ch - 3

406 42 52
                                    

NEXT DAY

Naina wakes up early in the morning, thinking of going to college before everyone wakes up... but to her bad luck, naveen was already up and was waiting to have a conversation with her

Naveen : gudiya, tu itni subah - subah tayar hokar kahan ja rahi hai ?

Naina : college

Naveen : itni jaldi kyu, teri classes toh 9 baje start hoti hai na... gudiya mujhe pata hai tu yeh sab kyun kar rahi hai, par bacha ek baar meri baat toh sun le ki main kya kehna chahta hoon

Naina : nahi bhaiya, mujhe aapki koi baat nahi sunni... main janti hoon ki aap yahan mujhe is rishte keliye convince karne aaye ho, par mera jawab ab bhi wahi hai ki mujhe abhi shaadi nahi karni

Naveen : ok fine, agar tujhe shaadi nahi karni toh mat karna... koi tujhe force nahi karega, lekin ek baar tu meri baat toh sun le

Naina : hmm, boliye

Naveen : dekh naina, aaj nahi toh kal tujhe shaadi karni hi padegi... lekin gudiya har baar tujhe itna acha rishta nahi milega, main personally mila hoon ladke ki family se & trust me wo log bahut ache hain... aur rahi ladke ki baat toh kuch bhi final karne se pehle, main khud milunga usse... aur tujhse bhi yahi kahunga ki ek baar ladke se milkar dekh, agar tujhe pasand nahi aaya toh hum baad mein mana kar denge... koi compulsion nahi hai ki tujhe usse hi shaadi karni hai

Naina : hmm, lekin bhaiya mere carrier ka kya... agar shaadi se wo hamper hua toh ?

Naveen : jahan tak mujhe lagta hai aisa kuch nahi hoga naina, kyuki unki family mein jitni bhi ladies hain wo sabhi independent hain... so obviously wo tujhe tera carrier pursue karne se nahi rokenge

Naina : aur agar ladke ne rok diya toh... wo already bahut khadus hain

Naveen : tu mili hai usse ?

Naina : nahi, bas ek baar dekha tha... jab unki yahan nayi - nayi posting hui thi tab wo hamare college ke annual day pe as a chief guest aaye the, aur aisi sadu shakal bana rakhi thi ki main kya bataun aapko bhaiya... mujhe toh unse darr bhi laga raha tha

Naveen (chuckled listening this) : amazing ! phir toh is rishte keliye definitely haan karna padega, aakhir is duniya mein koi toh hai jisse tu darti hai

Naina : bhaiya, aap mujhpe has rahe hain... wo sach mein aise hain... sadu gussail insaan

Naveen : acha ok, nahi hasta... lekin naina uska profession hi aisa hai ki usse strict rehna padta hoga... phir bhi teri tasalli keliye hum ek baar usse mil lenge, agar tujhe lage ki wo tere liye perfect hai tabhi is rishte keliye haan karna warna hum unhe direct mana kar denge... ok ?

Naina (happily) : double ok bhai

Naveen : haan, lekin iska yeh matlab bilkul nahi hai ki tu usse janbhujkar bhaga de... jaise tune riya (her college friend) ke case mein kiya tha

Naina : bhaiya, riya ko wo ladka bilkul pasand nahi tha... uske parents uski zarbardasti shaadi karwa rahe the, toh maine us ladke ko bhagane mein riyu ki thodi help kar di

Naveen (unbelievably) : usse tum thodi kehti ho, seriously naina... us ladke ko tune itna daraya ki bechare ne fauran shaadi se mana kar diya... waise tune aisa kya keh diya tha usse

Married to you ❤️Where stories live. Discover now