POEM-10 BHOOL TO TUM MUJHE JAAOGE HI

127 26 26
                                    

Dekho bhool to tum mujhe jaaoge hi...
Jab mere rehte fark nahi pada...
To mere jaane se kya ghabraoge..?
Aankhe talashengi nahi mujhe,
Na hi baat hogi kabhi iski kahi
Jalte diye bhi bujha diye jate hai
Me to bas do pal ka sahara hu
Bhool to tum mujhe jaaoge hi...

Yahi afsaana hai is daur ka,
Shikayat karke sab fir bhool jaao,
Kuch kaho, fir bhi keh na paao,
Is milkiyat ki do pal ki zindgani me,
Jab meri acchai ne bhi na tumhe roka,
Bhool to tum mujhe jaaoge hi...

Farmana bhi meri barbadi hai!
To chhupana bhi konsi aazadi hai..?
Par jaha fikr na ho meri,
Waha reh jana hi meri barbadi hai...
Do raste tum doge, ek rasta hum banayenge..
Is zindgani hum na yahan fir wapas aayenge,
Jab mere rehte na mujhe samajh paye,
Fir aakhir...
Bhool to tum mujhe jaaoge hi....

★✩★✩★✩★✩

Thank you for reading!:)

THE POETRY Όπου ζουν οι ιστορίες. Ανακάλυψε τώρα