PART 35

655 50 4
                                    

In karan's room

Sanjana was crying. Faizi was consoling her while karan was sitting on bed.

Sanjana- aaj hamari vajah se siddharth aur monami ek dusre se alag ho gaye...ham unki dosti ke beech me aa gaye

Faizi- aisa kuch nahi hai sanju....

Sanjana interrupts- aisa hi hai sir ji...un dono ke beech koi nahi aa sakta tha par ham aa gaye...siddharth monami ko hamari vajah se akela chod kar chala gaya...hame bohot bura lag raha hai sir ji...aapne dekho naa tha...monami kitni toot gayi thi...itna toh vo juhi mam aur deepak sir ki maut par bhi naa royi thi

Just then sanjana's phone rings. It was kundan. She gets frustrated and cuts the call. The phone rings again. She was about to cut but faizi stops her.

Faizi- sanju...jaa baat kar le...ho sakta hai kuch zaroori baat ho

Sanjana nods and goes to pick the call. Faizi sits beside karan.

Faizi- kya baat hai karan

Karan- monami bohot upset hai...pehle vo sirf gussa thi par sid ke academy jane ke baad vo hurt hai...tujhe bhi pata hai ye dono kitne close hai...apni har baat ek dusre se share karte hai...aise me ek dusre ke bina kaise reh lenge

Faizi- ek baat toh maan ni padegi karan...dono ek dusre ki bohot care karte hai...siddharth ke liye monami apni zindagi khatre me daalne ko tayyar hai aur monami ki safety ke liye siddharth apne gham ko monami se chupa raha hai...aaj kal aise dost kaha milte hai

Karan- mujhe monami ke liye bohot bura lag raha hai faizi

Faizi- toh jao uska dhyaan rakho...use support karo

Karan nods in no- is baar baat siddharth ki hai...aur uski jagah monami ki zindagi me koi nahi le sakta...main bhi nahi

Faizi- par apni jagah bana toh sakte ho na...tum pati ho monami ke...go be there for her...use accha lagega aur ek baar monami ka gussa shaant ho jayega na toh use tumhari parvah dikhegi bhi aur vo maanegi bhi...ab jao

Karan nods and hugs faizi who pats his back. Karan goes.

In monami's room

Monami was crying sitting on the ground. She had clutched gappu near her chest. Karan comes there and is heartbroken to see monami. He steps to go near her but stops as barkha holds his hand.

Karan- bhabhi

Barkha- ruko karan...monami se main baat karti hu...tum hamare residential house me jao...param tumse baat karna chahte hai

Karan- par bhabhi vo main....

Barkha interrupts- mujhe sach pata hai...tum jakar apne bhaiya se baat karo

Karan nods and leaves. Barkha goes inside and sits beside monami. She caresses monami's hair. Monami looks at barkha and hugs her immediately. She cries loudly. Barkha lets her cry.

Meanwhile in param's house

Karan- bhaiya aapne bulaya

Param- karan ye sab kya ho raha hai...sanju ki zindagi me jo kuch bhi chal raha hai uska asar tumhare aur monami ke rishte par kyo pad raha hai...sanju hamari apni hai...ham sab uske sath hai...siddharth monami ka best friend hai...monami uske sath hai...par tum dono ko apne dosto ka sath dene ke liye ek dusre ke khilaaf kyo hona pad raha hai...sath reh kar bhi toh madad kar sakte ho na...kisi teesre ki vajah se pati patni ke beech problems aana thik nahi hai fir chahe vo teesra aapka apna hi kyo naa ho...itni mushkil se toh tu aur monami kareeb aane lage the aur fir ye sab...aur karan...ek baat toh tujhe maan ni hogi...galti sanjana ki hai...use pehle din se pata tha siddharth ke man me uske liye feelings hai...toh use tab hi siddharth ko apni sagai ke baare me bata dena chahiye tha...usne chupaya yahi uski galti thi aur tune bhi uski is galti me uska sath diya...how could u karan

Karan looks down- sorry bhaiya...aap jante hai sanju ki family kaisi hai...lad jhagad kar vo khud ke liye ek saal maang kar aayi thi yaha...main nahi chahta tha ki uske liye koi mushkil khadi ho jaye aur ab toh usse vo ek saal bhi chin gaya

Param- karan ham personal level par sanju ki har possible madad karenge lekin professionally ab sanju is academy ka hissa nahi hai...ye yaad rakhna

Karan nods.

Param- mujhe tujhse ek baat aur karni thi

Karan- kya

Param- main chahta hu ab tu aur monami ek sath ek kamre me rahe...mujhe aur barkha ko lagta hai shayad band kamre me rehne se tum dono ye samajh paoge ki pati patni ki baatein chaar deewari me hi honi chahiye...tum dono ek dusre ko behtar tareeke se jaan paoge

Karan shocked- lekin bhaiya...monami kabhi nahi maanegi

Param- uske paas koi option nahi hoga karan...usse keh ki tune khud ke aur monami ke liye ek residential house ke liye apply kar diya hai...sanju jaa rahi hai toh monami apne kamre me akeli hai...bala faizi ke sath shift hoga...aur tu aur monami residential house me shift karoge...and that's final

Karan sighs- thik hai

ZDMN FF:- JOURNEY TO LOVEWhere stories live. Discover now