By Your Side

By Userunderstress

42.1K 4.8K 1.3K

In the towns of Lucknow, ASI Samairaa Vashisht is a recently appointed officer. She has been told to train un... More

New Entry
Dealing with Samiraa
Friembds? No! Okay Bye!
Broken?
Hi
Waqt Ki Baatein
Samairaa Kidnapped?
Aate Jaatey
Do You Trust Me?
Cold/Mess
Unplanned Night Out
Manchala Teri Ore!
The perilous side of her
Note
Close to Cracking the Case
New strom in Karishma's life.
TP ЁЯСН
Aise Kyu- Woh kuch bole na
"Machli"
KarAaira's BHAUKAAL
Kick-Start
Samairaa- Kaushalya - Urmilla
Love and Trust
Recreation of Rama Case
Recreation of Rama's case - 2
TP
TP
Tedhi Ungli
What else do you want?
Note
Regret
Her Past
Who is Samairaa
Love the way you are
Miley Kyu?
Chidiya (Birthday Special)
Just How Fast The Night Changes
Alag Aasman
You knew it already?
Announcement
How Do I Trust Again?
Woh Akele Hi Kaafi Hai (Short Chap)
Rant!
A comeback isn't that easy.
Adios Maddam Sir
The Rift
A Reality Check
TP
You will have me forever
The Perilous Hatred Within
Let Everything Go Down With Me.
Chillnama
I am still haunted by the memories
Heyaa!
A clarification
I don't think my pain is your fault.
The Bet
The Real Torture.
Bandages don't fill bullet holes.
Aakhir Kyu?
Update
Holding on too tight
You just try your BEST NOT TO GET HURT!
Sometimes it's better to let someone go
Someone you called, you called YOUR ONE AND ONLY!
The Pain no one understands
Somebody loses their somebody every day
Not an update
рдХрд┐рддрдиреА рдмрд╛рддреЗрдВ рд░рд╣ рдЬрд╛рддреА рд╣реИ
Corruption
The Glory
Unreliable Promises
Disclaimer
Breaking Bones
Healing
Note
Clingy and Chaotic
A Year!
Power
Mirage
My Love
Karishma Got no chill
TP
Soft Side
Long Drive
Yes or No
Moye Moye
Oh Simple thing where have you gone?
New Rules
By Your Side (Short Chap)
I See Red
Hum, tum alag hai. Farq hai
Unacceptable Feelings
Rift between us
Profit and Profit
There's no heroes or villains in this place
Hii
Dance the night away.
Every story has an underlying secret.
There is a Mastermind
Your suggestion
It was just another typical day.
There's nothing between us
Mileya Mileya Mujhe
рдЕрдВрддрдГ рдЕрд╕реНрддрд┐ рдкреНрд░рд╛рд░рдВрднрдГ рее
Saathi Rey, thoda teher jaa
Tu aise kaisi hai?
Our Issues
Tujhko pukare Teri parchaiyaan.
Ajeeb dastan hai yeh
Motive
Kaun Mera
Paheli

You are the reason

176 30 10
By Userunderstress

HM- Samairaa Vashisht!

With a tight grip on the package and wrath in her eyes, Haseena climbs the Mahila Police Thana stairway. Santosh goes with her.

With a sneer, Samairaa glances at Haseena.

SV- Yes, Maddam Haseena.

HM: How dare you distort the evidence in such a way!

SV: Which evidence? What topic are you discussing?

HM- Hum sach mein kaise tumhare baaton mein aa gaye. Tum par trust karna chahiye hi nai tha.

KS- Maddam Sir ek minute. Kya baat hai. 

HM- Inse puchiye Karishma Singh, Kahan thi kal yeh party mein.

SV- Of course Party mein hi thi.

KS- Haan, kal yeh humare saath hi toh thi.

HM- Yaad hai jab hum aapko dance ke liye bula rahe the, tab naa aapke, naa mere yaa Santosh ke saath thi. Toh kahan thi aap?

