Rishta Ye Anokha...!! 💖

Start from the beginning
                                    

Ks: vanii...band kijiye na ye phone... (irritatedly)

Vs: sorry sorry! Tum so jao... (he quickly answered the phone without looking at the name)

Person: hello...

Vs: kon?

Person: mujhe nahi pehchana?

Vs: nahi...kon hain aap?

Person: ab mera naam bhi save nahi hai tere phone mein?

Vs looked at his phone and realised

Vs: sorry sorry mahi didi...maine dekha hi nahi naam...

Mahi: hmm...Teri biwi hogi na wahan isliye...

Vs: kya didi aap bhi...wo to so Rahi hai...aap bataiye na...is waqt call Kiya... kuch kaam tha?

Mahi: haan...

Vs: bataiye...

Mahi: 4 din baad kya hai yaad hai ya nahi?

Vs: kya hai?

Mahi: pata tha...har saal ki tarah bhool gaya hoga...

Vs: bataiye na kya hai...

Mahi: ........ hai..

Vs: ohh!! Sorry didi...

Mahi: sorry vory chhod...main kal aa Rahi hun tere Ghar...

Vs: sachmein?? (Excitedly)

Karishma peeped out of blanket hearing his voice.

Mahi: haan...Teri biwi ko bata dena...

Vs: bilkul... Karishma ko bohut accha lagega aap aajaiye...

Mahi: theek hai... rakhte hain...

Vs: ji...

He hung up the call

Ks: kon tha vani? Kon aa raha hai?

VS: tum soyi nahi?

Ks: aap sone denge tab na soyenge... ab bataiye kon tha...

VS: mahi didi...wo kal aa rahi hain...

Ks: kya?? (Got up from bed) kyun??

VS: kyun matlab?

Ks: aapne kyun bulaya unhe?

VS: wo khud aana chahti thi to maine haan keh di...

Karishma's face fell

Vs: tumhe kya hua? Didi se kya problem hai?

Ks: didi khud hi problem hain...

Vs: badi behen hain wo meri...!!

Ks: vani...dekhiye aap hame galat mat samjhiye...didi se hame problem nahi hai...lekin unhe pata nahi hamse kya problem hai...wo jab bhi aati hain na hamara kaam badh jaata hai...unhe hamare haath ka khaana pasand nahi aata kabhi, ghar kabhi saaf nahi hota unke hisaab se, har cheez ekdum perfect chahiye unhe...ammaa se zyada to wo saas lagti hain hame...

Veyom laughed

Ks: aap hans rahe hain? (Cutely)
Hans lijiye...aane dijiye aapki behen ko...ham sambhaal lenge...aap hansiye bas...

Vs: sorry sorry...dekho didi ka swabhaav hi aisa hai...har cheez perfect chahiye...aur sirf tumhe nahi kehti wo...mujhe bhi bachpan se tokti thi...lekin unhi ki wajah se aaj main itna disciplined hun...

Ks: haan pata hai aap kitneee disciplined hain...

Vs: ab wo to tum ho isliye...

Ks: matlab hame pareshan karne ke liye...

Tere Jaisa Yaar KahaanWhere stories live. Discover now