ch - 12

488 47 62
                                    

Rajveer jaise hi apne bungalow pe aata hai wo fauran apne dad ke room ki taraf jata hai, aur dekhta hai ki wo andhere mein baithe kisi gehri soch mein gum the... rajveer unke samane jakar apne knees par baithta hai aur apne dad ke hathon ko apne hath mein lekar usse apologize karne lagta hai

Rajveer : I know dad, aap mujhse gussa hain but please don't ignore me... aap yeh bahut ache se jante hain ki I can't tolerate your ignorance... aap chahe toh mujhe daant lijiye, par please mujhse baat kijiye... I promise, main aage se aapki sari baat manunga (lekin uske dad phir bhi usse baat nahi karte) acha toh aap aise nahi manenge... but don't worry mere paas aapko manane ka ek aur rasta hai

Yeh kehkar rajveer apne kaan pakadta hai aur sit ups karte hue harshvardhan ko sorry bolne lagta hai, jo thodi der toh uske cute antics resist karta hai lekin baad mein wo apni hasi control nahi kar pata aur jor se hasne lagta hai... yeh dekhkar rajveer ruk jata hai

Harshvardhan : aapko ache se pata hai ki mujhe kaise manana hai veer... aur pata bhi kyun na ho, aakhir aap hamesha yahi jo karte aaye ho... pehle meri baat nahi sunte aur jab main aapse naraz ho jaun toh mujhe manane chale aate ho... kab bade honge aap veer, aur aapko yeh sab karne ki zarurat nahi hai... hum aapse naraz nahi hain, bas thode se gussa hain kyuki aap apni safety ko bahut lightly lete hain... beta, ab aapse naina ki zindagi bhi judne wali hai toh apne bare mein na sahi, unke bare mein toh sochiye... wo accident us waqt bhi ho sakta tha jab wo aapke sath thi, phir aap unke gharwalon ko kya jawab dete

Yeh sunkar rajveer soch mein pad jata hai kyuki uske dad ne jo kuch bhi kaha wo sach tha, isliye wo apne dad ki baat manne ka decide karta hai

Rajveer : aap thik keh rahe hain dad, mujhe apne sath - sath naina ke bare mein bhi sochna chahiye tha... but you don't worry, ab se main is matter ko lightly nahi lunga... aap David (their security incharge) ko bolkar naina keliye lady security officers ka arrangement karwa dijiye

Harshvardhan : aur aapke liye ?

Rajveer : dad, abhi kisi ko meri real identity ke bare mein nahi pata toh I want to maintain low profile for some more time please... aur abhi sabko yahi lagta hai ki main ek normal IAS officer hoon, toh kuch din aur yeh sab aise hi chalne dijiye (then murmured to himself) taki main apni aazadi ke kuch aur pal jee lu, uske baad toh bodygaurds ki qaid mein rehna hi hai

Harshvardhan : main aapki baat samajhta hoon veer, isliye hi toh maine aaj tak kabhi aapko hamare sath public gatherings mein aane keliye force nahi kiya... lekin ab yeh possible nahi hoga beta, kyunki hum aapki shaadi grand level par karna chahte hain... jo bina media ki interference ke bina possible nahi hogi

Rajveer : thik hai phir dad, aap mere liye personal security meri shaadi ke baad appoint kar dena... tab tak mujhe bhi kuch waqt mil jayega shaadi se pehle naina ke sath akele spend karne ka, wo bhi bina un kabab mein hadiyon ke

Harshvardhan : fine... aur is bare mein naina se baat karke unki raye jaan lena ki wo kya chahti hain, kyuki agar unhe in sabse problem hogi toh hame koi aur rasta dhundna padega

Rajveer : aisa nahi hoga dad, I'll convince her... phir bhi hamari tasali keliye main ek baar unse baat kar lunga

Harshvardhan : hmm... ab main point pe aate hain, tumhara accident DRS ltd. company ke owner ne karwaya tha... jisme opposition party ka ek minister bhi shaamil hai kyuki wo us company ka sleeping partner hai, tumne us company pe IT department ko raid dalne keliye kaha jisse minister darr gaya ki kahin uski black money bahar na aa jaye isliye tumhe darane keliye usne tumhara accident karwaya... agar tum kaho toh main apni approach use karke us minister ko road pe la sakta hoon, warna tumhare chachu ke paas sare proofs hain... hum unke against legal action le sakte hain

Married to you ❤️Where stories live. Discover now