Pal Pal Ki Shayari

15 1 0
                                    

Mene to kaha tha
Tune na mana tha
Pehle dil bhi to nadan tha
Kal ka na socha tha
Ishq me na padna tha
Par yeh kaha pata tha
Yeh humare bas me hi na tha
Judai ka mausam tha
Sath pal bhar ka tha
Par khushi se apnaya tha
Thoda aur waqt hi chaha tha
Tujhse toh manga tha
Tune hi nakara tha
Fariyad karu kis se
Dil toh toota tha
Jo bi tha mera tha
Fir bi khud ko manaya tha
Kis baat ke gile shikve karu
Yeh sab pata to tha
Din me bacha lete hai khud ko
Raat me barste hai ansoo
Kuch baatein pagal sa kar deti hai
Pehle shayad yeh pata nahi tha mujhko
Hajaaro dafa maafi mangte hai khudse
Koi le jaaye mujko waha
Jaha sambhal saku khudko

Pal pal ki khamoshi hai
Pal pal ki naraazagi

Thoda aur thehr jana
Jab mujhse koi shikva na ho
Har dil nahi judte
Na har dil tut te hai
Par ishq ka asool hi hai
Jab ishq hove to dil bhi tute
Aisa kyu hota hai
In yaado ko na bhulna tu
Tujhe dua kya du me
Khudse hi berukhi hai
Tune kya socha
Yeh sab duniya ka dhokha hai
Tu dil ko taslee de
Jo ho raha hai hone de
Khud ko na khone de
Kyu khudse tu rutha hai
Dil ko sambhalne de
Shikayato ko na dil pe le
Kabhi maayusi hai to
Kabhi khamoshi hai
Har pal khushi ki numaishe hai
Har koi ishq me abad nhi hota hai
Na har koi barbad hai
Har ek aansuo ki kimat hai
Lafzon me na likh pate hai
Dard e dil ke yeh sil sile

Pal pal ki doori hai
Pal pal ki majboori

Khub kehte hai log
Kal ho na ho
Aaj me jeena hai
To muskarana sikhte hai
Kuch haalat aise hote hai
Jo majboor kar dete hai
Aur ansuo se bhar jati hai meri ankhe
Mann karta hai bharlu tujhe baahon me
Par yaad aa jata hai
Tu nahi mere aas paas
Raste pe chal leta hu
Jaha kabhi mila karte the
Shayad kahi isi aas me nazar aa jaye tu
Har waqt yaad nahi karte tujkho
Bas kabhi kabhi dil se awaas aati hai mujhko
Jaa bhaag wahi jaha kahi hai tu
Dil pukarta hai tujhko
Jaldi se laut aa idhar ko
Yaad me teri dil bar bar toot ta hai
Pal bhar ke liye laut jana tu
Yahi aas hai phir se
Karmo ka yeh lekha jokha hai
Kabhi to milega fal mujhko
Yaadon ki baarat leke ghumte hai
Kabhi kabhi khushi se roo jate hai
Toh kabhi kabhi dard se

Pal pal ki fariyadein hai
Pal pal ki yaadein hai

Mein bhi kya chaahu
Tu samjh na paye
Yeh kaisi majboori hai
Milna zaroori hai
Ya ishaara hi kaafi hai
Yeh teri meri yaari hai
Usi se yeh dil ki bimari hai
Iis baat ko sabne na maani hai
Yeh nazuk se dil pe bhaari hai
Ishq karna badnam hai
Fir bhi roz log ishq me dube hai
Dil dil hai aur yeh hum pe haavi hai
Darr hai simat ke phir tutne ka
Aur kya kahu yahi to zindagi hai
Kab tak bhaagenge
Kabhi toh samna karna hai
Aaj nhi toh kal ek baar dil toh tutna hai
Kabhi ruthna hai
Toh kabhi manana hai
Dard Ko humdard ki jarurt hai
Yeh sab duao ke karname hai
Darr darr ke kyu jeena hai
Kabhi haar hai
Kabhi jeet hai
Bas jee bhar ke jee lena hai
Dil ke bojh se door hona hai

Pal pal ki nadaani hai
Pal pal ki samajdaari hai

ShayariWhere stories live. Discover now