat krne mein kia harj hai hoskta hai tujhe Parhne dein." Safoorah uss kay baal seedhey krtey keh rahi thi.

"Aur aap? Aap kis Intizaar mein hain?"
Zaira ko ghussa aya tha.

"Mein Babaa ko udhr akaila chor kay parhne chali jaoun? Yeh achi baihissi hai meri?"
Safoorah ab taik laga kar neem daraaz thi.

"Aap whan kay hospitals ko underestimate na karein. Woh aap se aur baba se zada acha khyaal kar saktey hain!"

"Lekin aulaad agr ehsaas wali ho to uss se behtr bhi koi nai rakhta!"

"Fia. Mujhe umeed hai barrey abba apne paoun pe chalney kay qaabil hojayei gai INN SHAA ALLAH! "

Zaira ne uskay hath pe haath rakha tha.

"INN SHAA ALLAH!"
Wohi udaas muskurahat. Zaira ko jawaab bhi azbar ratt chukey thai ab toh. Woh uthi thi aur sheeshay kay saamney se guzartey ek nazar apni behn kay kamzor wujood par daali thi aur ek nazar apney dubley patley jism par.
Apni behn ki maanind sard, zard aur khizaa ko trhaan khoobsurt ho gyi thi lekin aansu thai kay ruktey nai thai. Dard tha kay thamta nai tha. Aakhir koi khamoshi ki faryaad bhi sun ley...

__________________________________

"Dair laga di bchey phone uthaney mein?"

Safoorah ne jayenamaz lapait kar phone kaan se lagaya tha.

"Hanji Namaz parh rahi thi !"

Safoorah kay chehrey par roshan lekin dard amaiz muskurahat thi.

"Achi baat hai waqt tey hi parh leni chahiye di!"

"Daadi ashqem mujhe lgta hai insaan jis kaam kay liye namaz mein dair kr deta hai ya jaldi jaldi namaz parhta hai uss kaam mein na lazzat baaqi rehti hai na waqt mein barqat. Mein sochti thi poora din kaha chala jata. Aaj har namaz waqt pe parh kay daikhi to poora din bch jata hai aur har kaam ho jata hai."

Safoorah kisi sehar mein bol gyi thi.

"Tu Qura'an parhna shuru kr dita ay Safoorah?"
Daadi ashqem jese khush hui thi aur hairaan bhi.

"Gee!"
Woh bhi khamosh sa asbaat mein muskurayi thi.

"Aap kesi hain?"

"Rabb ne reham kita hoya puttar! Tu kesi hai? Zaira kesi hai? Mera parra kesa hai?"
Awaaz ka raub aur narmi to wohi lekin umar aur drd se kuch dhal jaata lehja tha.

"Sb wese hi hain daadi ashqem! aap ab toh beemaar nai hain na?"

Woh iss phone par hamesha aankhain nam kar leti thi mgr roti nai thi. Hchkoley khaati kamzor awaaz thi.

"Nai mera puttar! Teri awaaz sun kay tey wese hi sukoon a jaunda hai. Faheem bahar nai aya? "
Daadi ashqem ne ruk kar pucha tha.

"Nai Daadi. Aap dua karein sb theik ho jaye!"
Yeh boltey waqt uski awaaz kaanpi thi.

"Safoorah? Meri duaava tey hamesha haundiya nei puttar! Par hun himmat, sabar sb khatam ho gya! Zafar nu samjhaya case wapas ley. O nai sunda.. A...."

"Daadi ashqem ek waada kia tha hum ne. Aap aur mein rishteydaar nai maa beti bn kay baat karein gai! Aap bass apni kahiye. Iss rishtey mein halaat na aaney dein wrna dooriyaan ajaye gi!"
Safoorah ka lehja humvaar tha.

"Theik keh rahi ay tu puttar! Mennu dukh honda mein Aurangzeb ya tennu milan vi nai a sakdi. Na tu othey aundi ay!"
Unki awaaz bharrayi thi.

"Aap idhr mujh se milney kyoun nai ati? Mein parso driver bhejun?"
Safoorah ne narmi se kaha.

"Nai puttar. Khaandaan dey jo halaat ney. Saada milna munasib nai ay filhaal ! "

"Aap pareshaan na hon bas apna khyaal rakhein aur... "

"Kis se baat kar rahi hain......" 3 saal baad Safoorah kay kaano se yeh awaaz takrayi thi.
Aur takraatey hi Safoorah ko jese kisi waqt kay dairey ne apne andr nighal lia.

"Farri yar aap mujhe itna bigaar rahi hain k bas mt puchein. Mein kha kha kay mota ho jaoun ga yar!" Woh ussey molten lava cake khilaati hans rahi thi

"Fia ek mujhe bhi laa dein na please!"
Zaira shakal bna rahi thi

"Tujhe kbse meethey se muhabat ho gyi?"
Safoorah ne chirraney waley andaaz mein pucha tha.