KS- Ussey kya farak padhta hai?  Dekhiye Pehle aap shaant ho jaiye please. Aur yeh bataiye udhar hua kya.

SS- Maddam, Rudrashi jis building mein kaam karti thi, uss building mein kal raat hi aag lag gayi. Aur humne building ke owner se baat karne ki koshish ki toh pta chala unki bhi death ho chuki hai.

KS- Kya!

HM - Aap kyu itni chauk rahi hai? Aapko toh pta tha naa inn sab ke baare mein.

KS- Hume kaise pta hoga, humne Santosh se location Tak nai pucha hai.

HM- Oh? Toh aapka yeh bracelet kya kar raha tha udhar.

Karishma sees the packet that Haseena has pulled out. Karishma pulls out the bracelet and examines it carefully.

KS- Hadd hoti hai kisi cheez ki bhi. Aise same letter printed bracelet aapko kahin bhi mil jaayenge. Jaruri nai hai woh humara hi ho. Aur hum itna dur jaayenge bhi kab? Kal Puri raat toh aapke saath the.

HM- Toh bataiye jo humne aapko Diya tha woh kidhar hai?

KS- Hoga humare Ghar mein. PhuspaJi se puch lijiye.

PJ- Haan Maddam Sir, inke kamre Mein rakha hoga. Aap khamo khaa inpar shak kar rahi hai.

HM- Kisne kaha hum inpar shak kar rahe hai. Hum khud par shak kar le par Karishma Singh par kabhi nai.
Bharosa toh hume iss (points at Samairaa) ispar nai hai. Jabse aayi hai tabse, inke dimaag mein kuch naa kuch chalta rehta hai. Naa jaane kitno ke saath inhone....

KS-(cuts her)- Sabse pehli baat SHO Haseena Mallik aapka koi haq nai hai ASI Samairaa Vashisht se aise baat karne kaa.
Decorum maintain kijiye.
Aur dusri baat, Kis baat par aapko Samairaa par bharosa nai hai? Koi hume exactly batayega kya chal raha hai?

SS- Maddam Mai batati hun. Actually hua yeh ki jab hum building ko jala dekhe tab hume yeh bracelet Mila, fir hum police station Gaye investigate karne toh unhone bataya ki ek scam group ne ghatiya wiring ki thi kaafi jagah jisme kaafi ghar jale usme se yeh building bhi thi.
Hume yeh baat pta chali ki Samairaa Maddam ko iss case ke baare mein pta tha fir bhi unhone humare saath share nai Kiya.

SV- Alright, how in the world am I meant to know jab mujhe khud nai pta tha.

Mujhe thodi Naa pta tha ki yeh wire wala kaand firse hoga.
Sabse pheli baat, Mujhey khud kahan pta tha aap Atal Nagar Jaa rahe hai. Aur wahan par ab bhi koi building hogi jisme yeh sab hone wala hai. Maine woh kaam kuch mahine pehle hi chodh Diya tha.

HM- Toh...

KS(cuts her in between)- Samairaa sahi keh Rahi hai. Hume mein se kisi ko nai pta tha aap dono kahan jaa rahe hai, toh Samairaa kaise aapko iss scam ke baare mein batati. Maddam Sir aapka yeh shak bebuniyaad hai.

HM- Acha? Toh puchiye inse yeh Kahan thi kal. Aur hume aapka woh bracelet abhi aapke Ghar mein dekhna hai.

KS- Yeh kaise zid kar rahi hai aap?

SV-  Isliye maine kaha tha. Yeh Rakesh ka case humne faltu mein apne sar par le liya hai. 
Aur aapko Janna hi hai naa mein Kahan thi, toh party mein. Kal aapko 8 baje pick karne ke baad pure time mein uss club mein thi. Bharosa nahi hai toh CCTV check karlo.

