ankho ka jadu (آنکھوں کا جادو)

4 1 0
                                    

Namjoon ,jimin aur junkook subha Tak Ghar pohunche .wo buri tarha thak Gaye the jin ne darwaza khola aur dono k bags liye aur aur teeno ko game lag kar congratulations kaha ab unke Bhai itni mehnat k baad jeete hai jin bahut khush tha .unn teeno ka room me jane ka bol kar wo bhi apne room me chala gaya .room me jate hi jimin aur junkook so Gaye .aur namjoon nahane chala gaya .wo buri tarha thaka hua tha jismani aur zehni dono tarha se .v ki baten uske zahen ko sata Rahi thi .usne apne kapde utare aur shower ke niche khada ho gaya .jab uske jism par garam pani ki boonde giri to uske zaban se sukoon ki sans nikli wo bus kuch der apne balon me hath pherte hue bus khada raha .usne ik hath diwar par rakha aur sochne laga k "kya maine kuch galat kiya hai kya v sahi tha "lekin uske dimag me uska ye veham khatam kar diya uski dimag me ye jawab de Diya k wo sahi kar Raha hai .nahane k baad wo sidhe sadhe kapde pehan kar bedroom me aya aur apne baal sukhane laga .baal sukha k usne apne app ko shishe me dekha uski rooh thak gayi thi .magar jin ko dekhte hi uski rooh ki thakan khatam ho gayi jane kaisa sukoon tha unki dosti me .wo thodhi der let gaya .

Jin ne bhi nahaya aur pink pajama pehan kar kitchen me chala gaya aur apne bhayiyon k liye nashta banane laga kyun k wo janta tha k uska khana hi ab unko sahi kar skta hai u.use namjoon ko dekhte hi ehsas ho gaya k v ki baton se wo udas ho gaya hai ....
Usne nashta banaya aur table par rakha wo namjoon ko bulane ja hi Raha tha k wo khud aa gaya .good morning hyung "wo gardan par hath rakhte hue kaha .
Jin ne bhi hoo good morning kaha aur usko baithne k liye kaha .
Aur khud jin ne use khana serve Kiya .aur namjoon khamoshi se khana khane laga .jin ne khamoshi k khatam karne k liye kaha "namjona tum thik ho na " namjoon me asbat me sar hilaya ".jin ne apna hath uske hath par rakha aur pucha "abhi tak udas ho isme udas hone wali koi baat nahi hai manjoona tum ne Jo bhi Kiya hoga hum tumpe yaqeen karte hain aur v ki baton kar bura mat manna wo abhi chota hai aur tum to jante ho usko kitna gussa ata hai ."namjoon ne chamch Plate me rakha aur jin ka hath tham kar kaha "hyun9main udas nahi hun aur v ki baton  ka bura kyun Manu Bhai hai wo Mera bus jo mujhe confusion tha wo apko dekh k khatam ho gaya k maine kuch galat nahi kiya .app nahi jante apka mujhpe Yun yaqeen karna mujhe kitna taqat deta hai ."jin namjoon ke jawab se be had mutmayin hua aur use gale lagaya
.I trust you namjoona "jin ne uski pith thapthapa kar kaha tab ja kar namjoon ne dil se muskuraya ......

Jin ne sab kaam kar ke v ko call Kiya v neend me tha magar jin ka number dekh kar call uthaya aur kaha "haan jin Hyung kya hua .jin ne use uthne k liye kaha aur v ne foran baat man ki aur ja ke moo dho k aa gaya "ab bolo kya hua hyung"
Kuch nahi nahi mood kaisa hai tumhra usne bade ho pyar se pucha v ne kaha haan thik hai kyun kya hua
Jin ne use pyar se samjhane ki koshish karte hue kaha "v tumhe ayese baat nahi karni chahiye thi wo bada hai tumse aur wo jo karta uske piche wajh hoti hai ..."
V ne ik lambi sams le kar kaha "hyung shayad Maine galat tarike se bola tha magar galt nahi bola tha unka ik step humari  barso ki mehnat ko barbad kar skta tha ."
"Kuch nahi hoga waise think positive aur jab Tak hum sath hain kuch galat nahi hoga "usne v ko samjhani ki koshish ki v ne bhi apne bade bhai ka man rakhne k haan bol diya .
Phir jin ne baat badlte hue kaha "aur kab Tak AA rahe ho tum teeno "
V ne phone ko dusre kaan pe laga k kaha "jaldi hi ayenge abhi thodha hi kaam baki hai ....
Phir uske baad jin ne phone rakh Diya aur apni ik important meeting k liye chala gaya.

