saas ne Anshi ki maa ko dekha aur teekhi aur thandi awaaz me boli

Arre bahenji saadisuda aurat apne sasural me hi achhi lagti hai...agar bahu yaha rahegi nahi to ise apna ghar kese samajhe gi boliye....bahu ab is ghar ki izzat hai...

Anshi ke papa jo ab tak chup the...dheere se bole
bahenji ham to bas beti ki sehat ke liye kahe rahe hai ...hamara wo Matlab nahi

saas gusse se haanth dikhakar kahti hai
sehat ke liye dawaiya hoti hai bhaishahb
maa baap ka ghar nahi ,agar kamzor hai to ham doctor ko dikhayege ...
apne ghar le jaane ki baat mat kijiye

ye baate sunkar Anshi ki maa ki aankho me aasu bhar aaye ...wo halki si rohasi awaaz me kahti hai...
hamari laddo hamesha hamari aankho ke samne hasti muskurati rahi hai ,aaj use yu murjhaya ,kamzor dekhkar sahen nahi hota ...ham apko thes pahuchana nahi chahte  ,par app ek maa ke dil ka bhi haal samajhiye bahenji

isi dauran jaydev office se aagaya uski nazar Anshi ke maa papa par padti hai
jo Anshi ko apne sath le jaane ki baat kar rahe hote hai ...
wo bhari kadmo se baithak ki taraf gaya

jaydev: kya chal raha hai yaaha... thodi uchi awaaz me...

jaydev ki maa turant bol padi
dekh naa beta ...ye bahu ko kuch din apne sath le jaane ki baat kar rahe hai
ab tere saas sasur hai tu hi baat kar

jaydev ki nazar baithak se thoda dur khadi Anshi par jaati hai...uski aankho me gussa utar aaya ....

Anshi bimar hai , par subha to kaam karti dikh rahi thi...ye sab nayi nautanki kya hai Anshi...
wo Anshi taraf dekhkar kahta hai
Anshi daar se apne saree ke pallu ko zor se pakad leti hai...uske hoonth thartharane lage...

maa beech me bol padti hai
maa : nahi beta laddo koi nautanki nahi kar rahi ...tum khud dekho wo kitani kamzor hogai hai, kya yese hi ise hamare ghar se laye the bolo
wo Anshi ki taraf dekhkar kahti hai
tabhi sasur bolte hai
sasur : vaahya ke baad beti se itna mooh achha nahi hai bahenji...

maa (thandi awaaz me ): saadi ke baad maa baap apni betiyo par dhayan nahi dete sochte hai ki bas beti ki saadi kardi
aur unki zimedari puri ho gai...beti sasural me kese rah rahi hai isse unhe kuch Matlab nahi hota hai ....tabhi to aaye din hamare desh me naa jaane kitani betiya jaalai jaati hai bhaishahb

jaydev ne  ek thandi hasi chodi aur daant bichkar bola

Arre maa ji ,Anshi ab  koi school ki chhutti manane   wali ladki nahi hai jo aaj yaah to Kal waah  ,ap logo ko to ise samajhana chaiye ki ab yehi iska ghar hai par ap logo se me kya hi umeed karu

wo apni jagah se uthta hai aur Anshi se kahta hai
jaydev: Anshi chal mera safed bala kurta nikal de aur Tara ko bol maaji aur papa ke khane ki tayari kare inhe shaam hone se pahle nikalna bhi to hai...itna kahkar wo apne kamre ki taraf chala gaya .
Anshi aankho me aasu bhar ke apne maa papa ki taraf dekhti hai...

Anshi (bahut dheemi awaaz) chhodiye naa maa ,papa me yahi theek hoo ...jaha betiya bhoj mani jati hai ,waha app log
meri itani chinta kar rahe hai ...itana hi mere liye kafi hai ...

Anshi apne maa papa se baat kar hi rahi hoti hai itane me kamre se jaydev ki awaaz aati hai
jaydev: Anshi jaldi aaa naa !!

Anshi apne dukhi maan se kamre ki taraf chali jaati hai..
Anshi jese hi kamre ke aandar jaati hai
jaydev kamre ko lock karta hai aur Anshi ko zor se deewar se laga deta hai
aur gusse se Anshi ko ghoore jaa raha tha.   ...aur apni ungliya Anshi ke nazuk kandho par gadaye jaa raha tha
Anshi (dard se ) aap ye kya kar rahe neeche papa maa sab log hai

jaydev (daant bichkar) bahut achhe se tune apni maa ke kaan bhare hai
jo wo tujhe apne sath le jaane ke liye itni vyaakul ho rahi hai ...batana kya kya bataya tune unhe....
abhi abhi to tu apni maa ke samne badi bechari ban rahi thi naa tu .rang udd gaya hai ,kamzor lag rahi yahi sab baate bol rahi thi naa teri maa

sun Anshi, agar apne maa baap ke samne tune dubara apna moh khola ,
yaa apne maayake jaane ki baat ki naa to me tujhe nanga karke is baithak me
ghaseete huye leke jaugaa ...aur tere maa baap ko dikhauga ki unki ladlli beti
is tarha apne pati ko khus karti hai

Anshi ka dil zor zor se dhakdhakane laga ..uske hoonth kaap rahe the wo haath jod kar rote huye kahti hai .

nahi aap yesa kuch nahi karege . .mene maa ko aaj tak kuch nahi bataya aage bhi kuch nahi bataugi ...

kuch der baad...
Anshi ke maa papa jaane ke liye hote hai
Anshi unhe chhodne ke liye aagan tak aai...
maa use apne gaale lagti hai ...
maa : apna achhe se dhyan rakhna
Anshi unse bahut kuch kahena chahti thi par hoonth band the ...
Anshi : aap bhi apna aur papa ka dhyan rakha...mere bhare me jada mat sochna me theek hoo yaaha
tu doctor ke pass jarur jana bese me hi tujhe leke jaati par tu jaana zarur
Anshi haa me sar hila deti hai..

vote and comments for next part













Anshi-Ek cheekhWhere stories live. Discover now