Chapter 6

286 29 64
                                    

Rabba qismat mein rona kyun likha

Hina ki call? Yeh kyun mujhe call ker rahi hai?

"Hello!" Mainay dartay dartay phone uthaya. Mana ke Hamdan ki ex meri dost thi, magar phir bhi hamari kafi arse se koi baat nahi hoyi thi. aur yaqeenan Hamdan ne usse mera koi zikr tw kiya hi hoga.

Formal Hi Hello aur haal chaal pochnay ke baad usne achanak pocha.

"Anmol! Tumne mujhse Hamdan ka number kyun manga tha?"

"Woh yaar kuch misunderstandings hogayi theen, bus ishi liye."

Mainay usse jhoot bol ker taal diya tha. Mein chahti tw usse btasakti thi ke uska ex-boyfriend uske hotay hoye mujhe ghoorta tha, aur meri zindagi azaab banayi hoyi thi. Woh mera yaqeen bhi kerleti, aur mein Hamdan se khudse mohobat kerwanay ka badla bhi lesakti thi.

"Phir bhi Anmol, kya misunderstandings hogayein theen?
"Yaar kuch masla hogaya tha, per ab aisa kuch bhi nahi hai. Yaar please samjho, mein nahi btasakti."
"It's okay I understand!"
"Sorry yaar! Aur haan Hira? Please yaar kisi ko btana mat hamaray beech jo bhi baat hoyi."
"Don't worry I won't."

Usse baat kerne ke baad meri ankhain ansoon mein doob gayi theen. Mujhe Hira ko shuro mein hi btadena chahiye tha sab kuch.

Zindagi yun tujhe socha nahi
Jeeliya jis tarha
Waisay chaha nahi
Kya pata jo hoa kyun hoa?

Hira se baat kerne ke baad mein sogayi. Kafi dair sonay ke baad meri ankh Zartab ki call se uthi.
"Hamdan aur Alizeh ki pictures dekhein tumne?" Zartab ne achanak se pocha, tw mere chehre per se muskurahat ghayab hogayi.
"Yaar mein ek baat soch rahi thi."
"Kya?"
"Hamdan tw un mardoon mein se hai jo apni cheez per kisi ki nazar bhi na perhne de. Tw yeh apni aur Alizeh ki tasweerain kaisay post kersakta hai?"
"Tum kya soch rahi ho Anmol?"
"I have a very strong feeling Zartab, ke Nikah nahi keray ga woh Alizeh se."
"Matlab?"
"Mard jis aurat se mohobat kerta haina, woh usse duniya ki nazroon se chupa ker rakhta hai. Aur jis aurat ki woh dosron ke samnay numaish keray, woh usse mohobat nahi kersakta, woh sirf uska istemaal kerta hai."

Mein nahi janti tum mere liye kya ho Hamdan. Mein bus itna janti houn ke mein tumse jab se mohobat kerti houn jab mein shyd janti bhi nahi thi ke mohobat hoti kya hai.

Nadani kehlo bachpan ki, mein ishq tumhi se kerte houn.

Mein tumhe cheen lena chahti houn Hamdan. Mein nahi dekh sakti tumhe kisi ke bhi saath. Mera dil kerta hai ke barbaad kerdoun Alizeh ko.
Kya soch rhi ho Anmol tum? Tum Alizeh ko beshuk barbad kerke jeet jao! Per akeli hi rehjao gi. Tumhe kuch haasil nhi hoga. Mere Khuda! Mujhe kis imtehaan mein daldiya hai.

Assalam O Aliakum People!!!
How's the chapter?

Sorry for the late update!! InshaAllah I will try to update early next time!!

Sorry for the late update!! InshaAllah I will try to update early next time!!

اوووه! هذه الصورة لا تتبع إرشادات المحتوى الخاصة بنا. لمتابعة النشر، يرجى إزالتها أو تحميل صورة أخرى.

20th February 2018

Sadqay Is Dil keحيث تعيش القصص. اكتشف الآن