Accident -2

481 42 5
                                    

The doctor came out
Karan: doctor...preeta kaisi hai.. woh thik toh hai na? Use kuch nahi hua hai na? Bataye na doctor..mai use mil sakta hun... aap kuch bol kyu nahi rahe ho doctor boliye na
Rishabh: karan shant ho jaa.. tu bolne dega tab hi bolenge na woh..tu hu bole jaa raha hai tabse
Karan: sorry doctor boliye
Doctor: ji.. woh...abhi bhi critical hai hume B + blood chahiye jaldi se jaldi
Shristi: doctor..mera same blood group hai..
Doc: chaliye
She went with the doctor
While all the family members were praying for her...karan was in tears looking at her through the glass

Karan was shown in the temple
Karan: bhagwan plz meri preeta ko thik kardijiye...mai uske bina nahi reh sakta..woh meri zindagi hai..meri dhadkan..woh nahi hogi toh mera dil dhadkega kaise...mai saans lunga kaise...plz use bacha lijiye..mujhe meri preeta wapas chahiye
Rakhi : use kuch nahi hoga putter..use tere liye apne pariwaar ke liye waps aana hoga.
Karan hugged her tearfully

After some time.. the doctor came out
Everyone looked at him hopefully..
Before anyone could ask him anything

Doctor: dekhiye aap log ke puchne se pehle mai Bata deta hun ki Mrs Luthra abhi khatre se Bahar hai.( everyone smiled)Aaj ke liye woh under observation rahegi kal discharge miljayehlga..abhi ek ek karke mil sakte hai.. unhe hosh aata hi hoga
Rishabh: thank you doctor

Rishabh: karan jaa tu Mille pehle
Karan(wiping his tears): nahi mai nahi...sarla maa aap jaiye
Sarla: nahi beta tum jao pehle..
Karan: nahi mai nahi jaunga usse milne...mujhe usse baat nahi karni...mai naraj hun usse
Rishabh: ye kya baat hui Karan...jaa milke a..itni kya naarajgi..abhi toh itna ro raha tha
Karan: kyuki pyaar karta hun usse...takleef mai nahi dekh sakta...aur isiliye hi gussa hun ki usne laaparvahi dikhayi dekhkar chal nahi saki aur baat uski jaan par aayi..mai nahi baat kar raha usse

Soon everybody met her except him...she was looking for him..

Preeta: karan kaha hai...woh kahi gaya hai kya?
Everyone looked at each other then her
Preeta: batao na..woh kaha hai...mujhse milne nahi aaya
Rishabh: woh preeta ji karan nahi aayega aapse milne..
Preeta(shocked): kyu? Kyu milne nahi aayega? Mai uski kuch nahi lagta kya?
Shrishti: woh di...jiju gussa hai aapse isiliye nahi ayenge...unko aapse baat nahi karni
Preeta: par gussa kyu hai woh
Sameer: woh isiliye kyuki aapne raste pe dhyaan nahi diya...laparvaahi ki aur aapne call mai bhi kuch kaha tha unse..isiliye
Preeta: are yaar...use bula mai mana lungi use Rishabh ji use bulaiye na..mana meri galti hai..par aisi saza nahi de sakta woh mujhe
Rishabh: ji bulata hun par woh aise nahi aayega
Preeta(thinks of something): toh use kahiyega ki mujhe kuch hogaya hai
They were shocked
Rishabh: kya nahi...woh bahot gussa karega..
Preeta : pata hai...par karna hoga yeh.. mai use mana lungi baad mai
Rishabh: thik hai phir

He calls karan
Karan: ha bol
Rishabh: tu jaldi hospital aa
Karan: kyu kya hua? Dekh tu agar mujhse preeta se milne bolega toh mai nahi aane wala
Rishabh: nahi...woh preeta ji ko ..
Karan: kya preeta ji ko kya? Bol...
Rishabh: woh unhe kuch ho gaya hai.
Karan: what? Kya hua hai usse?
Rishabh: pata nahi   doctor kuch bol nahi rahe hai abhi bhi...tu aaja jaldi
Karan: Haan mai aata hun..
They hung up..

Karan(tensely): phirse kya hua usse? Ye ladki kyu mujhe pareshan karti hai..hai bhagwan sab thik ho
.
On the other side
Rishabh: woh aaraha hai
Preeta: thank god.... par (fearly) ab woh aake bahot daantega.... hey bhagwan bacha Lena mujhe ....
She gulps
Shrismeer giggles
Shrishti: ab bhugtiye di.  Aisa idea aapka hi tha..
Hum chalte hai Bahar...aap rest kijiye and Haan di all the best...apke shaamat aaraha hai..
Preeta: chal ja... darati rehti hai jab dekho
They left
Preeta: plz Karan baksh dena apne zakhmi biwi ko..

To be continued..

Preeran Os Book Where stories live. Discover now