manik ka naraj hona

2.2K 201 19
                                    

part 29.

#Mr_mrs_malhotra

Manan fight ab aage.

next morning .
jab nandani ki aankh kholti hai to manik bed par nahi hota hai samne clock par najar jati hai to waha par 8 baj rahe hote hai.
nandani _ oh shit 8 baj gaye hai aur main soti rahi kya sochenge sab aur manik bhi shayd niche ready hokar chale gaye honge chal nandani jaldi chal tayyar hokar niche chal ye late tak sone ki aadat pata nahi kab thik hogi Teri.
jaldi se fresh hokar niche jati hai aur samne sab Brakfast ke liye tabel par bethe najar aate hai. .nandani sab ko betha dekh thoda norvouse hoti hai aur nyu ose dekh kar.
nyu _ nandani beta aajao bas Brakfast start hi kar rahe hsi sab tumhara hi wait ho raha hai.
nandani _ ambress fill karte hue sorry maa woh aankh nahi kholi pata nahi kaise.
nyu _ it's ok beta hota hai aajao betho sab ready hai navya beta aajao aap bhi.
navya _ a amlet liye aati hai kitchen se bahar.
aur tabel par rakh deti hai nandani beth ne se pehle dadi ki Mr malhotra ki blessing leti hai phir nyu ki ye dekh sab khush hote hai aur nandani phir manik ko dekhti hai jo aaram se betha Brakfast kar raha tha nandani ki tarf osne dekha bhi nahi tha nandani thoda hurt fill karti hai aur manik ke pas wali chair par jakar beth jati hai aur sab chup chap Brakfast karte hai aur dadi keenly nandani ko obsarv karti hai aur.
dadi _nandani bahu.
nandani _ Ji dadi.
dadi _ beta mang bhar na yad nahi rehta aapko.
nandani mang main hath rakhti hai aur.
nandani _ woh jaldi jaldi main bhol gayi dadi sorry. sharminda hokar headdown karleti hai aur.
dadi _ beta yad rakha karo ab suhagan ho tum ye koi bhol ne ki baat hai kya.
nandani kuchh nahi bolti hai aur manik ose hurt fill karte dekh restless hota hai aur.
manik _ oh come on dadi aadat nahi hai abhi ho jayegi don't worry.
dadi _ achha itni hi fikar hai na wife ki to daily yad rakha kar ki osne sindor lagaya hai ya nahi phir mughe kya jaror at hai kuchh bhi kehne ki.
manik _ ok yad rakh longa main ab khush ab plese stop it na gusse main oth kar waha se sidha mandir main jata hai aur waha se sindor laa kar nandani ki mang main bhar deta hai aur nandani shoked si manik ko dekhti hai aur aankho main aanson dekh kar manik thoda pareshan hota hai aur.
manik _ lo dadi laga diya sindor ab khush subha subha chhoti si baat ko kitna bada kar diya bag otha kar waha se chala jata hai aur nandani ose jata hua dekhti rehti hai aur phir chup chap oth kar apne room main aa jati hai aur thodi der main sarvent aata hai.
sarvent _ bahu rani sahab ka valet aur mobile de sahab ne mangwa ya hai bhol gaye woh.
nandani _ han woh raha le jao tabel par rakha hai.
sarvent lekar chala jata hai aur tab hi nyu navya ke sath aati najar aati hai.
nyu _ upset ho beta. dadi ki bato se.
nandani _ no mom it's ok mughe yad rakh na chahiye tha.
nyu _ woh porane ritual ko bahut manti hai dekhi aaj tak msin bhi sindor lagati ho woh bhi mang bhar ke thoda sa nahi woh manti hai isse pati ki omer lambi hoti hai to plese beta room se aao to mang dekh kar aaya karo apni navya to yad rakhti hai tum bhi yad rakha karo aur abhi office join mat karna guest aate hai tum dono se milne ke liye to tumhara hona jarori hai I hope you understand beta.
nandani _ Ji mom thik hai abhi join nahi karogi office jab aap dadi kahegi tab karogi.
nyu _ thanku beta khush raho tum dono behne bat  karo main chalti hon.
nyu ke jane ke baad navya nandani ke pass beth jati hai aur.
navya _ kya bat hai nandani pareshan ho dadi ki baat se.
nandani _ahhh nahi to onki baat se kya naraj hona woh badi hai humne.
navya _ phir face par smile kyu nahi hai tumhare.
nandani _ rote hue rat ki sari baat navya ko bata deti hai aur.
navya _ oh God nandani kab aqal aayegi tumhe mughe samgh main nahi aata hai kuchh bhi souch leti ho kuchh bhi bol deti ho manik pati hai tumhara koi staranger nahi hai woh woh agar pati hone ka haq lens chahe Le sakta hai tum nahi rok sakti ose yar.
nandani _ but I am not ready for this navya. .
navya _ ye woh bhi janta hai issliye osne limit crose ki kya bolo shadi ke baad.
nandani _ nahi woh main rat ko bas oske itna pass hone se Dar gayi aur pata nahi kaise woh sab bol gayi.
navya _ aur phir bhi woh subha Teri help karke gaya dadi se argument karke gaya tere liye dekha na tumne.
nandani _ han
navya _ sorry bola ose apni galti ke liye.
nandani _nahi jab bola woh so gaya tha cute sa face bana kar bolti hai aur navya ko hansi aa jati hai sun kar.
navya _ nandani nandani mairi jaan now you are marid change ko realise karo bachcha aise nahi chalega tumhare hisab se sab kuchh galti ki hai to except bhi karna si kho nahi rishta majbot kaise hoga dono ka bolo. Ab chance diya hai to dil dimag dono se do na yar
navya _ Ji aage se khayal rakgongi galti na ho mugh se.
navya _ that's Good chalo ab Rona band karo aur face wash karo aur niche chalo mom ki help karo kitchen main dadi ke pass betho jaa kar ke.
nandani _ kyu
navya  _ onhe achha lagega nahi woh samghe gi tum subha ki baat se ab tak onse naraj ho samghi mairi behan.
nandani _ oh aati hon. Kya kya karna padta hai shadi ke baad na hi karti to achha tha kabhi pati naraj kabhi dadi mairi to koi marji hi nahi bachi hai shadi ke baad badbadate hue washroom main jati hai aur navya bas ose dekhti rehti hai ki pata nahi kaise adjust hogi ye manik ke sath ab tak change ko except hi nahi kar paa rahi hai jo shadi ke baad life main hote hai

