[DEEWAAR- The wall of Love] ✔...

By Snowflake_Rose

11.7K 1.5K 1.3K

Kya Ye deewar mohabbat ki aar mai ayegi? Ya mohabbat ko apni aar mai legi? ********************* * Ek kahani... More

-1-
-2-
-3-
-6-
-4-
-5-
-7-
-9-
-10-
-11-
-12-
-13-
Sunye,Sunye!
-14-
-15-
-16-
-17-
-18-
-19-
-20-
-21-
-22-
-23-
-24-
-25-
-26-
-27-
-28-
-29-
-31-
-30-
Announcement
-32-
-33-
-34-
-35-
-36-
-37-
-38-
-39- E P I L O G U E

-8-

249 44 10
By Snowflake_Rose

Danish*

Kuch ghanton baad main apni meeting se farigh ho kr ghar ki traf rawana hua.Main bohat zyada thak chuka tha islye thori der aram krna chahta tha.Lekin mjhe Huzbaan ki bhi fikr ho rhi thi.Wo itna pareshan kbhi nahi hua tha.

Main ne khana khaya aur namaz prhne ke baad thori der sukun ke liye lait gya.Alarm set kya taake 1 ghnte baad uthun tw baat kru.

Danish: "Assalam.O.Alaikum! Sorry yaar meeting se akar itna thak gya tha ke bhook aur neend se halat buri ho rhi thi,islye main so gya.Ab batao tasalli se..Kya kehna tha tumhe"

Huzbaan: "Walaikum Assalam.Yaar,tum bhabhi se baat kro...mere rishte ke mutaliq unhe mera introduction karao...main Azaan se bohat pyar krta hu"

Danish: "Yaar,ye tum kesi baat kr rhe ho? Meri hi saali pr nazar hay tumhari how unfair.Lekin tum mere dost ho islye ghunsa nahi maar rha wrna koi aur hota tw phone se nikal kr uthak pathak krdeta! Ye sb kese hua? Tumne Azaan ko kb dekha? Kb milay usse? Tum tw isse pehle kbhi Quetta nahi gye.Aur ek hi baar jane pr tumhe Azaan mil bhi gyi aur pyar bhi ho gya? Bache ho kya 15,16 saal ke? Pyar mazaq nahi hota,Huzbaan!! Come back to your senses! "

Huzbaan: "No,I won't.Yun smjho main apne hosh kho betha hu.Aur tum ek baat jan lo main kaafi mature bnda hu,tw ye blkl bhi bchpane ka pyar nahi hay.Azan ko kb dekha,kese mila ye sb tumhe main mil kr batauga.Lekin mjhe darr hay ke tumhe wo raaz batane se main tumhe kho duga."

Danish: " Yahi ke tum Muslim nahi thay pehle? Aur tum.... "

Huzbaan: " Aur main kya? Tum jante ho mere baare main? "

Danish: " Hahahaha darra dya na! Arre yar tumhari business profile pe dekha tha,Akash aka Huzbaan.Wese kafi acha change hay "

Huzbaan: " Ye sab Azaan ki wjah se hua hay. "

Danish: "Achaa tw phir theek hay.Main kal hi Quetta ajauga.Aur pehle Hira se baat kruga aur phir tumeh inform karuga.Kya usse ye batana hay ke tum pehle Akash thay aur ab religion change kya hay?"

Huzbaan: "Haan"

Danish: "Okay,done.Kal milte hain phir.Khuda Hafiz"

************************************

Sajid ne jb se ammi se meri nikah ki baat ki thi,main beinteha khush thi!

Aur bhala kiun na hu?

Meri duayein jo qabool hone wali thee,ke sath bhi rahugi aur wo bhi istrah ke meri prhai bhi complete hojayegi aur phir nayi zindagi ki shuru'aat hogi.Ek naya safar,ek nayi manzil,ek naya rasta...

Aur agar aane wali manzil tk pohnchne ke liye mjhe himmat milegi tw wo sirf Allah Tala ki khushnudi se hogi.Usse manaye rkhugi,tbhi mera bera paar hoga.

Main khud janti thi ke rishta hone ke bawjud bhi Sajid mere liye na mehram hi thay,aur isiliye mai unhe avoid krna chahti.

Aik baar agar hum kisi ke aadi bnjate hain tw phr chahe lakh jatan krlo us adat ka picha chorne ke liye kisi dusri adat ko pkr kr jaan churani prti hay.

