Chapter-TWO

69 6 4
                                    

Talha...ya khoon kasa ha...kahan sa arha ho tum is waqt"
Anamta na nihayat pareshani ki halat ma Talha sa pocha jis ki shirt par khoon ka nishan tha.
"Kuch nhi hua"
Wo utna hi mutmein tha jitna ka Anamta pareeshan thi.
"Saaf saaf batao kaha gaya tha?"
Osna Talha ki baat ko nazar andaz karta hua apna sawal dohraya.
"Iska jawab phir sa wahin ho ga, Anamta"
Is bar ya Haneen thi jo darwaza ka bahar sa pehla hi sari guftugu ko jaan gayi thi.
"Api, dekhyn Talha ko ...kiya hua ha isa?"
Anamta na pareshani ka alam ma apna samna mojoda cousin sa kaha.
"Kuch nhi hua mujha"
Ak bar phir Talha na wohi jawab diya.
"Anamta tum pareshan mat ho,Talha ki Umar sa larai ho gayi hogi"
"Nahi api, insan apna dosto sa is tarah nhi lrta ka khoon kharaba par hi utar ay"
"Hota ha kuch dost asa"
Haneen na Talha ko ghorta hua kaha.
"Anamta, ya sahi kah rahi ha meri or Umar ki larai ho gayi thi to ma na osa kanch ki botal da mari, jis sa uska hath zakhmi ho gya or bas wohi khoon laga hua ha ya"
Talha na Haneen ka jhoot ka pas rkhta hua naya jhoot bhanda.
"Lekin,....."
"Lekin wekin kuch nhi jao , ja ka so jao nimi boht raat hogyi ha"
Haneen na Anamta ki baat kat di.
"Okay ,api but ma Talha ki bandage kar ka hi jao gi"
Talha Anamta ki baat par buri tarah bigra.
"Anamta dekho meri baat suno mujha chot nhi lagi kahin, ya Umer ka khoon ha"
Osna boht sard mehdi sa jharka.
"Acha naraz to na ho ja rahi hu ma."
Anamta na khafgi sa kaha.
"Sorry, but abhi mujha rest krna ha, Anamta"
Is bar Talha ka lehja narm tha.
Anamta kuch kaha begair waha sa uth gayi or darvaza ki taraf jana sa pehla osna ak bar Talha ko dekha or phir Haneen sa kaha:
"Api ap nhi ayn gi?"
"Tum jao ma zara ati hu"
Haneen na mura begair kaha wo musalsal Talha ko theeki nazro sa ghor rahi thi or wo har bar nazaryn chura raha tha.

"Han to Mr. Talha Sikandar, is br konsa karnama sar injam diya ha?"

"Yar bas karu ab, tum na shuru hojana"

"Nhi, ma to shuru hongi ...akhir kar kab sudhru ga tum"

"Jab sudharna hoga sudhar jao ga"

"Is bar kisa mar ka ai ho"

"Fasad ki jar ko"

"Mazak band karu"

"Ary mera matlab ha ka Affan ko thikana laga aya hu "

"Tumhara dimag to kahrab nhi ha"
Haneen na beyaqeeni sa kaha.

"Is ma heeran hona ki kiya baat ha bhala"

"Tum baba ka purana dealer ka cousin ki jaan la ka itna mutmain horha ho"

"Uff...allah bas karu ab, aj ma khush hu boht"

"Han khush to tum asa horha ho jaisa pehli bar kisi ko mara ho"

"Han to, onka kam hi asa hota ha ka mar kar sukh ka sans lena prta ha"

"Kab choro ga ya Mafia wla kaam , huh?"

"Hm...jab ya log 'apna' kam chor dyn ga"

"Yani tum nahi sudhru ga"

"Han shayad , Its possible"

Wo hans para, isa dekh kar Haneen bhi naram par gayi, Talha Sikandar ka muskurata chehra dekh kar koi bhi apna gussa bhool jata or wo to phir uski bari behn thi.

"Acha ab tum fresh hojao ma khana bhejwati hu"

"Okay"

Wo muskuraya or Haneen oska kamra sa nikal ai.

Talha Sikandar, Sikandar Induatries ka CEO tha or Sikandar Shah ka sab sa chota or ladla beta bhi. Talha boht khush mizaj tha or koi ya tasawr bhi nhi karskta tha ka wo hansta muskurata larka, duniya ka khataranak tareen logo ki fahreist ma sa ak tha ,Underworld ka har wo kam jo koi nhi kar pata tha wo kam Talha Sikandar ko sonpa jata tha chaha wk kisi ki zindagi ka data nikalna ho ya zindagi cheenani ho wk har kam ma mahir tha. Lamba qad or sufaid rangat ka malik tha wo jis ki ankhyn bhori thi, wo shayad duniya ka sab sa haseen chehra tha osa dekh kar kai log yahi tasawar krta tha. Wo Pakistan ka shehar Lahore ma apna waleedan Sikandar Shah or Zobia ka sath sath apni ak behan Haneen sikandar or bara bhai Arham Sikandar ka sath muqeem tha...osa zindagi ki har cheez naseeb ki gayi thi or wo shayd hi kabhi udaas hota tha yahi wjaha thi ka boht sa log osa pasand krta tha.

𝕴𝖘𝖒-𝖊-𝖆𝖟𝖒Unde poveștirile trăiesc. Descoperă acum