By Your Side

By Userunderstress

42.1K 4.8K 1.3K

In the towns of Lucknow, ASI Samairaa Vashisht is a recently appointed officer. She has been told to train un... More

New Entry
Dealing with Samiraa
Friembds? No! Okay Bye!
Broken?
Hi
Waqt Ki Baatein
Samairaa Kidnapped?
Aate Jaatey
Do You Trust Me?
Cold/Mess
Unplanned Night Out
Manchala Teri Ore!
The perilous side of her
Note
Close to Cracking the Case
New strom in Karishma's life.
TP 👍
Aise Kyu- Woh kuch bole na
"Machli"
KarAaira's BHAUKAAL
Kick-Start
Samairaa- Kaushalya - Urmilla
Love and Trust
Recreation of Rama Case
Recreation of Rama's case - 2
TP
TP
Tedhi Ungli
What else do you want?
Note
Regret
Her Past
Who is Samairaa
Love the way you are
Miley Kyu?
Chidiya (Birthday Special)
Just How Fast The Night Changes
Alag Aasman
You knew it already?
Announcement
How Do I Trust Again?
Woh Akele Hi Kaafi Hai (Short Chap)
Rant!
A comeback isn't that easy.
Adios Maddam Sir
The Rift
A Reality Check
TP
You will have me forever
The Perilous Hatred Within
Chillnama
I am still haunted by the memories
Heyaa!
A clarification
I don't think my pain is your fault.
The Bet
The Real Torture.
Bandages don't fill bullet holes.
Aakhir Kyu?
Update
Holding on too tight
You just try your BEST NOT TO GET HURT!
Sometimes it's better to let someone go
Someone you called, you called YOUR ONE AND ONLY!
The Pain no one understands
Somebody loses their somebody every day
Not an update
कितनी बातें रह जाती है
Corruption
The Glory
Unreliable Promises
Disclaimer
Breaking Bones
Healing
Note
Clingy and Chaotic
A Year!
Power
Mirage
My Love
Karishma Got no chill
TP
Soft Side
Long Drive
Yes or No
Moye Moye
Oh Simple thing where have you gone?
New Rules
By Your Side (Short Chap)
I See Red
Hum, tum alag hai. Farq hai
Unacceptable Feelings
Rift between us
Profit and Profit
There's no heroes or villains in this place
Hii
Dance the night away.
Every story has an underlying secret.
There is a Mastermind
You are the reason
Your suggestion
It was just another typical day.
There's nothing between us
Mileya Mileya Mujhe
अंतः अस्ति प्रारंभः ॥
Saathi Rey, thoda teher jaa
Tu aise kaisi hai?
Our Issues
Tujhko pukare Teri parchaiyaan.
Ajeeb dastan hai yeh
Motive
Kaun Mera
Paheli

Let Everything Go Down With Me.

389 64 9
By Userunderstress

Samairaa and Karishma bring the girl back to the station. Samairaa walks towards the gym without saying anything.
Karishma asks PhuspaJi to write the FIR, and because she was so terrified, PhuspaJi could give her advice and reassure her of her safety.

KS- Maddam Sir kahan hai?

SS- Maddam, Maddam Sir toh headquarters gayi hai. But ab tak aati hogi.

KS- Thik hai. PhuspaJi Inka FIR likhiye.

G3- Maddam, mujhey FIR nai likhana.
She says slowly.

KS- Kaa? Ama tum topa ho kaa? Tumhare saath itna bada haadsa hone wala tha, aur tum FIR nai likhwa rahi?

G3- Woi toh problem hai, yeh log wapas aisa karenge, aur ab toh jayda, aap log ko beech mai aane ki kya zarurat thi?

KS- Tameez se baat karo samjhi.

PJ- Yeh kya baat Hui beta, aap FIR kyu nai likhana chahti?

G3- Kyuki... Inke paas mere private photos hai, jo yeh upload kar sakte hai. Aapko kya lagta hai, maine FIR kyu nai likhai, kyuki inhone mere ko blackmail Kiya. Ki agar maine apna mooh khola toh yeh meri photos leak kar denge. Naa jaane Kahan Kahan inhone meri photos nai Li hai. Agar meri family mai yeh baat pta chali toh woh kitne sharam mai aa jaayenge.

KS sighs and she seats infront of G3, she puts her hand over hers, and with a soft tone, speaks.

KS- Woh isiliye hua, kyuki tumne kabhi awaaj uthai hi nai, agar tum darti nai toh Aisa hota nai. Par abhi tumhare paas ek chance hai. Humne unke phones seize kar liye hai, Santosh humari data specialist ko keh kar hum tumhare videos and Photos unke phone se permanently delete Kara denge. Aur agar unhone koi site mai upload Kiya hai toh udhar bhi koshish karenge. Tum chinta mat karo, jab tak hum tumhare saath hai, hum tumhe kuch nai hone denge.
Tumhe bas ek FIR likhana hai. Samajh rahi ho?