Aur main sarasar khilaf hu ke Muhabbat ek adat hay...
Muhabbat adat nahi,blke insan ki fitrat honi chahye.

Lekin wo muhabbat wesi ho jispr ap rashk karen,apka dil apke pyar ke haq mai tw wese hi bolta hay...Bila mauza waqeel hota hay...lekin kamal tw ye hay ke apka zameer zinda reh kr apki muhabbat ko pakiza hone ka tamgha de.

Meri shadi 6 mahine baad thi kiuke Allah ka shukr,mera course complete hone wala tha.

Sajid ko maine bila akhir sb kuch bata dya ke Akaash mjhse pehli bar ghar ke bahar Dr bnkr mila tha,aur phr wo dubara ghr ke bahar hi mila aur mjhse zbrdsti batein shuru ki wo kuch kehna chahta tha...lekin mai nahi janti kya,aur mai janna bhi nahi chahti thi.Phir maine Baji se pucha aur ammi se bhi discuss kya tw dono ka ek hi opinion tha ke shayad wo koi mulki dushman ho,jo mere zrye mere baba tk pohnchna chahta ho.

************************************

"Assalam.o.alaikum Hira!! Aur meri ekloti sali ( adhi ghar wali ) kesi hay? "

Apa aur Danial bhai face time pe batein kr rhe thay,aur mai hasbe mamul apa ke beech mai haddi bni hui thi.

" Walaikum assalam,jee jee bus Alhamdulillah apki duayein hain.Lijye ussi se bat kijye."

Apa bhi is hunar mai mahir thee.Janti thee ke samne wala agar therha ho tw usse seedha kese kya jata hay.

" Ahahahaha meri pyari begum sahiba! Mjhe ap se hi baat krni thi.wo tw bus mahawratn bola tha "Saali aadhi ghar wali" Ghar wali tw ap hi hain ,acha Hira sunain main kal araha hu shaam ko.Tm tyar rehna.Baba se milne ke baad tmhe drive pe lejauga. Kafi arse se ammi ki tbyt ki wjah se bhi tm kaheen ja nahi payi thi,islye mai ne socha ab bus kaam se break le kr pehli fursat mai apni zoja ki khidmat mai hazir hua jaye "

" Ahahaha,acha theek hay main tyar hojaugi.Lekin ye tw batayein,itna makhan kiun lagaya ja rha hay? "

Apa ka andaz kuch shaukh ho rha tha aur main bhi guftugu se lutf utha rhi thi.

" Makhan tw nahi filhal choona lga rha hun,yun smjh lein bus "

Allah Allah krke apa ki batein khtm hui aur meri roothi hui neend wapas agayi.Itni der se main sone ki koshish kr rhi thi lekin apa ki baton ki wjah se ankh ni lgrhi thi.

************************************

Hira,Azaan ka rishta tay ho gya hay na?

Haan,mager kiun puch rhe hain ap achanak?

Kiuke mjhe tumhe kuch batana tha,mera business partner aur purana dost...Huzbaan,wo pasand krta hay Azaan ko.Aur wahi Akash hay,usne apna religion azan ke liye bdla.Aur ab wo bohat acha ho gya hay.Trust me main jitna Sajid ko nahi janta utna Huzbaan ko janta hu.Kiuke hum kafi arse se sath main hain aur mjhe nahi lgta ke ye kisi bhi tarah se Azan ko nuqsan pohnchayega ya phir usse smnbhal na payega.

Continue Reading

You'll Also Like

133K 6K 27
Village based😎 about hijab ❤️
10.5K 671 24
"Tumhein muhabbat hogayi hai uss se?" "Agar umar bhar sirf usske saath ko chahna muhabbat hai toh han shayad hogayi hai mujhay uss se muhabbat" _____...
41 0 5
"جنون عشق ملالٍ یار بَنتا گیا یہ آرزوٍ دل لے کر تیری چوکھٹ پے دفن ہونے ائے ہیں" ...
30.7K 1.8K 34
کہانی اغوا ہوجانے والی لڑکی کی، کہانی عشق میں جلتے میران جاہ کی، کہانی نفرت کی آگے میں جھلسنے والی کی، کہانی سیاست میں جکڑے لوگوں کی، سچا ہو کر بھی غ...