"Jb se grades achein aye hain dono kay!" Ruhaan coffee peeta muskura raha tha.
Safoorah ne Aarish ko khilaney wala chamach ek dm chora.

"Ru yeh kia kya aapne fia ko surprise dena tha mein ne!" Zaira Ruhaan ko daikh kay ronay wali ho gyi thi.

"Acha bhaai mein ne to iss lye btaya hai ta k tumhey molten lava cake khilaa sakun araam se lekin agr.....!"

Ruhaan musalsal Zaira ko tang kar raha tha .
Usne muskura kar wallet nikala aur Zaira ko de dia.
"Poora le jaoun !" Zaira ki aankhain bahar agyi thi.

"Bilkul!" Ruhaan coffee kay ghoont bhar raha tha. Zaira khushi se uchali aur counter ki trf bhaagi.

Aarish ko molten lava cake k ilawa kuch dikhaai nahi de raha tha.

"Chor dey mere bhaai. Bass kar.. kitna khaye ga. " Ruhaan ne uskay haath se chamach shrart mein le lia.

"Daikh rahi hain farri!" Aarish ky mun par chocolate syrup lg gya tha.

Safoorah hans pari thi. Woh aksar Ruhaan ki aisa kartey daikh khamosh ho jaya krti thi aur bs muskurati rehti thi.

"Na do mein Zaira kay saath ek aur cake la raha hun!" Woh mun phulaata uth gya aur Ruhaan muskurata sar maarta coffee k ghoont bharney laga.

"Tum ne kuch nai khaya, khairyat hai?" Aaj janab mood mein thai.

"Han woh bss aisey hi subah coffee pii thi to dil nai chah raha!" Safoorah ka trance uski awaaz ne torra tha.

"Yeh coffee tumhari coffee se ziada achi hoskti hai. Yeh lo!" Usne bamuskil teen ghoont pee thi aur baaki Safoorah kay aagey rakh di. Safoorah dng reh gyi thi.

"Yeh tum jb itney achey mood mein hotay ho na darr lgta hai. " Safoorah ne coffee ka mug labo se lgaya tha.

"Kyoun?" Wohi adhi muskurahat aur duniya ko fatah krne wala chehra.

"Kuch nai!" Safoorah ne mug neechey rakha tha jb waiter blueberry muffins le kar aya tha. Us ka haath jaldi mein mug ko laga aur garm coffee ka mug Safoorah pe shayd ulat jata agr Ruhaan reflex action mein uss mug ki satah zor se na thaamta.

"Daikh kay yar!"Ruhaan kay mun se baisaakhta nikla tha. Coffee ki garam cheentai uskay haath pe uchli thi.

"Ruhaan!" Safoorah ykdm ghabrayi thi.


Kitni Baatein Yaad Aati Hain
Tasverein Si Ban Jaati Hain
Main Kaise Inhein Bhooloon

____________________

"Kon hai Fia?"

Safoorah ne ghabra kar daikha to Zaira swaaliya andaaz mein kharri thi.

Safoorah ne phone ki line sunni toh woh katt chuki thi. Woh kb se khaali phone kaan se lgaye waqt se parrey yaadon ki nazar thi.

____________________________

"Kisi ka nai!"

Daadi ashqem ne sarsari sa jawaab tha. Woh jaanta tha woh puchey ga to woh bhi bta bhi dein gai lekin filhaal woh yeh naam aur insi jurri yaad sehney kay lye tyaar nai tha.

"Wapsi kb hai teri?" Daadi ashqem ka sanjeeda raub daar lehja.

"Itni naraz hain mujh se kay chahti hain chala jaoun?"

Saamney chashma pehnney 29 saal ka ek sanjeeda muskurahat liye larka tha lekin koi bhool kay bhi nai pehchaan sakta tha kay woh Aarish Sohaib Khan hai. Aarish ? Woh jo shrarat ka dusra naam tha. Woh jo zindagi mein kisi kaam ko udham machaye beghair nai kar skta aaj jeans v shirt aur chashma pehney Khamoshi se daadi ashqem kay paas a baitha tha. Woh kitna badal gya tha. Chehra kuch kamzor ho gya tha. woh ek samjhdaar aur suljha hua sanjeeda insaan maloom hota tha.

"Kyoun nahi milta tu uss se?"  Daadi ashqem ko ghussa aya tha. Agr yeh duniya ka akhri mauzoo ho to bhi Aarish ispe baat nahi karna chahta tha.

"Acha kal Daada jaan ki haveli chalein gi?"
Aarish chashma utaarey unhey mna raha tha.