KS- Aur ek kaam kariye, aap check kar lijiye. Chaliye. Pehle humare Ghar chalte hai.

SV- wow great. Ab bhi aapko proof karna hai.
Arrey koi sense nahi hai inn baaton mein.  Hum time waste kar rahe hai aur kuch nai.

PJ- Maddam Sir, maaf kijiye par sach mein ek bracelet ko evidence bana kar chalna shayad galat hoga.
Aise naa jaane kitne milte hai. Yeh bas  saiyong se hua hai.

KS- inhe dekh lene dijiye PhuspaJi. Tab bharosa hoga inko hum par.
Chaliye.

SV- Ek minute. Mai bhi aapke saath chalungi.

HM- Zarur. 

KS- Nahi. Tum idhar hi ruko. Sirf hum aur Maddam Sir jaayenge.

Haseena leaves the station followed by Karishma.

PJ- Aaj pehli baar humne Maddam Sir ko itna gusse mein dekha hai.

SS- Maine bhi PhuspaJi. Pta nai par ab Haseena Maddam pehle jaise nai lagti. Naa hi Karishma Maddam.
Kitna badal Gaya hai sab kuch.

SV- Kuch nai badla hai. Bas sabka dimaag kharab ho gaya hai.

SS- Aapse jayda maine kisi ko denial mein jeete nai dekha.

SV- Ahhh just leave.

-----------------------------------------

After arriving at PhuspaJi's house, Karishma and Haseena go inside. After leading Haseena to her room, Karishma opens the vanity mirror. Additionally, the brac was within a tiny box. Karishma gives Haseena a stern expression as she displays the bracelet to her.

KS- Yeh lijiye.

Dekhiye Issey.

Aapki di Hui cheez thi yeh, woh bhi uss waqt jab hum aapko bhut  yaad karte the, toh kaise kho dete issey?

Bataiye?

Aur aapko ho kya gaya hai Maddam Sir?

Kyu aap Samairaa se aise baat kar rahi thi. Aapki problem kya hai?

HM- Problem? Woh khud ek problem hai. Jabse hum sab ki life mein aayi hai tabse aapko kuch alag nai laga?

KS- Laga, kaafi kuch alag laga.

HM- Exactly usne alag kar Diya hai aapko hum sab se. Yahi baat humne kal boli thi aapne taal di.
Par Aaj hum saaf saaf kehte hai Samairaa Vashisht...sorry... Anaya Sharma ka sach janne ke baad bhi aapne ussey apnaya.
Kyu?
Kya Kami padh gayi thi hum sab mein ki jaante hue bhi ek ladki koi maksad hai iss jagah mein aana, humari jindagi mein ghusna tab bhi aapne ussey apni priority bana Li hai.

KS- Acha.....

HM(cuts her)- Nai pehle aap humari bat suniye.

KS- Okay okay chill boliye.

HM-Dekha! Abhi bhi aapne uska dialogue bola.

KS- Maddam Sir!
Uske saath rehnge toh thoda bhut hi sahi dialogues toh aayenge Naa.

HM- Acha? Hum toh jazbaat jazbaat karte thakh gaye. Woh kyu nai aaya?

KS- Yehi toh problem hai. Jo aap kabhi samajh nai paayi. Maddam Sir aap aap hai aur hum hum.
Hum do alag insaan hai.
Sabke paas ek alag feature hota hai jo unhe duniya se alag karta hai.
Agar hum aapke jaise ban jaayenge toh aapke aur humare beech mein kya farak hoga?
Duniya balance se chalti hai. Jitna aapke jazbaat zaruri hai utna hi humara bhaukaal.
Aur Maddam Sir ginti kariye aapne kitne cases se hume nikala hai.
Atleast humne aapke saath toh Aisa nai kiya.
Aapko, Santu, PhuspaJi, Cheetah aur Samairaa inn sabko humne mauka Diya apne nazariye se apne tarike se case handle karne kaa.
Aapki mansha jo bhi thi, par aapka tarika galat tha. Jiski wajah se aapke humare beech yeh man mutav hua.
Aapne hume khud par shak Kara Diya tha.
Khud ko hum kisi kaam ka nai samjhte the.
Har waqt aapse khud ko compare karke khud ko Kam samajhte the.
Ek samay aa gaya tha hum yeh duty karna bhi nai chahte the. Kyu kare bhala. Nai hai hum iske layak.

