Akshara- mimi...problems kyo aayengi...vo log apna kaam karenge aur main mera...aur aap toh janti hi hai na ki mera kaam baaki sab se bilkul alag hai...vo log toh medical field se hai...aur main music world se...jab fields hi alag hai toh problem kaisi

Suhasini- ye ladki toh samajh hi nahi rahi...manish...tum hi samjhao ise

Manish- maa...ye sab baatein pehle hua karti thi...aaj kal ka zamana hi alag hai...hame apne baccho par yakeen karna chahiye...aur fir abhimanyu toh vaise bhi bohot samajhdaar hai...janta hai situations kaise sambhali jati hai...rishto ko samajhta hai...agar akshu se kahi kuch galti ho bhi gayi toh abhimanyu sambhal lega aur jaha abhimanyu ko zaroorat padegi vaha hamari akshu sab manage kar legi...ise hi toh pati patni ka rishta kehte hai

Akshara smiles hearing manish. She hugs manish.

Akshara smiles- thankyou bade papa

Manish smiles.

Suhasini- tum kuch bhi kaho manish...hame dar lagta hai...koi bhi aadmi apni patni ko apne se aage badta hua nahi dekh sakta...tum bhul gaye...kittu aur naira ke beech me bhi kaam ko lekar problems aayi thi

Swarna- maaji...vo problem kaam ko lekar nahi aayi thi...vo toh rishte me vishwas ki kami thi jo un dono ke sath aisa hua tha...par ye baat aap bhi acche se janti hai ki kartik ne kabhi bhi naira ko aage badhne se nahi roka...hamesha use support kiya hai...sirat ko bhi kartik ne kitna support kiya tha maaji...mujhe pura vishwas hai Abhimanyu bhi akshu ka sath aise hi nibhayega

All smiles.

Suhasini- bhagwan se yahi prarthana hai ki jaise tum keh rahe ho vaisa hi ho

Akshara hugs suhasini.

Next day

Akshara reached birla hospital for her interview. She was very nervous. She remembers anand and harsh's words during her engagement. Just then her phone beeps.

Akshara sees her mobile- abhi ka message (reads the message) all the very best akshu...i know u can do it...agar nervous ho toh acchi baat hai that means u are not over confident...trust yourself and just rock it...i am with u

Akshara smiles and sends a heart emoji. She takes a deep breath and then goes inside.

Akshara to reception- hello...main yaha music therapist ke interview ke liye aayi hu

Receptionist looks at akshara- mam aap...its so good to see u here...vaise toh interview board room me ho rahe hai par agar aap pehle abhimanyu sir se milna chahti hai toh....

Akshara interrupts- nahi aap please mujhe board room ka raasta bata dijiye

Receptionist nods- mam yaha se straight board room hai

Akshara nods- thankyou

Akshara goes to board room.

In board room

Akshara enters the room after asking for permission. She sees harsh abhimanyu and a man sitting there.

Akshara greets softly- hello sir

Abhimanyu feels happy to see her while Harshvardhan was surprised seeing her.

Harsh- please sit (looks at man) dr awasthi please take over the interview

Dr awasthi nods- so miss goenka...aap music therapist kabse banna chah rahi hai and why music therapist only...aaj kal music world me kaafi options hote hai

Akshara answers his questions politely and with a smile. Abhimanyu was proud hearing her while harsh was impressed.

Dr awasthi- ok...done from my side...mr birla u may proceed

ABHIRA:- ARRANGED TO LOVEWhere stories live. Discover now