Main yeh nahi kahungi mujhe tumhari madad chahiye,
Main kahungi ki main samhal loongi.
Main yeh nahi kahungi ki main rokar aayi hun,
Main yeh kahoongi ki main chehra dho ke aayi hoon.
Main yeh nahi kahoongi ki mere liye rukh jao,
Main yeh kahoongi ke aage badh jao.
Main yeh nahi kahongi ki main udaas hun,
Main kahongi ke mere gal dukh rahe hain haste haste.
Main yeh nahi kahongi ki tum mujhe jaante ho,
Main yeh kahoongi ki tum mere kirdaar ko nibah paoge.
Main yeh nahi kahoongi ki mein tumse pyaar karti hun,
Main yeh kahoongi ki tum mere sabse acche dost ho.
Main yeh nahi kahoongi ki main marna chahti hun,
Main yeh kahoongi ki zindagi abhi bahut khubsurat hai khatam karne ke liye.
Aur waise bhi,
sirf 200 din bache hain,
Phir main kuch nahi kahoongi,
Kabhi bhi.
~ IM
YOU ARE READING
Khamosh Pyaar
PoetryWoh baat joh mer dill mein chup keh rehgaye aur kabhi tum tak nah poch payi Abh yeh bate mujhe akele pata hain aur tum shayad bhul bhi gaye