Chapter 7 "Tumhe pasand hai toh le lo "

160 18 15
                                    

Sameer : Munna ...Main ek baar Naina se milna chahta hun.

Munna had soberred after lashing out at Sameer and said softly : wo naraaz hai...tujhse shayad nahi milegi. Kuch din pehle baazar me mulakat huyi thi. Abhi bhi intzar hi kar rahi hai, par kisi se zahir nahi karegi.Apne dil ko pathar bana liya hai. Badal gayi hai ,ya yun keh le ki usne har cheez se alag kar liya hai khud ko. Meri aur swati ki shadi me bhi nahi aayi thi.

Sameer looked at him surprisingly : arey haan Nanu ne bataya tha ki teri shadi ho gayi. Sach munna...bahut khushi huyi thi jab pata chala ki tumne aur swati ne shadi kar li.....par sach kahun toh dukh bhi hua tha ki tuney ek baar mujhe call tak nahi kiya, bulana toh dur ki baat hai....Aaj toh badhayi de sakta hun na....Congratulations munna. Sach me, tere liye bahut khush hun.

Munna couldnt hold his anger anymore and hugged him tightly. Sameer too felt peace and reciprocated the hug with a tear.

Munna said hugging him : kyun chala gaya tha yaar. Sabkuch badal gaya sameer. Sab suna ho gaya. Humlog sab bikhar gaye.Bahut naaraz tha main tujhse , Naina ki takleef dekh ke tujhpe itna gussa aata tha ki .....

Sameer parted and said : yaar ek baar mujhe Naina se milwa de please.

Munna wiped his tears : Thik hai....main milwa dunga...par usse pehle tujhe mere sawal ka jawab dena hoga .

Sameer (confusingly) : kya ???

Munna : Tu Naina se kyun milna chahta hai ? Kis haq se milna chahta hai aur kya badal dega tu usse mil ke.

Sameer remained there unanswered and that angered munna once again.

Munna : koi jawab nahi hai na Sameer, pehle khud se in sawalon ka jawab mang phir milne ki sochna.

Sameer : Har insan ko apni galti sudharne ka ek mauka toh milna hi chahiye na....Manzil pe pahuchme ki khushi tabhi hoti hai jab humsafar sath ho.(* ft Tum Bin) . Main manzil pe toh pahuch gaya par Naina ko bahut miss kiya maine.
Abhi bhi der nahi huyi hai munna.

Munna gave a straight look into his eyes and asked straightforward : shadi karega usse ?

Sameer blushed and answered with a shy : Haan

Munna : Bahut naraaz hai tujhse

Sameer said with determination : Mana lunga apni Naina ko

Munna : soch le , Naina devi ko manana pahad chadhne se kam nahi hoga...phir se bhag toh nahi jayega.

Sameer : jab koi insan khoyi huyi cheez ko wapas pata hai toh usey kuch jyada hi sahej ke rakhta hai.purey pyar se aur dil se....ek baar sabko kho chuka hun...dobara nahi khounga.

Munna finally smiled : soch le beta....is baar Naina ka dil dukhaya na toh usse pehle main hi tera muh tod dunga.

Saying so they hugged each other tightly shedding out their pain and reuniting their hearts. When they seperated munna said wiping his tears : aaj sach me dil ko bahut sukun mila hai. Bahut miss kiya tujhe....par shayad ye bhi kismat ka hi koi khel hoga.
Chal isi khushi me aaj law garden me pani puri khate hai jaise pehle khatey the.

They roamed around in law garden remembering their old days and talking about pundit ,relishing pani puri. When it was time to return home Munna remembered something and said

Munna : arey sameer yaad aaya, swati ne duppatta lane ko kaha tha. Tujhe der nahi ho rahi ho toh zara ladies dukan tak chalte hai na.

Sameer : thik hai chal....tujhe toh adat hogi ladies shopping ki...main bahar hi wait kar lunga.

Munna teased him : bas...nikal gayi hawa...beta adat daalna suru kar de...abhi toh Naina Devi ko manana suru bhi nahi kiya hai.

Saying so he held his hand and pulled him towards the shop.
.
.
Naina preeti were looking for some duppatta and were selecting from the heap kept infront of it.

Maine Kiya Hai IntzarWhere stories live. Discover now