"Nahi!" Unhey ne seedha mna kar dia aur Aarish Sohaib Khan mayoosi se palat aya.  Apne kamrey ko darwaza kholtey hi neem zard roshni ne uska istaqbaal kia tha. Abhi chashma study table par rakha hi tha kay side lar rakha frame usne girtey girtey bachaya. Unn chaaro ki hansti muskurati cultural night ki tasveer thi aur dusri trf Ball dance ki.

Woh kitni dair ghayab nazro se unn tasveero ko daikh raha tha.

( Ruhaan kay accident kay 3 din baad)

"Koi janaaza nai ho ga! Sun rahey hain aap? Kyoun ho ga Janzaza? Mera bhaai zinda hai yar itni si baat apki samjh nai arhi!" Aarish ki sooji khoon alooda aankhain phatt rahi thi. Awaaz baithi thi.

"Aarish smbhalo. ?" Zafar sahab goong se bs zameen ko daikhtey ja rahey thai. Shaista ro ro kay halkaan ho chuki thi.
"Kia sambhalun? Mera bhaai zinda hai aur zinda logo ka janaza nai hota. Daadi ashqem kb se andr khamosh hain. Unki biwi teen din se ek dafa nai royi hai. Kam az kam unn sb ka khyaal kar lein aap!" Woh walihaana cheekh raha tha.

"Kia chahtey ho tum! Bolo? Kia chahtey ho? Har jgah dhoond chukka hun ussey. Har police station har haspataal. Aas paas kay log. Qabaiyli ilaqa mein jhan tk ja skta tha gya. Ruhaan... " Awaaz larzi thi. " Woh nai hai!"

"Woh hai! Kyoun kay mein hun. Kyoun kay bhaabi hai. Kyoun kay Daadi ashqem hain. Agr hum sb ko kuch nai hua to unhey bhi kuch nai. Khabardaar jo kisi ne koi janaza kia. Wrna mein Daadi ashqem ko le kar hamesha kay lye yhaan se chala jaoun ga!"
Aarish dhaarta hua apne kamrey mein gya tha. Safoorah deewaar se lagi sb sunn chuki thi. Pata nai kiyoun lekin uss jalti gaari ko daikhney se le kar ab tk aankhain nm kr leti thi mgr ro nahi rahi thi. Ya shayad ro nahi paa rahi thi. Woh ajeeb qaifiyat thi. Na poori duniya mein na poori khala mein.

Woh baisudh si Aarish kay kamrey ki trf barhi aur darwaza khola. Woh sar haatho mein diye burri trha ro rha tha. Safoorah ne ussey pehli dafa aisey daikha tha. Uska dil dehal raha tha.
"Aarish?" Kaanpti hui awaaz thi.
Aur woh khoon se obalti nighaao se sar utha kay Safoorah ko daikh raha tha.
"Aap kyoun larri unse? Kyoun boli mere bhaai ko aap itna kuch haaan? jaanti thi na woh apse muhabat krtey hain? Hain na jaanti thi na woh
aapse muhabat kartey hain hain na? Bolein?"
Woh apne hawaas mein nai lg raha tha. Safoorah goong si ussey daikh kay reh gyi.

"Arrey kyoun kia ap ne aisa. Deal thi na yeh? Ghalti dono ki thi na yeh to saza sirf Ru ko kyoun? Aap aur apki behen... Sb tabah kar dia sabbbb kuch.. sb ki ghalti hai hum sb ki ghalati hai. Sb tabah ho gya . Sabbbb !......."

"Aarish?" Woh kaanp gya tha. Kisi ne ussey waqt kay daldal se kheencha tha.

"Bchey khaana khaa lo!" Woh bawarchi chacha thai. Aarish ne hawaas baakhta sa sar hila dia.




____________________________

Continue Reading

You'll Also Like

54.2K 2.5K 26
یہ کہانی ہے ایسے دوستوں کی جو مشکل سے مشکل حالات میں بھی اپنے ساتھی کا ساتھ نہیں چھوڑتے اور ہر صورت وفا نبھاتے ہیں۔اور یہ ثابت کرتے ہیں کہ دنیا کا ہ...
18.9K 1.5K 29
Highest rankings:- [#17 in brokenheart ] [#6 in spirituality ] [#3 in romanurdu ] [#30 in ishq ] ●●●●●□●●●●●□●●●●● "Intezaar toh mn bhi kar raha hoon...
7.8K 327 17
*editing* Log kehte hai jazbat insan ki sabse badi kamzori hoti hai to bas ye kahani wahi hai jazbat ki. Ye kahani zindagi se Nafrat se Muhabbat tak...
18.7K 1.4K 29
اپنے ٹوٹے ہوئے خوابوں پر کسی کا محل بنتے دیکھا ہے کبھی؟ خوابوں کے ٹوٹنے کے بعد پھر جدوجہد سر پھوڑتی ہے آپ کا. بس اسی بہتے پسینے کے درد کو الفاظ دینا...