As softly and clearly as she can, Karishma speaks. The young woman's eyes welled up with tears; she was already terrified as a result of all the incidents, and now filing a FIR makes her feel as though she is taking yet another risk.

The MPT personnel observe Karishma, who was reassuring the girl in tranquilly. Haseena arrived by this point and was observing everything from a distance. She observes that Karishma, who was calm, and the other person is grieving. When she usually ignores the changes, Haseena takes notice of them. Undoubtedly, Karishma has changed.

In the station walks Haseena. Everyone salutes her.

HM- Kya chal raha hai yahan?

KS- Bully and harrasment ka case hai Maddam Sir. Yeh apna FIR likhnane se mana kar rahi hai.

HM- Dekho, hum samajhte hai tum kyu nai likhana chahti, par agar aaj tumne apne liye ek kadam nai uthaya toh shayad woh log tumhe fir tang karey.

G3 - Kya guarantee hai Maddam, ki woh mujhey aaj joh hua hai uske baad kuch na karey. Shayad aaj jo hua hai, uske baad toh uske family members bhi mujhey naa chodhe.

HM- Aisa kya hua hai udhar?

KS- Umm... Woh Maddam Sir...

G3 cuts her and speaks.

G3- Kya nai hua hai udhar, woh police inspector toh sabko pagalon ki tarah maar rahi thi. Ek kaa haath Tod Diya, ek kaa sar fod diya. Aur teesri ke toh jaan jaane hi wali thi, yeh Maddam aake rok li. Warna unhone toh maar hi Diya hota. Itni buri tarike se maarne par bhi woh shant nai ho rahi thi, do min ke liye mujhey bhi sympathy aa gayi unke liye, par unko... Ek percent bura bhi nai laga.
Aur jab already yeh sab ho chuka hai, toh mai kyu likhaun FIR? Mere ko Mera justice mil gaya hai Maddam, mujhey jaane dijiye.

KS- Kaash itna muh tumne tab khol liya hota jab woh sab tumhare saath galat kar rahe the. Khair sach hi kaha tumne... Jao. Ho gaya tumhara justice. Par yeh mat bhoolna ki hum ab koi bhi karawahi nai karenge naa koi action lenge. Iska matlab sabke phones aur sites mai tumhare jitne bhi photos aur videos hai, woh delete nai honge. Aur yeh phones hum khud unhe wapas dekar aayenge.
Ekdum waise ka waisa!

Karishma rests by lying down on the seat with her hands on her head. She keeps one leg crossed over the other while giving the girl a bold smile and a peculiar look.

As she quickly and easily turned the table, Karishma once more astounded everyone.

HM- Dekho, Justice abhi tak mila nai hai, unko bas saza mili hai, aur agar aaj unhe hum nai roke toh shayad woh kal bhi kar sakte hai. Isliye FIR likhwa lo.

G3- Thik hai, mai samajh gayi, par mujhey thoda time chahiye. Ek baar mere parents se consult karna chahti hun.

MPT nods, and the girl leaves after giving her details to Karishma.

HM- Samairaa ko bulaiye.

She orders her sub-ordinates in a strict tone.
Santosh nods and goes in the gym room.

Samairaa was in the gym room sitting on the bed motionless and without conversing. She appeared exhausted and had anger visible in her eyes as she was thinking deeply.
SS- Samairaa Maddam.

SV- Haan.

SS- Haseena Maddam aapko bula rahi hai.

SV- Okay, Chaliye.

SS- Ji.

Haseena was seated on PhuspaJi's desk, Samaira and Santosh were standing in the hallway, and everyone else was gathered behind her. Karishma and the others at the back are joined by Santosh. Samairaa remained still.

SV- Jai Hind Haseena Maddam.

HM- Jai Hind Samairaa Vashisht.
Kya chal raha tha aaj?

SV- Kuch nai Maddam, field duty mai aaj bully ka case mil gaya toh bas sabko samjha rahi thi, ki ache bachon ko aisa nai karna chahiye.

HM- Samairaa Vashisht aap police mai kyu aayi?

SV- (Aside) Jhunjhunaa bajane ke liye,
nai yeh koi puchne wala sawal hai? Itni padhai Karo, aur fir log puchte police mai kyu aayi. Gazaab, topabazi chal rahi hai yahan!

Ek min yeh mai Karishma Maddam ki tarah kyu baat kar rahi hun? Ahh sangat ka asar ho gaya lagta hai.

HM- Hum kuch puch rahe hai.

SV- Haan? Haan! Of course...

