"Episode 11"

761 68 18
                                    

Continue from last part...

Abhimanyu is sitting on a chair beside akshara... It's already night.. Akshara didn't get the consciousness yet due to which abhimanyu is going restless...

He took out his mobile and dials doctor priyal's number...

On call

Abhi:hlo

Priyal:yes doctor abhimanyu?

Abhi:woh actually doctor priyal... Raat ho gyi hai aur akshara ko abhi tak hosh nhi aaya hai.. Mujhe kaafi chinta ho rahi hai kuch serious toh nhi hai na

Priyal:no no doctor abhimanyu everything is absolutely fine.. It's just woh thoda stress ki wajh se nhi aayi hai but don't worry... Agar kal subhe tak nhi aayi na toh mujhe inform karna

Abhi:ok

He hang up the call than again seat beside akshara on chair than... He took her hands in his and than kisses on her knuckles... While his eyes we're teary...

Abhi:akshu kitna sataogi apne methidane ko... Pls uth jao na akshu... Mujhe bhot darr lag raha hai... Mai phele hi apna kaafi kuch kho chuka hun ab tumhe aur humare baby ko khona mein afford nhi kar paunga... Tum mujhe maaro pito... Jo marzi woh karo per bas uth jao... Meri saanse ruk rahi hain  akshu  ... Mujhe tumhe sab kuch sach sach bhi batana hai pls utho na... Pls... Meri hi galti hai mujhe bade papa ki baat maan kar yahan aana hi nhi chahiye tha... Na hum log yahan aate na tum kuch sunti aur na hi aaj tumhaari aisi haalt hoti... Dimag kharab tha mera jo tumhe le aaya yahan but i promise akshara tum ek baar hosh mein aajao uske baad hum wapas mumbai jayenge aur fir kabhi nhi aayenge yahan wapis...

Time skips to morning...

Akshara opened her eyes and saw abhimanyu is sleeping on chair while his hand were holding her... She Stares him but than she remember incident from yesterday that when her anger raised up and she jerked his hand due to which he open his eyes ...

Abhi:akshu tumhe hosh aagya... Tum thik ho na?

Akshara didn't replied to him she just get up from the bed and started to go..

Abhi:akshu kahan jaa rahi ho?

Akshara:tum se matlab*rudely*

Abhi:mujhse matlab nhi hoga toh fir kisses hoga

She again didn't replied to him and started to leave that's when abhimanyu holds her wrist... She looked at him angrily

Akshara:leave...

Abhi:nhi phele tum meri puri baat suno

Akshara:haath chodo abhimanyu mera...

Abhi:nhi phele meri baat suno tum

Akshara:kya sunu mai... Huh.. Kya sunu... Ab aur kya bacha hai sunne ko... Tum bhej dena papers mai sign kar dungi per meri ek baat kaan khol ke sun lo tum mai apna bacha tumhe nhi dungi

Abhi:akshara just shut up ok... Just shut up... Kab se tumhe kuch batane ki koshish kar raha hun per tum ho ki sun hi nhi rahi ho

Akshara:kyun-

Abhi:shut up... Ab sirf mai bolunga aur tum sunogi.. Aai baat samjh mein tumhaare...

Akshara is looking at him continuously...

Abhi:mai tumhe yahan se mumbai is liye nhi leke gaaya tha kyunki mujhe kaam tha... Are mujhe toh koi bhi kaam nhi tha waha pe... Mai tumhe wahan isliye leke gaya tha kyunki maa ko tumhare naam se panick attack aa rahe the... Neil ki death ke baad woh mentally disturbed thi... Unhone us time mujhse promise liya tha ki mai tumhe birla house wapis na leke jau... Us time mein maa ki halt dekh ke mai darr gaya tha toh maine unhe promise kar diya... But fir uske baad Mai tumhe leke mumbai chala gaya wahan jaa ke hume pata laga ki humara ek baccha jinda hai... Maine jab maa ko call karke bataya toh unhone pata hai mujhe bola ki.. Mai tumhe divorce de dun aur bacche ki custody bhi le lun... Mujhe bhot jaida gussa aaya tab... Maine maa ko mana bhi kiya but woh hai ki sunne ko taiyar hi nhi hain kuch.. Tab Maine decide kar liya tha ki hum wapis nhi aayenge but fir uske baad bade papa ne bulaya aur hume yahan pe aana pada... Fir tumne meri aur maa ki baatein sun li... Tumne jo suna na akshu woh adha sach tha aur tumne uspe hi react kar diya... Are mujhse phele toh humaare hone waale bacche per tumhaara haq hai... Mai usko tumse alg karne ke baare mein sapne mein bhi nhi soch sakta hun... Mai pyaar karta hun tum se akshu... Nhi reh paunga tumhaare bina.. Nhi dena mujhe tumhe divorce... But tumne mujhe misunderstood kar liya...

Love you till eternity 💕❤Where stories live. Discover now