*****************
Balcony....

Naina..... (Pov)

" Kyu hua mere saath aisa????
Maine toh sirf Abhi se mohabbat kiya tha na....
Kyaa Meri itni bhi aukat nii thi ki mujhe thoda sa jagah mile uski Dil mein...uski zindagi mein....
Main jii leti uski gehri saaye ke ander.... uske gussa...
uske naarazgi ko sehkar...

Maine aisa konsa gunah kiya tha, ki woh mujhe chodkar jaaye???
Joh, mere chehra dekhe bina, kadam tak nii bhadatha tha, usne,
Ek baar mudke mere taraf bhi na dekhe bina, ek lafz bhi nii bole,
aise kaise milo door tak chal Diya.....

Kyaa yahi thi uski mohabbat mere liye, jise saath janmo Tak nibhane ka waada kiya tha usne????

Yesa Chala gaya woh jaise, kisi train se utarke apne mazil Tak jaane walon jaise.... jise khabar bhiii nii rehti ki uske baad woh kaha jaayega....

Kyu kiya usne aisa???....
Bus mere aansuvope apne muskurahat ko sajha ke chala gaya.....
Mere sapno ko apne paav ke neeche dabake, humare riste ko sirf ek mazak banake chala gaya....
Mere chote se duniya ko tabah karke, apne sehre ke saath, mere toote huye Dil ko bikhar kar chala gaya....

Kyaa Meri kismat mein likha tha sirf furqat???
Sirf yahi tak tha humara safar????...." then slightly touching the chain which making her more restless,

" aur yeh....
yeh sirf ek Bandhan he joh mere jism ko baandh rakha he...apne rooh se alag karke....

Yeh sirf ek bedi he, jisne naachte huye mere kadamonko, rok rakha he....apne khushiyaan, sapnonko sheeeshe jaisa choor choor kar ke...." slowly removing the mangalsutra, partially,

" Maine kabhi ek pal ke liye bhi nii socha tha ki Meri zindagi ka ehem phaisla yese liya jaayega....jise sunne ke liye main hosh mein ni thi...

Meri Shadi????...." laughing sarcastically,

" Woh bhi ek yese insaan see, jiska poora naam tak nii jaanti main.....
Jiske Zindagi ke baarein mein koyi khabar nii he mujhe, siway mere 'Bhai ke dost' yeh ek pehchan ke....

Kiski galti thi yeh???
Meri, jisne aankh band karke apne pyaar par bharosa kiyaa...???...." then remembering Abhi and Naveen,

" Yaa fir Bhai ki, jisne apni behan ke pyaar par bharosa kiya????...." then remembering Raj,

" Yaa fir, us insaan ki jisne ek pal mein hi mere maang mein apne naam ka sindoor bhar Diya, Bina mere marzi ko jaane....sirf isliye kyunki woh apne dost ke aankhonmein aansu nii dekh paya...." suddenly getting high with thinking about her,

" Kisiko kyu nii dikha Mera dard????
Subko sirf apne hi dard kyu mehsoos hua....
Kyu kisine mere baare mein nii socha???
Aur is daldal mein phasa Diya, jaha sirf mere aah he Meri rooh ki....

Kyaa sirf shadi se hi poora hota he ek ladki ki Zindagi???.....
Kyaa meri koyi wajood nii he is duniya mein...." realising the current situation she is drenched in,

" Nii...main nii jii sakti uski ghair haazri mein....aur " and touching her sindoor,

" Naa hi....saans le paungi....iski maujudagi mein..."

Tears started flowing one by one as if they too are leaving her....fed up with her constant blaming....
And she sat there like a beautiful doll... kept aside after playing for years....in a spare box....

The night grew more darker with the wails of two souls....
one which is easily expressing her turmoils through bawling and cursing the destiny....
Another which is trying hard to accept the grave he was concealing himself to live with rest of his breath.....

Black HeartsWhere stories live. Discover now