HM- Aisa nai hai.

KS- Sach mein. Aisa nai tha. Aur pta hai yeh baat humne kissey seekhi.

HM- Phuspa Ji ke Lalla?

KS- Samairaa Vashisht urf Anaya Sharma.
Haan woh bhut alag hai hum sab se, uska koi maqsad hai humare paas aane ka.
Par Maddam Sir, sirf woh thi jisne hume khul ke accept Kiya. Jisne humari suni. Jisne humare aasun behne par apne bhi bahaye.
Usne hume apne liye kuch karna seekhaya.
Kisi ke liye issey badi baat aur kya ho sakti hai.
Usne seekhaya ki badlaav thopa nahi, dheere dheere samjha kar laaya jaata hai.
Hum Aaj jaise hai, kahin naa khain Samairaa ki vajah se hai.
Warna uss Karishma Singh toh uss din aapki goli bhale hi haath par khaayi thi, par chot dil par lagne ki wajah se mar chuki thi.
Hum naa hi Samairaa se kuch expect karte hai naa Samairaa humse.
Bas ek chota sa cheese hai jissey hum apna Dil de diye.
Kya kaare kaafi roka... Par uski aankhon ne ab humara dil jeet liya hume bhi pta nai chala.
Bhut pyaar karte hum uss bache se. Jaise humara khud ka ho.
Yehi hai ab, Karishma Singh ki duniya.

Baat sirf acceptance ki thi. Hum badle toh the aapke liye par aapne kabhi notice nai Kiya. Toh humne bhi prayas karna chodh Diya.
Maaf kijiyega agar aapko humari baat buri lagi ho toh. Par Aaj zaruri tha kehna. Humne koshish ki yeh baat Tali jaaye par nai taal sake.

HM- It's okay Karishma Singh. I am happy for you. And I am sorry. Shayad sach mein humne aapki kadar nahi ki.

KS- Aapne humari kadar ki Maddam Sir. Iss baat par koi Shak nai hai. Par shayad hum ek dusre ke liye bane hi nai hai.

HM- Shayad Haan.
Hum fir uss jagah aa gaye.
Fir hum woh do Nadi ki kinaare  ban Gaye jo saath rehte toh hai par kabhi mil hi nai paate.
 

KS- Toh kabhi ek musafir bankar kabhi humare kinare par baith Jana Maddam Sir.

HM- Humara naseeb Aisa hai ki hum mil ke bhi kabhi mil nai paayenge.
Khair chodhiye yeh sab baaton ko.
Hum ghaadi mein intezaar karte hai, aap aaiye.

After giving Karishma a shoulder pat, Haseena walks away.

KS(aside)- Jaante hai hum, aaj humari baaton ne aapka Dil dukha Diya hoga. Par aapko yeh nai pta ki aaj ussey jayda dard hume hua hai.
Par sach kehna tha aapse kyuki aapka diya dard bhi humare liye bardaash ke bahar tha.
Par yeh doori ne hume samjha Diya tha hum jitna ek dusre se dur rahenge utna hum shaanti se reh sakenge.

Sitting inside the vehicle, Haseena gazed at the empty road ahead of her.

