Part #14

815 38 9
                                    

Subah 6 baje Prem ke chacha ne humko uthaya.

Uthane mai hi gyan de diya kya rat bhar daru pee rahe the Jo ab tak so rahe ho sadi hai ghar mai yad hai na..?

Mai uth kar bahar aaya, bahar Pooja, Prem ki didi ki mehendi nikal rahi thi.

Didi -"good morning, utar gyi..? "

Aashu -"kya didi Subah Subah aap bhi...?

Didi -"kya Subah Subah, khud to bigda bigda isko bhi pila di tune"

Didi Pooja ki bat kar rahi thi, to kya Pooja ne mujhe fasa diya kambakht khud magati hai or khud sikayat karti hai, mujhe gussa aaya to bahut aaya Pooja pe per didi ki wajah se chup raha.

Aashu -"are maine kisi ko kuch nhi pilaya "

Pooja -"ha di, please ab maaf bhi kar do na please "

Didi -"thik hai thik hai sirf pee na or kuch to nhi na..??

Mai samjh gya ab mujhe yaha se nikal lene mai hi bhalai thi, maine brush muh mai dala or side ho liya.

Nahane ke bad mai chhat pe baitha tha, Pooja do chai leke aa gyi, mujhe laga aaj wo poora din mere samne nhi aayegi ye to khud aa gyi.

Pooja -"sorry ha, raat ko didi ko mehendi lag rahi thi, or mai bhi chali gyi sab ko pta Chal gya "

Aashu -"it's okay baith, kuch jyada gadbad to nhi ki? "

Pooja -"sayad nhi, kuch jyada yad nhi or Jo yad hai uske liye sorry bhi kam hai "

Pta nhi use kya yad tha kiss ya mehendi mai gadbad..?

Aashu -"waise yad kya hai..?

Pooja -"leave it, neeche pooja suru ho gyi hai chale "

Aashu -"chalte hai, Prem aa jaye market se to "

Pooja -"ha yar mujhe ek bat samjh nhi aayi, ye Prem ke papa Prem ke sath kuch azeeb nhi hai..? "

Maine Pooja ko poori story sunai Jo didi ne batayi thi.

Pooja -"ye to jaberjasti hai yar, aise thodi hota hai "

Aashu -"per unko Kon samjhaye., ab Chal "

Hum neeche aaye, sadi bahut badiya hui bahut sa Maza aaya hum sab ne bahut maza kiya.

Sadi ke next din hum wapas jane wale the to Pooja Prem ke papa ke kamre mai gyi, mai bhi gya wah ye bhi Pooja thi jisne Prem ke papa ki soch hi badal dali.

Pooja -"uncle mere papa teacher hai, but mera bachpan se sapna tha kaas mere papa Amitaabh bachhan jaise actor hote, Aashu ko uske papa cricketer chahiye, Govind ko uske papa sayar chahiye or kisi ke papa bhi unke marzy ke nhi hai "

Uncle -"to..?? "

Pooja -"to iska matlb ye ki jab humare papa hamare dream hero nhi hai tab bhi hum unhe pyar karte hai, fir ager bachho se ma baap ki ummid poori na ho to kya ma baap ne unhe pyar karna chhod dena chahiye..? "

Uncle -"tumhara matlb kya hai..?, kahna kya chah rahi ho..?

Pooja -"uncle ye aapka family matter hai, mai bas itna bol rahi hu ki aap Prem se bat to kiya kijiye uncle wo aapko bahut pyar karta hai"

Uncle ka chehra gusse se lal ho gya tha or mera chehra dar se kala ho gya tha, kar kya rahi thi Pooja, are isse gyani banne ki kya jarurat hai.

Aashu -"sorry uncle, Pooja Chal der ho rahi hai "

Uncle -"ek minute, baitho udher, ha to tumko lagta hai mai galat hu, mai ek strong, fit or himmat wala fouji beta chahta tha jiske seene pe bahaduri ke medal ho, wo desh ke kaam aaye aawara na bane.,to kya galat hu mai..? "

Pooja -"ok uncle thik hai fit hone ke liye Aarmy ya sports mai hona jaruri nhi wo to waise bhi rah sakta hai, or desh ke kaam sirf fouji nhi aate her deshvaasi ager apna apna kaam Kare to desh ke kaam aa sakta hai, per uncle Prem sabse pahle aapka beta hai bad kuch or,sorry ager meri bat buri lagi ho to ok uncle namskaar ... "

Hum bahar aaye aate hi maine Pooja ko ghoor ke dekha, wo smile kar rahi thi, yar koi bataye ye hai kya cheez..?

Ek ghante ke bad hum wapas jane ke liye nikal rahe the, Prem bhi humare sath hi aa raha tha, didi ki bidayi ke bad uska man nhi lag raha tha ghar pe.

Hum gate ki taraf bad rahe the, aunty humko bahar chhodne aa rahi thi Tabhi uncle bhi bahar aa gye apni wheelchair pe hum sab unke pass gye bari bari unka aasirwaad liya.

Prem ne bhi unke pair chhuve, ye kya uncle ne chair pe baithe baithe Prem ko gale laga liya.

Wah kya najara tha, hum sabko jaise viswash hi nhi ho paa raha tha.

Prem ke dil mai kitni khushi hui hogi ye to saf jaan sakte the hum.

Uncle ne Pooja ko ek smile di or usko thanks bola.

Maine bhi sir hila kar, salaam kiya is guru ji ki beti ko.

Bechara Prem use to samjh hi nhi aa raha tha ki kya hua achanak ye chamtkaar kaise ho gya.

Hum wapas lout aaye, Pooja her din mujhe surprise kar deti thi kitna kuch hai is ladki mai.

     ¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥

दोस्ती और प्यार  .....!Where stories live. Discover now