Ek Lifafa aisa bhi hai

9 0 0
                                    


"Mere dil ke lifafe me

Tera khat hai janiya

Tera khat hai janiya

Na-cheez ne kaise paa li

Kismat yeh janiya ve"

~Nazm Nazm, Bareilly Ki Barfi


Ab yeh na-cheez kaise bataye, 

ki yeh ek khat nahi, ek bediyan hain

Jo har roz mujhe cheer deta hain


Kitni raatein, kitne din, yeh khat ne barbaad karwaye

Aur iski chot kisi ko dikha bhi nahi paye


Yeh khat nahi

Woh bandhan hai

Jo mujhe Azadi nahi, 

Tabah ker deta hai


Itna saal, itne din, itni raatein, itne pal beet gaye

Phir bhi,

Meri dhadkan ko apni muthi mein bandh kar rakhta hai


Ab kaise batao us bhole ko...


Woh jo umeed mein ek aur khat dena chahta hai

Ki ab mere mein himmat nahi hai


Meri himmat nahi hai, ki mein ek aur khat le saku


Dil ke lifafe ko usne aise phada hai,

Ki ab aur kuch yeh pakad hi nahi pa raha hai


Kaise batao ki itni buri tarah se phati hoon, 

ki jodhte jodhte puri zindagi nikal jayegi,

Sare kagaz tabah ho jayenge,


Par yeh dil


Yeh dil pehle jaisa nahi ho payega


~IM

Khamosh PyaarWo Geschichten leben. Entdecke jetzt