Chapter 11

216 22 29
                                    

Saansain bhi leti hain tujhse ijazat yeh kaisay keroon mein bayaan
Tujhse Mohobat hai mujhko hoyi
Bekhayali mein Dil dediya
~Ost of Hum Kahaan Chal Diye [Dhoombros]

Early Update!!!!
Eid Mubarak Everyone!!!
Happy Reading!!

"Woh tumharay qaabil nahi!" Asfandyaar ki yeh baatain mere dmagh mein ghoom raheen theen.

Raat mein iftar se ghar aker Mainay Zartab ko call kerli thi.

"Hayeee Anmol I still remember when you told me tujhe pyaar hogaya hai." Zartab ne hanstay hoye kaha tha.
"Haan class mein randomly bethe hoye thay and I was like, 'Mujhe Pyaar hogaya hai!' aur tunay alam e hairangni mein pocha tha kisse..."

"Hamdan Ali Khan se!" Hum dono ne ek saath Hamdan ka naam liya, phir kafi dair tak hanstay rahay.

"Aur tunay kaha tha, Lo jee kahan tw uski shkl bardasht nahi hoti thi, aur kahan usse pyaar hogaya..."

"Acha Madam ronay wonay ka koi scene nahi horaha theek hai."

"Roo nahi rahi yaar.. I am actually feeling very light."

"Qasmeyyy na?"

"Asal khushi tw tere saath beth ker purani yaadain dohranay mein hi ati hai."

Kafi dair baatain kerne ke baad mein ja ker tahajud perhne beth gayi. Ramzan ke akhir ke 10 din thay, mein in dino mein bohot kuch mangna chahti thi.

Namaz perhne ke baad jab mainay dua perhne ke liye haath uthaye, tw meri zubaan per khud ba khud hi Hamdan ka naam agaya tha, uske khayal ko zehen se nikaltay hoye mainay apnay aur apnay maa baap ki sehat o zindagi ki dua ki aur phir jaanemaz se uth ker jaker bed per sonay lait gayi.

"Diye bujh jatay hain Hamdan Ali Khan, per woh aag nahi jo tum mere dil mein lgagaye ho."

🌿🌿🌿

Kal Eid hai, aur zindagi mein phele jaisi koi excitement nahi. Qasam se yaar apnay mulk mein Eid kerne ki baat hi aur hoti hai.

Na Chand raat ki excitement, na Chacho se lar lar ke Eidi lene ka intezaar. Agar kisi baat ka intezaar hai tw woh bus Chand dekh ker dua mangnay ka.

"Bachay Chand Mubarak!" Amma ne jaisay hi mujhe Chand Mubarak kaha, mein waisay hi dupata utha ker bahar bhagi.
"Beta... Beta!!"

Chand kahan hai? Woh raha!
Ya Allah! Hamdan Ali Khan!!!!
Aap jantay hain mein kya mangna chahti houn, lafzoon mein bayaan nahi kersakti. Ap tw diloon ka haal jantay haina, tw bus meri yeh dua, yeh muraad, yeh iltija poori kerdein!
Ameen.

Raat ko namaz perh ker jab mein sonay leti, tw mere haath mein Hamdan ki tasweer thi.
Tum sirf pasand nahi ho meri, tum ishq ho mera, tum junoon hi mera. Mujhe aqeedat hai tumse aqeedat.

Tumse mil ker tw mein khud se mili houn Hamdan, tumse juda hogayi tw Rooh nikal jayegi.
Meri har dua ki shurowaat ho tum, meri har nazaar tumhara Rasta dhondti hai. Mere asmaan ki zameen ho tum. Tumse Rooh ka rishta hai mera, ek aisa rishta jisse mein koi naam nahi desakti.

🌿🌿🌿

Eid ke dosray din hum raat mein Zara ke ghar gaye thay. Wahan batoon batoon mein Zara ne Asfandyaar ka dil tornay ka kaam kerdiya tha.

"Asfand btao zra Anmol ko, ke hamari engagement bus Ghar waloon ki khuwaish thi, aur tumhe mujhse koi mohobat wohobat nahi hai."

"Haan!" Mein Asfandyaar ki ankhoon mein woh dard aur inkar mehsos kersakti thi jo uski Haan ke peeche tha.

"Acha mein ati houn neeche se."

"Acha hi hai chali gayi, ajeeb situation hogayi thi."

"Ek hamari rani sahiba, sard mizaaj aur akro, aur phir hamaray raha sahab hain jo un per poori tarha martay hain."

Woh halka sa muskuradiya.

Mein tumhe bta bhi nhi sakti tum kya ghalti kerne ja rahi ho Zara. Asfandyaar jaisa larka naseeb waloon ko bhi dhondnay se milta hai. Tumhe milgaya hai Aur tum thukrarahi ho.

Assalam O Aliakum!!!
Eid Mubarak Everyone!! And those in Pakistan Chand Mubarak 🌙

How's the chapter people??
Please mujhe bhi meri eidi (your votes and comments) dedein ab 😇😇

Jazak Allah!!!

June 15th, 2018

Sadqay Is Dil keWhere stories live. Discover now