Namjoon thodhi der aram k baad apne kapde badle usne ik green te shirt aur black leather pant pehna aur chashma laga k car ki keys ki aur Ghar se nikal gaya .gadi start karke ik Nazar gadi me lage photo ko dekhi jisme wo satho the .sabke chehre muskura rahe the .usne uss photo ko hath se sehlaya aur gadi chalane laga agle 15 minutes baad ik badi imarat k samne ruki wo ik library thi . namjoon ko jitna poudo se pyar tha utha hi books se tha usne apni car ko park kiya aur library me apna card dikha k ander aaya . library bahut badi thi Seoul ki sabse badi library.jahan har tarha k kitaben thi . namjoon aksar yaha aya karta tha to usne ik VIP card banwaya tha. Wo seedhiyon ki madad se upar floor PE aya aur science Wale section me chala aya wahan usne chemistry k related books li aur kuch laws ki aur unn kitabon ko le kar wo niche uthar Raha tha k usko ik pouda sukha nazar aya to usne ik employee ko bulaya aur usko hidayat di k use Pani de aur uska dhyan de .
Books le ke wo payment ke liye niche aya aur ik ladki se takraya .balon ko ik bun me bandhe hue and hath me ik chotha sa brecelate,kaan me moti k earings and withe t shirt aur ripped jeans aur ankhon me transparent chashma laga k us se takrai .usne jab namjoon ko pehli baar dekha to dang reh gayi aur hil na ski magar namjoon ne ratti barabar bhi dhyan nahi Diya aur sorry bolke payment karne laga .
To usne baat karne ka bahana se kaha "sirf sorry"to namjoon ne use ghoor karke dekha aur apna ik eyebrows utha k ishara kiya k aur kya karna chahiye to us ladki ne kaha "tumhe pata hai humare Desh me agar tumne ayesa Kiya hota to kitna tamasha karte aur main bus sorry accept kar Rahi hun tumhra "namjoon ne payment karke bahar aya usko Puri tarha nazarandaz karke to wo chidh gayi aur uske piche bahar ayi jab wo car ka darwaza kholne laga to usne hath se darwaze ko band kar Diya to namjoon ne usko gusse se dekha "Mai. Itni khubsurat ladki tumse baat kar Rahi hai aur tum usko ignore kar rahe ho "lekin namjoon ne koi jawab nahi Diya balke hath bandh kar uske samne khadha ho gaya .accha its okey maaf kar diya maine tumhe dikhne me Sharif lagte ho naam kya hai tumhara " namjoon ab bhi khamosh Raha to usne kaha "chalo main hi apna name bata deti hun" Mera naam Arya mehra hai main Indian hun aur yahan ..."abhi wo bolne hi wali thi k namjoon ne kaha "sorry mujhe shadi me koi interest nahi hai "aur darwaza khol kar ander baith gaya aur Arya khidhki se usko awaz dene lagi lekin wo usko Nazar andaaz karke waha se. Chala gaya aur Arya chikhti rahi "kya admi hai ye naam to pata karna padega" fir  wo ander library me ake apne books ki payment ki aur uss attender se pucha "koun tha wo handsome ladka"
Attender chonki aur phir usne kaha "ohoho mr namjoon ki baat kar Rahi ho "
Oh to namjoona naam hai janab ka "itna keh kar wo wahan se chali gayi aur apni fantasy ki duniya me kho gayi .
Kuch der baad wo apne apartment the use ik call aya "medam aa jayiye practice ka time ho raha hai "to usne jaldi jaldi apne kapde badle aur field k liye nikal gayi .
________
Miliye Arya mehra se apne State ki sabse mashoor basketball player jisme korea me scolership le k yahan aa kar apna sapna pura kiya aur bade hi Ameer ghar ki suljhi hui beti .padhayi me bhi acchi aur khel khud me bhi uske baap ko uski lagan dekh kar use Korea bhejhna pada usne yahan apna admission ik fashion designing college me liya aur sath me apna shouk bhi pura karne lagi .natkhat shararti aur bahut bolne wali Arya khamoshi k shehar me aa kar bahaut ajeeb mehsoos kar rahi thi .pehle din subha jaldi pohunch gayi aur bhed bhav ka kissa suna dusre din ik khubsurat ladke se mili magar wo akdu nikla magar Jo bhi kaho uska Dil namjoon ki ankho me kho Gaya tha uski ankhe un kuch lamho me bahut kuch gayi thi uska Yun sakhti karna uske dil ko chura liya tha ....
Let's back to story
______________________

نفرتوں کا بازار (nafroton ka bazar)Where stories live. Discover now