phir dono niche jaa kar beth jati hai aur nyu aur dadi ke sath baat karti hai aur dadi nandani ko normal bihave karte dekh relx fill karti hai aur nandani bar bar gate ko dekhti hai kyunki lunch manik ghar par hi karta tha aaj kal sab aajate hai manik argent work ki wajha se nahi aata hai aur nandani oske na aane se hurt fill karti hai chup chap khana kha kar apne room main jakar let jati hai. phir night main bhi manik dinner ke liye nahi aata hai aur nandani oska wait karne ka keh kar dinner nahi karti hai aur oska wait karne lagti hai tabel par beth kar aur late night manik jab enter karta hai aur tabel par headdown kiye leti nandani ko dekhta nahi hai aur room main jata hai aur bed par nandani ko na dekh kar shoked reh jata hai aur
Manik pov oh God room main nahi hai kya ghar chali gayi mairi wild wife par gussa to main hon woh kyu gayi kahin dadi ki baat se naraj to nahi ho gayi na kya yar achhi shadi hui hai mairi din rat bas isi souch main laga rehta hon madam ka mond kab sahi hai kab kharab isse achha tha shadi hi nahi karta main soucha tha oske sath lunch nahi kiya to dinner to karonga par yahan to madam hi gayab hai achhi shadi hui hai pehle mom wait karti thi ab woh bhi so gayi jakar ke ab koun khana garm karega maire liye jata hon niche pov end

waps niche aata hai Jahan nandani tabel par bethi headdown kiye shayd so gayi thi. Aur manik ose dekh kar relx hota hai aur kahin na kahin khush bhi
manik pov  thankh god nahi gayi ghar par  yahan kya kar rahi hai ab tak bethe hue dhere se chalte hue oske pass jata hai aur dhere se oske shoulder par hath rakh deta hai aur nandani chonk kar oth jati hai aur.
nandani _ are aap aagaye chaliye dinner kar lete hai maine bhi nahi kiya hai abhi. Tak aapka wait kar rahi thi isliye mom ko bhi sone bhej diya maine
manik _ kyu nahi kiya kar lena chahiye tha mugh jaise husband ke liye jagne ki kya jaror at thi jo rat ko tumhara fayda otha ne ki koshish kar raha tha nandani ko pareshan karne ke liye smile hide karke bolta hai aur bas nandani ka dimag ghum jata hai ye sun karke aur.
nandani _ ho gayi galti manti hon subha sorry bolti par aap chale gaye the ab kya oss baat ko bar  bar bol kar mughe sharminda karenge aap to sorry mughe baat hi nahi karni aapse aap ke liye bhoki bethi ho take aapse sorry bol sako par nahi aapko to moqa mila hai mughe pareshan karne ka chhode nge kaise moqa  ko dinner karna hai to karle nahi karna hai na kare good night keh kar jane lagti hai aur manik oska hath pakd leta hai aur.
nandani _ manik chhodo maira hath aanson bhari aankho se bolti hai aur.
manik _ bas itne se mazak ko samgh nahi paayi Mrs malhotra.
nandani _ matalb.
manik _ are yar naraj hota to subha side leta tumhari dhere se oske aanson saf karta hai bas dekh raha tha kitni bardaasht hai tum main but tum to bahut lose temper ho yar mairi tarha ek minute main dimag garm ho jata hai tumhara bhi.
nandani _ main aisi hi ho kya karo.
manik _ to main bhi aisa hi hon yar chalo dinner garm karo bahut bhok lagi hai lunch bhi nahi kiya tha maine softly oska hath pakd kar tabel tak laata hai aur.
nandani _ what kyu nahi kiya lunch kaam apni jagha lunch apni jagha par aadat change kare apni galt aadat hai.
manik _ ok ok just relx abhi to dinner karne do mughe lecture se pet bharo gi maira.
nandani _ nahi bas abhi laati ho aur gate par khadi navya dono ki bonding dekh kar smile karne lagti hai aur room main chali jati hai aur dono dinner karke sath sath room main enter karte hai aur.
nandani _ thank God aap gussa nahi hai nahi to mughe kuchh aur karna padta.
manik _ achha kya karti.
nandani _ kaan pakd kar up and down karne ka soucha tha.
manik _ realy.
nandani _ han isme kya hai galti karti ho tab aise hi karti hon main.
manik _ aww maine miss kiya phir to mughe gussa hi karna chahiye tha tum par itna achha scene hota na plese karke batao na.
nandani _ pagal samgha hai kya mughe so jaye .ab .smile karke bolti hai aur manik bas ose dekhta rehta hai.

Mr and Mrs malhotra. (Complite),Όπου ζουν οι ιστορίες. Ανακάλυψε τώρα