HM- Kya hua? Jawab kyu nai de rahi. Of course, tabhi dengi naa jab koi jawab hoga. Aapne yeh wardi sirf gunda gardi aur badla lene ke liye pehni hai.
Kya jarurat thi itni buri tarike se peetne ki?

SV- Kya Jarurat?
Haha Haseena Maddam, agar aap meri jagah hoti toh aapka bhi khoon khol jaata hai woh sab dekh kar. Woh ladki ke saath bhut galat hone wala tha. Agar maine sahi time mai nai aati toh...

HM- Samairaa Vashisht aapne ussey bacha ke koi galti nai ki, hum yeh puch rahe hai ki baaki bachon ko itna maarne ki kya zarurat thi? Unhe thaane bhi laa sakti thi. Hum dekhte.

SV (chukles

SV- Kya karti aap? Unhe Jazbaat samajhati? Maddam Haseena, yeh log Laaton ke bukh hai, baaton se manna hota toh aisi harkat hi nai karte.

HM- Bina try kare aap yeh kaise bol sakti hai?

SV- Mujhey try bhi nai karna, aapka yeh Jazbaat. Jis Jazbaat ne meri zindagi barbad karke rakh di... Mere kisi apne... (She stops)
I don't give a damn about this Jazbaat!

She shouts.

And Maddam Haseena, mere kaam karna ka style yahi hai. Agar koi mere samne galat karega toh mai usko narak mai chodh kar aaungi, chahe koi bhi galti ho.
Haan pta hai kabhi kabhi dose jayda hi jaata hai, and trust me khud ko rokne ka kaafi try Kiya, par kya karun, inbuilt problem hai. Sudharti hi nai.

Haseena glares at Samairaa and becomes irritated by her actions. Karishma interrupted her just as she was about to speak.

KS- Maaf Kijiyega Maddam Sir, par Samairaa Vashisht sahi keh rahi hai. Humne khud ne dekha tha uss ladki ke saath kya chal raha tha wahan par aur kya hone wala tha. Hume nai lagta Samairaa ne koi galti ki hai. Aur yeh baat toh aap bhi jaanti hai Maddam Sir, hum galat hote nai dekh sakte. Agar hum hote toh utnaa hi maarte jitna Samairaa ne maara hai.

Karishma receives a glare from Haseena while maintaining a self righteous demeanour. Everyone noticed that Samairaa was once more preoccupied with her thoughts.

HM puts her hand over Samairaa's shoulder, but in anger.

HM- Ab kya soch rahi hai aap?

SV- Kuch nai. Aapka sawal jawab ho gaya ho toh kaam mai lagey?

HM- Do you even understand the seriousness of the situation Samairaa Vashisht?

KS intervenes again.

KS- Maddam Sir...

HM- Abhi nai Karishma Singh, hum baat kar rahe hai kuch.

KS - Maaf kijiyega Maddam Sir, par aap sirf ilzaam daal Rahi hai. Bina Puri baat jaane.

SV- Yahi toh karti aa rahi hai yeh Hamseha. Uss waqt bhi yahi kiya tha inhone. Aur aaj bhi.
  (She whispers angrily)

HM- Thik hai Karishma Singh. Jaisaa aap kahe.

Haseena says in an irritated tone.

Everyone were surfacing the heated argument between the seniors.

KS- Maddam Sir, aap abhi yeh Zazbaat isliye bol Rahi hai kyuki yeh aapke saath hua nai hai, hua toh humare saath bhi nai, par jo udhar humne dekha, bhagwan naa karey kisi ke saath ho. Aur abhi toh Samairaa ne roka isliye woh bahce zinda bach gaye, agar hum hote naa Maddam Sir, toh unki praan halak kar unke hi haath mai rakh dete. Aur jab bhi kisi aur ko tang karne nikalte toh unhe iss yamdoot ka chehra dikhta. Aur woh kya uski saat pushteni bhi kisi ko nazar utha ke bhi nai dekh paati.

HM- Aap samajh nai Rahi Karishma Singh, Samairaa Vashisht ne kaafi galat kiya hai, aur iska khamiyaza pure thane ko bharna hoga.

KS- Samairaa ne galat nai Kiya hai Maddam Sir.

SV- Ek min khamiyaza? Don't worry Maddam Haseena, meri galati ki saza aap log ko bhugatne ki jarurat nai hai. Mujhey jo karna hoga, mai kar lungi.
And now I will take a leave. Jai Hind.

"Beshaq jaa sakti hai Samairaa Vashisht"

DSP marched inside, keeping an envelope on PhuspaJi's desk while everyone gave him a salute.

DSP- Jai Hind.
ASI Samairaa Vashisht, aapko jara bhi andaza hai aapne kya Kiya hai?

