PART 20

707 43 4
                                    

In mess

Karan and monami enters.

Karan- monami itni raat ko yaha tumhe khana nahi milne wala hai...maine pehle bhi kaha tha this is a academy...yaha rules follow kiye jate hai

Monami- ho gaya tumhara...maine sid se already keh diya tha ki tumhare aur mere liye khana rakhwa de

Karan surprised- tumne khana nahi khaya ab tak

Monami nods in no and goes in kitchen while karan follows her.

Karan- par kyo

Monami arranges two plates of food- kyoki mujhe faizi ne bataya ki tumhe akele khana accha nahi lagta...and right now u should stay happy...khush rahoge toh recovery jaldi hogi...so i waited for u

Karan feels good. They sit on the table and eat. Karan was injured in left arm. After dinner monami makes him gulp the tablets.
Then they walk towards monami's room.

Monami- good night...sleep well...agar pain ho ya koi aur problem ho toh please mujhe bula lena

Karan nods- good night

Monami goes inside the room. Karan too goes in his room.

In karan's room

Karan enters.

Faizi- aur janaab ji...kaisa raha aapka dinner aapki mohtarma ke sath

Karan- shut up...madad kar yaar

Faizi teases him- monami ko bulaye

Karan glares him. Faizi laughs and helps karan to lie on the bed. He arranges pillows at back of karan.

Faizi- toh kya progress hai tumhari aur monami ki

Karan sighs- aisa kuch nahi hai...monami doctor hai...meri help kar rahi thi

Faizi smiles- janab...kisi bhi doctor ki aankho me apne patient ko dekh kar aansoo nahi aate...hamne dekha monami ko tumhari haalat dekh kar rote huye...aur ham jante hai tumne bhi dekha tha use rote huye

Karan- aisa kuch nahi hai faizi...usne abhi abhi apne maa baap khoye hai...uski puri life badal gayi...she was just overwhelmed i guess

Faizi smiles- tum kitna hi mana kar lo karan...par hamari baat yaad rakhna...monami aur tumhari jodi bohot acchi hai...hame pura vishwas hai ki tum dono ka rishta zaroor kamyaab hoga

Karan is in thoughts.

Faizi- kya soch rahe ho

Karan- yaar mujhe hamesha lagta tha ki ye jo ameer logo ke bacche hote hai they are all spoilt...arrogant lekin monami aisi bilkul bhi nahi hai...i mean tujhe pata hai monami ke father ke paas kitna paisa tha...jo ab monami ke naam par hai...uske papa ne uska future puri tarah se secure kiya hua hai...use kisi ke sahare ki zaroorat nahi hai...khaas kar financial support ki toh bilkul bhi nahi...agar monami puri zindagi kaam naa kare toh bhi use khud se ek chammach uthane ki bhi zaroorat nahi hai...itna paisa hai uske paas lekin monami ko fark hi nahi padta...usne apni duties resume kar di...agar vo chahti toh aaram se ghar par bhabhi ke sath reh sakti thi...par usne academy aana manzoor kiya...yaha vo training le rahi hai sirf isliye taki vo kisi bhi tarah se apne profession ke paas reh sake...vo itni acchi doctor hai lekin humble hai...bhaiya aur bhabhi ki kitni respect karti hai...baby ke sath khud bacchi ban jati hai...apne status ka dikhava nahi karti...jaisi vo siddharth ke sath hai vaise hi vo bala ke sath pesh aati hai...she is different...usne ameer logo ke baccho ke liye mera pura point of view hi badal diya

Faizi smiles- karan tumhe realise ho raha hai tumne abhi monami ki tareef ki...jis karan ko ham jante hai use impress karna impossible hai...aur monami ne kuch hi din me tumhare dil me jagah bana li...maan lo dost...dheere dheere hi sahi tumhe monami se pyaar ho raha hai

ZDMN FF:- JOURNEY TO LOVEWhere stories live. Discover now