Part six

1K 41 37
                                    

Ji ha, ye ab aadat ban chuki thi.

Ladki is duniya ki wo bala hai, wo bhoot hai jo ek bar chad baithe to utare se nhi utar sakta.

Mere sath bhi yahi ho raha tha, ek talab si thi jaise kisi sarabi ko sarab na mile to hath kapne lagte hai, waise hi, bilkul waise hi mera haal tha.

Ager saam ko Gunjan se bat karke sota to subah mood bada achha rahta tha, bada man laga rahta tha kaam mai.

Mujhe mere sare dost bolne lage the mai change ho raha hu, mai hasi majak karta logo ke sath bahut khus rahta tha.

Gunjan -"to tumne, bhula diya use..? "

Maine use sirf Pooja ke bare mai bataya tha kyuki mai saari ladkiyo ke bare mai nhi batana chahta tha.

Aashu -"or kar bhi kya sakta hu, wo kisi or ko chahti hai to simply mujhe yahi karna chahiye "

Gunjan -"good, bahut sahi kiya, tum sach mai achhe insaan ho "

Aashu -"yar, mere bare mai sab jaan chuki ho thoda apne bare mai bhi to batao "

Gunjan -"mere bare mai..?, kya karoge badi boring story hai, chhodo kuch or batao "

Aashu -"koi bat nhi, suna do mai bore hona chahta hu kafi dino se bore nhi hua hu"

Gunjan -"aaj balance jyada hai lagta hai..?

Aashu -"hahaha, majak uda rahi ho..?, story start Karo "

Gunjan -"okay to suno, Lohaghat ek bahut hi pyara sa, Chhota sa hill station hai, bahut khubsoorat devdaar or cheed ke jungle se gheera hua, Himalaya ki safed pahadiya bilkul samne chamakti hai.

Yahi ek chhoti si duniya thi humari badi mast si, papa  books store chalte the, mummy bahut pyari khubsoorat jaise ki her ma hoti hai, waise hi thi.

Ek mujhse badi bahan thi, ek Chhota bhai tha.

Papa ki shop achhi chalti thi kyuki pass mai hi polytechnic college tha.

Humare do makaan Almora mai bhi the,to kafi achhi income ho jati thi kul milakar life achhi kat rahi thi.

Papa subah subah uth kar Pooja karte her subah humari need mandir mai bajati ghantiyo se khulati thi.

Maine high school pass kiya tha, or bhai ne 8th class mai top kiya tha, papa bahut khus the didi ne graduation start ki thi.

Jindagi bahut khubsoorat thi, her cheez jaise bin mange mil jati thi.

Fir wo hua jisne humari jindagi ko jahannum bana diya.

Bhai Ghar ke pass, cement factory ke khandahar ke pass cricket khel raha tha.

Ball ek tooti hui diwaar ke peechhe chali gyi, bhai use nikalne gya or.... uska pair fisal gya or.... wo ek sariya pe gira sariya gale mai...........

......

.......

........

Gunjan aage bol nhi pai, rona suru kiya or ruk nhi pai sorry bola, or phone kat diya.

Ye pahli bar tha jab mai khud chahta tha Gunjan phone kat kar aaram kare, mai khud ko kos raha tha kyu maine jid ki story sunane ke liye.

Kyu yad karwaya use ye sab..?

Mujhe need to nhi aa rahi thi, Gunjan ka rona ab tak yad aa raha tha.

Per dost, kisi ke dukh mai Devdaas banke nhi rah sakta tha.

Subah uthna tha duty karna tha, to sone ki kosis karne laga.

Raat ko achanak phone baja,pahle to laga alarm baja hai per dekha to call thi.

Screen pe "Gunjan Calling "dekh kar jaise jhatka sa laga mujhe.

Raat ke do baje, Gunjan call kar rahi thi.

Maine call kiya.

Gunjan -"Sorry, aapko itni raat disturb kiya, thodi der bat kar sakte ho..?

Aashu -"nhi koi disturb nhi, are jab tak chaho bat Karo "

Gunjan -"Sorry need nhi aa rahi thodi der bat karte hai pta nhi kyu, per aapke sath bat karke thoda sakoon sa milta hai... "

Humne bat karna suru kiya, subah Chaar baje the jab ek bar fir mera balance khatam ho gya, Gunjan ne call kiya or uska balance khatam hone tak bat ki, ab paach bajane mai do min bache the.

Mai utha kitchen mai Jake chai banai, wapas bister pe aake chai peene laga..

Ek bar fir wahi sawaal, kya kar rahe the hum..?

Kal poori raat phone pe bat ki thi, or ab bhi need nhi thi aankho mai.

Kya Gunjan bhi pyar karne lagi hai mujhe..?

Kya Gunjan ko jab sachai pta chalegi to wo mujhse nafrat karne lagegi...?

Kya mujhe sab sach bata dena chahiye..?

Kya kyu kaise kab kitne saare K the mere dimag mai.

In sab ke bad bhi ek sawaal tha, kya hua hoga aage...?

Bhai ki death, Jo ki uski baton se laga tha.

But uske aage....????

Kya kabhi jan paunga...?

Nhi ab use wo bura waqt yad nhi dila sakta tha.

Achanak pta nhi kaise, mujhe ek fikar si hone lagi thi, pta nhi kaise her waqt uska khayal rahta tha.

Ladki sirf timepass hua karti thi mere liye, per is bar sab kuch badal sa gya tha.

Mai sirf use soch raha tha, sayad wo bhi mujhe soch rahi hogi.

Bada khubsoorat sa ehsaash tha ye, ek azeeb sa maza tha isme.

Na dekha tha, na jana tha fir bhi lag raha tha jaise sadiyo se janta hu use..!

¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥

दोस्ती और प्यार  .....!Onde as histórias ganham vida. Descobre agora