Chapter 10

214 23 23
                                    

محبت اب نہںی ۂوگی
Mein uska muntazir houn badgumani jab nahi hogi
Mohobat Ab Nahi Hogi

21st Roza Mubarak Everyone!!!
Happy Reading!!

Kash woh waqt wapis ajaye, jab tum mere samnay thay, jab tumhe dekhne ke liye mujhe koi rukawat nahi thi. Aur aaj dekho, tumhe khuab mein dekhne ke liye duaoon mein mangti houn.

Itnay mein mera phone vibrate hoa, Haye konsa Hamdan hoga! I sighed.

Zartab
Yeh Hamdan ki instagram story dekho zra

Likha hai, "Wish we could turn back time, to the good old days."
[9:27 PM]

Me
Tw yeh mujhe kyun btarahi ho?
Breakup hogaya hoga Alizeh se.
[9:27 PM]

Mainay kahan socha tha ke tera saath naseeb hi nahi hosakay ga. Mujhe gham hai ke tu mera na hosaka, aur na hosakay ga.

"Beta Aaj Zara ke Ghar iftar per Jana hai. Tyaar hojana." Ammi ne mere kamray mein aker btaya.
"Ammi aur kon kon hoga?"
"Bus uske mangetar ki family hogi."
"Acha theek hai."
Woh phir kamray se bahar chali gayein.

Abay yaarr!! Phir us Asfandyaar ki shakal dekhni peray gi. Kya musibat hai? Bacahalena Allah!!

Mein aur Asfandyaar iftari ke baad Zara ke kamray mein bethe hoye thay.
"Aur kya chal raha hai zindagi mein?" Asfandyaar ne achanak se pocha.
"Sab set Hai Alhumdullillah! Tum sunao baat ki Zara se??"

"Kya baat kerni hai Zara se?" Zara ne acahnak kamray mein aker pocha.
"Btao Asfandyaar!" Mainay muskuratay hoye usse dekha.
"Haan Asfi bolo na?" Asfand ne jab kuch nhi kaha tw Zara phir boli, "Agar Tw tumne mujhe nahi btaya Asfi, (raising her tone) tw mein yeh juice ka glass tumharay upper khali kerdoongi."

Mein hansnay lagi tw Asfandyaar bhi mujhe dekh ker hans diya.

"Yeh konsa nawa kata khola hai tum dono ne??"

"Aao sunao tumhe ek kahani
aao sunao tumhe ek kahani
jaha ka tha raja
waha ki thi rani
Suno Chanda
suno chanda
Sunooooo Chandaaaaaa!!!!!"

"Chup kerja Anmol ki bachi!" Zara ne nuskurtay hoye kaha. Aur Asfandyaar usse muskuratay hoye dekh raha tha.
The way Hamdan used to look at me. Kya soch rahi hai Anmol. Khuda in dono ko hamesha khush rakhay bus!

"Acha kaheen chalain hum? Mein bore horaha houn?" Asfandyaar ne kaha.

"Hun tw nahi horahay! Kyun Zara? Jo bore horaha hai woh chala jaye! Kyun Zara bolo?" Mainay hanstay hoye bola.

"O yaara Maira Dil Deewana ae tairi iss muskurahat da" Zara innocently said.

Allah yeh kitni cute lagti hai Punjabi boltay hoye. Kya yeh bhi Asfandyaar se itni hi mohobat kerti hogi jitni woh usse kerta hai? Kash kerti ho!

"Theek hai betho tum dono yahan. Mein tw jaraha houn."

"Byeeeee??" Hum dono ne saath mein bola.

"Haan tw jee Zara madam, ab ap humain btaiye ke ap ki aur Asfandyaar ki engagement kaisay hoyi thi?"
"Yaar hum high school mein best friends thay, aur hamaray parents bhi kafi achay dost hain apas mein. Un logon ko yeh ghalat fehmi thi that we like each other, aur humain ek dosray ke mathay mardiya." She sighed.

"Magar woh tw tumhe pasand kerta hai."

"Haan kerta hoga as a dost."

"Nahi Zara! Woh mohobat kerta hai tumse!"

"Usne kuch kaha hai Anmol kya tumse?"

"Nahi... But the way he looks at you."

"O yaara zyada na soch, aisa kuch nahi. Yeh mangni shadi tak nahi jaye gi."

Isse phele mein kuch kehti Zara se, Asfandyaar kamray mein agaya tha.

"Acha mein ati houn zra." Zara kamray se uth ker chali gayi.

"Kaisi hain aap?"
"Aap yeh kitni dafa pochaingay?"
"I mean Aaj kafi achay mood mein lag rahi ho. Achi lag rahi ho. Hansti raha kero."
"Agar woh kisi aur ke saath khush hai tw ab mujhe bhi gharz nahi."
"Good! Bhool jao usse Anmol."
"Itna asaan hai kya?"
"Woh qaabil nhi tumharay?"
"Woh mere qaabil nahi, ya mein uske qaabil nahi?"

*A/N:
Assalam O Aliakum!!!!
Ramadan Kareem Everyone!!!!!

Aaj ka chapter Mainay long and light rakha because of Ramzan.

Please drop down your comments 😇

Please ignore any mistakes in Punjabi. Remember Zara is Punjabi not me!! (I am trying to learn Punjabi through dramas and friends)

Allah Hafiz 🌟

June 6th, 2018

Sadqay Is Dil keWaar verhalen tot leven komen. Ontdek het nu