SB(aside)- Nai... Nai pta hai mere ko. Kya hai naa sote sote maine kut diya sabko pakkad ke. Neend mai chalne ki aadat ho gayi hai mereko. Jisse dekho sirf ek sawal, andaza hai aapko,.andaza hai aapko?
Nai hai Bhai, nai hai koi andaza.

SV- Ji Sir, bilkul Hai.

DSP- Par aapko dekh ke lagta toh nai hai, ki aap koi guilt mai hai.

SV- With due respect, I don't have any guilt Sir.

DSP- Toh thik hai Samairaa Vashisht. Yeh lijiye aapka suspension order. Aap jaa sakti hai.

SV- Thank You Sir.

Samairaa leaves the station after furiously taking off her belt, giving her service gun to the DSP, and taking the letter.

Everyone looks at the person riding the bike and quickly dissipating.

DSP- Miss Mallik kya aap itni askasham hai ki apna thana ke staffs ko bhi control nai kar paa rahi? Yaa election mai kuch jyada hi busy hai?
Samairaa Vashisht ne aaj jo kiya hai koi explanation hai uska aapke paas?

KS- Sir, par Samairaa ne jo kiya sahi kiya hai, agar aaj woh sahi time pe action nai leti shayad woh mar jaati yaa suicide kar leti, fir kya hota sir?
Fir media aur janta toh tab bhi humare peeche pad jaati,
Police kya kar rahi thi, Police ne kuch nai Kiya, wagera wagera.

Sir hum tab bhi galat hote, aur ab bhi shayad galat lag rahe honge, par atleast hum sabko tasali toh hai naa, ki woh bache fir kabhi kisi ke saath Aisa vavyhaar nai karenge. Aur Sir, agar hum protocols leke chalte toh shayad late ho jaata, par ab ek taraf Shanti toh hai naa ki koi khatra nai hai uss ladki ko.

DSP- Baaki Ladkiyon ka kya Karishma Singh? Maana, jo hua galat hua, par aap prove kaise karengi? Uss ladki ne toh FIR file karne se mana kar diya. Kahan se laayengi aap?

KS- Ek min? Sirf hum?
Nai Sir, hum sab laayenge evidence. Puri Mahila Thana ASI Samairaa Vashisht ko innocent prove karegi.

PJ- Kya? Nai Maddam. Maaf kijiyega par hume lagta hai Samairaa Maddam ne galat kiya hai, chahe unki mansha sahi thi. Par itna torture karna galat tha. Hum Samairaa Maddam ke suspension ke khilaf nai hai.

HM- Hum bhi Sir, aur hume Samairaa Vashisht ki mansha bhi sahi nai lagi. Har baat ka matlab revenge nai hota hai. Aur yeh baat unhe samajhni hogi. Hum Samairaa Vashisht ka suspension nai rokenge.

Karishma derides their actions, not anticipating this from Haseena. Her expression turns forlorn.

SS- Sir, par mai Samairaa Maddam ke saath hun. Meri taraf se unhone jo kiya sahi kiya. Unn bachon ko unhi ki bhasha mai samjhana tha. Aur laaton ke bhoot baaton se nai maante. Also, being a victim of bully, mai ache se samajh sakti hun ek insaan par kya beet sakti hai.

Karishma is proud that Santosh made her decision without considering who was on her side. She chose the path that she felt was right for her without hesitation or fear.

DSP hears everyone one by one, then everyone looks silently at the one standing in the corner.

DSP- Ab aap bhi bta dijiye Cheetah Chaturvedi kya sahi hai, aapki point of view se?

CC- Sir sach kahe toh hume nai pta, ek taraf Samairaa Maddam ka gussa samajh mai aata hai ki, unhone sahi ke saath sahi Kiya, par unka tarika kuch jayda hi bhayankar ho gaya. Hum confused hai Sir.

DSP- Thik hai, Ab hum chalte hai, aap sab dekhiye, Samairaa Vashisht ko saza milni chahiye yaa unke upar se suspension hata Diya jaaye.

Jai Hind Sir!
Everyone salutes him, and he leaves.

Kya lagta hai, kya sahi hai?
Shayad kuch bhi nai.
_________________________________________________

Happiee Saturday you all !!!!

Continue Reading

You'll Also Like

40K 3.9K 60
Kuch Rishte Aise bhi Description: Kuch Rishte aise bhi hote hai, jinhe hum kabhi describe nahi kar paate. Kehne ko toh har rishte ka naam hota hai, j...
247K 19.7K 96
Is it always so perfect as it seems? Are predictions always true? Does True love actually exists? . . Is the love of your life really your life? Befo...
897K 88.8K 195
In my story Naina does fall in love with Sameer in school but not him. Naina and Sameer are both from Ahmedabad from the same school but Sameer neve...
531K 53.5K 128
This is a series of OS, on different events. Some imaginary and some related to real incident. Hope u will enjoy it :)