HM(aside)- Dost ka dard hai, dil mein chhupa hua,
Kuch kar nahi sakte, bas yeh ehsaas hai bhara hua.
Chahein bhi toh kaise laayein woh laut ke,
Uski manzilon mein ab hai koi aur rasta chhupa hua.
Dil toh rota hai, magar khamosh hai awaaz,
Uske dil ki duniya mein, humara koi hissa chhupa hua.
Chahat hai usse wapas laane ki, par jaane kyun,
Uski aankhon mein hai kuch, jo keh raha hai - doori ka ehsaas hai zaroori hua.
Koshish hai dil se, magar kyun lagta hai, Woh bhi chahti nahi, rishte ko theek karna.
Dard hai yeh sachai ka, jisse hum juda hain, Par dosti ka ehsaas hai, jo ab bhi sath hai.
Mein mehsoos karti hoon, bebas hai yeh haal,
Waqt aur mauka gaya, ab bas hai khayal.
Kabhi humne samjha nahi, kitni hai kimat, Ab aansu chhupaye, dil ki har bechainaat.
Afsos hai dil mein, par izhaar nahi karenge, Unki khushi ke liye, apne dukh ko chhupa lenge.
Jo faisla kiya unhone, usse humne svikar kiya,
Dil toot gaya, par muskurana hum fir sikha lenge.

---------------------------------------------

At Mahila Police Thana

Samairaa was at the gym room punching the bag with full agressiveness and focus. While she was on call.

SV- Bracelet rakh Diya tha?

P- Jaisa aapne kaha tha ekdum waisa hi rakha hai. Aur samay rehte wahan se nikal bhi Gaya.

SV- Good Job. Apna account check kar Lena paise aa gaye honge.

P- Aap par aakh band bharosa hai Samairaa Ji. Aap paise nahi bhi dete toh bhi chalta.

SV- Dhanyavad, par aisi koi baat nai hai, kaam Kiya hai toh Paisa Lena aapka haq hai.
Chaliye rakhte hai.
Jai Shree Ram!

P- Jai Shree Ram.

After hanging up, SV stands in front of the mirror and wipes her sweat.
Taking a deep breath, Samairaa closes her eyes.

"Toh aapka yeh bracelet kya kar raha tha udhar?"

SV- Agar yeh bracelet sach mein Karishma Maddam ka hai, toh udhar aaya kaise hoga.

Samairaa was concentrating on her thoughts as she stood in front of the mirror. She gets a phone call. It rings, and Samairaa answers right away.

SV- Kya hua?

P- Maddam..... Tiwari mar Gaya.

SV - Ussey marna toh tha naa, aur kya bacha tha.

P- Nahi Maddam Ussey kisi aur ne maar Diya.

SV- Kya!

P- Maddam Sorry par hum aapko btaye nai ki Tiwari kal raat se gayab tha, hum jab ussey dhundhe toh woh mara mila.

SV- kaise mara woh?

P- Kisi ne uska gala kaat Diya.

SV- Waaah! Woh Mera kaam tha.

Tum log ke hote hue udhar koi aaya kaise?
Tum sab se mein aa kar baat karti hun. Filhaal uski body ka kuch Karo!

P- Ji Maddam.

SV- Ek kaam Karo jaisa mein bol Rahi hu.
(Blah blah blah)

Waisa karna aur iss baar koi galti Hui naa Rakesh ki jagah Tumhara gala aur meri blade. Samjhe!

P- Sorry! 

SV cuts the call.

SV- Iska matlab Mera shak sahi tha. Someone is spying on me. And they know the truth!

Continue Reading

You'll Also Like

131K 11.6K 169
Its all about fun,drama,friendship,misunderstanding and everything... lets read the beautiful bond between members of MPT..
251K 21.2K 87
The story featuring our beloved on-screen pair, the two super cops of Lucknow women police station Haseena Malik and Karishma Singh.
28.8K 4.3K 53
hi... it's my first story,ЁЯШЕ please do support #1 for karila #1for sisters #2 for bonds #4 for Karishma singh #1 for gulki A story of two completely...
288K 21.7K 100
Despite being completely different from each other, the love they hide has no bounds which makes them go any limits for each other. Story of two b...