CHAPTER- 27

357 87 25
                                    


Aap sabhi ko eid ki hardik shubhkamnaye 🙏🙏



After one month

Krish ab puri tarah se thik ho chuka tha, lekin kuch thik nhi tha, krish or haseena ka rishta, in ek mahino me krish ka bartav haseena ko le kr bahut hi badal gya tha

Krish chhoti chhoti baaton pr haseena se gussa ho jata tha, krish ka yesa bartav haseena ko bahut hurt krti thi, haseena ab malik mansion me rhne lagi thi

Wahi pushpa ji ko krish kr badle bartav ka karan nhi pta tha, pushpa ji krish ke room me jati hai or dekhti hai ki krish formal suit phna huaa tha, shyad office jane ke leye ready ho rha tha

Pushpa ji- krish ye kya ho gya hai tumhe, yesa q kr rhe ho tum haseena ke saath

Krish pushpa ji ki taraf turn hota hai or bolta hai- ab isme meri kya galti hai, maine unhe jane ke leye to nhi bola tha na

Pushpa ji- to tumne usse roka bhi to nhi, wo tumse kitna pyaar krti hai or tu hai ki uske dil ko tod rha tha

Krish- maine kuch nhi kaha unhe

Pushpa ji- kuch nhi kaha, agar main nhi aati to aaj tumne usse thappad maar diya hota, beta usse thori hi na pta tha ki hume cheez se allergy hai

Krish- mumma wo is ghar ki hone wali bahu hai, unhe sb kuch pta hona chahiye, unhe aapke bare me sb pta hona chahiye

Pushpa ji- krish, mana ki wo is ghar ki hone wali bahu hai lekin usse phle wo teri patni, teri jivansaathi banegi, uske bhavnao ka khayal rakhna tera kartavya hai

Krish- mujhe kisi ki feelings se koi lena dena nhi hai or haseena se to bilkul bhi nhi

Krish jaise ye bolta hai, pushpa ji usse ek zordar thappad marti hai or bolti hai- khabardar agar haseena ke bare me yesa bola bhi to

Krish- mumma aapne ye aapne mujhe....

Pushpa ji- ha humne tujhe thappad mara, tere hosh thikane lane ke leye, tu wo banne ki koshish kr rha hai jo tu hai hi nhi, humne dekha tha subh haseena ke jane ke baad tu kitna ro rha tha, q kr rha hai beta, kya ho gya hai, agar koi dikkat hai to bata

Krish opposite side turn hota hai or bolta hai- yesa kuch nhi hai jo aap samjh rhi hai, main yesa hi hu

Pushpa ji- to mere taraf dekh or meri aakhon me dekh kr bol ki tum yese hi ho

Krish turn hota hai or pushpa ji hug kr ke rone lgta hai, pushpa ji krish ka back rub krti hai or usse bed pr bethati hai or uske tears ko clean krti hai

Pushpa ji- ab bata kya problem hai

Krish- jis din mujhpe attack huaa tha us din miane un gundo ko bolte huye suna ki- wo mujhe khatm krne ke baad haseena ko bhi...

Krish- main unhe kuch hone nhi de skta, maine khud se unhe dur krne ka soche, uske aas pass 24 ghante mere security guards rhte hai, taki unhe koi problem na ho, unka mujhse dur rhna hu sahi hai

Pushpa ji- problem se dur bhagna uska hal nhi hai krish, uska samna krne se hal hota hai, haseena or tum dono ek dusre ke bina adhure ho, haseena ko khud se kabhi dur mt krna, saath rahoge to har muskil ka hal hoga, yese dur rhne se bs tum khud ko or haseena ko dukhi kr rhe ho

Krish- ab main kya karun

Pushpa ji krish ke cheeka pull krti hai or bolti hai,- call kro or milne ke leye bulawo or baat kr ke sb hal kro

Krish nodd krta hai or pushpa ji krish ke forehead pr kiss kr ke room se bahar chali jati hai

Malik Mansion, raat ke 10:30 pm

Haseena aapne room me betha kr novel padh rhi thi, tabhi uske room ke balcony ke taraf se kuch aawaj aati hai, haseena alert ho jati hai, wo uth kr balcony ke taraf jati lekin waha koi nhi hota

Haseena jaise turn ho kr room ke taraf aati koi uske face pr hankey rakh deta hai, wo khud chhudane ki kosis krti yai lekin kuch der me bhi behosh ho jati hai


Kuch ghante baad

Haseena dheere dheere aapni aakhen kholti hai or dekhti hai ki wo car me hai or car ruki hui hai, wo car se bahar aati hai or dekhti ki wo ek clif or hai or waha se raat ka khubsurat nazara dikh rha hota hai,

tabhi uski nazar ek person pr jati hai jo clif ke pass khada huaa tha, haseena us person ke pass jati hai

Haseena- ye kya harkat hai, hum aap pr kidnapping ke charges lga skte hai krish

Krish haseena ke taraf turn hota hai or uske kamar ko pakd ke aapne taraf pull krta hai

Krish- main to aapke pyaar me kaid hone ke leye hamesha se taray hun meri jaan

Haseena- krish chhodye hume, hum pr aapka koi haq nhi hai

Krish haseena ke lips pr finger rakhta hai or bolta hai- shhhh, kitna bolti hai aap, aap bs meri hai aap pr mera haq nhi hoga to or kiska hoga

Haseena kuch nhi bolti or krish se khud ko alag krne ki koshish krti hai, krish haseena ko tightly hug kr leta hai

Krish- I'm sorry na jaan main majboor tha, main aapki jaan ko khatre me nhi dalna chahta tha, aap mere saath rahengi to aap pr bhi attacks ho skte hai

Haseena- haa to hone dete, aapse alag hone se behtar hai ki hum mar hi jaye

Krish- haseena, aaj aapne ye kha diya aage se ye bolne ki sochega bhi mt

Haseena- q aadhi jaan to aapne le hi li hai na khud se dur kr ke

Krish- I'm sorry na baacha, ab main aapko kabhi khud se dur nhi karunga

Haseena- sacchi

Krish- muchi

Haseena krish ko hug kr leti hai, kuch der baad dono hug breck krte hai or krish haseena ke lips pr aapne lips rakh deta hai, dono ek dusre ko slowly kiss krne legte

Kuch der baad dono kiss breck krte hai or dono ek dusre ke aakhon me dekh kr smile kr rhe the

Krish- alvida hasi

Haseena ko kuch samjh me aata ki krish haseena ko clif se niche dhakka de deta hai or haseena clif se nich gir jati hai, krish idhar udhar dekhta hai or evilly smile krta hai, phir aapne pocket se phone nikalta hai or kisi ko kuch message krta hai or aapne car me beth kr nikal jata hai



Byyyyy Byyyyy

❣️🦋🦋Tere Liye🍂🍁❣️Donde viven las historias. Descúbrelo ahora