Bhagam Bhag 😮

79 12 2
                                    


At Living Hall
Ishqi was sitting at the middle of sofa and malhotras infront her on the another sofa.. everyone was confused about whats going on except veer
A – dad.. ab aap aise hi shaant rahenge ya batayenge bhi ki hum sabko yaha kyu bulaya hai ?
V – maine ek bahut bada faisla liya hai
S – veer.. ab bataiye bhi.. aur ye ladki kaun hai ?
K – offo bade papa.. itna suspense bhi mat rakho
V – thoda sabar karo.. bata raha hu.. ye ishqi hai.. manish ko toh tum jaante hi ho
Dadi – vo tera dushman
V – ha.. ye uski beti hai
I – sorry to interupt you.. mujhe bas ye kehna hai ki main unki beti naam ke liye hu.. kyuki na vo mujhe beti maante hai na main unhe papa.. uncle continue
V – hume laga ki ishqi ko kidnap karke hum manish ko dhamka sakte hai lekin fir hume pata chala ki manish ko uski fikr nahi hai.. ulta usne ye kaha ki accha hua humne isse yaha rakh liya.. main vapis ishqi ko uss manish ke yaha nahi bhej sakta.. jis ghar me uski koi value nahi uss ghar me vo nahi jaa sakti.. so maine decide kiya hai ki ishqi aajse humare saath rahegi.. vo bhi iss ghar ki bahu banke
I – what!?
K – hain!?
A – kya!?
V – main chahta hu ishqi meri bahu bane..
A – dad.. aap kya keh rahe hai.. main iss ladki se shaadi.. never ever
K – never say never
A – shut up kartik
I – uncle main iss chimpanzee se shaadi nahi karungi.. apka koi aur beta hai toh bata dijiye.. koi handsome, good looking, happy go lucky.. iss khadus ke saath shaadi.. no ways
V – ishqi beta.. ahaan bahut accha ladka hai..
A – lekin dad isse shaadi karna hi option nahi hai.. isse hum kahi bhej sakte hai.. hum isse rehne ke liye alag jagah de dete hai.. aur issi jitne bhi paiso ki zaroorat hogi hum de denge
V – baat ishqi ki izzat ki bhi hai.. ek ladki kidnap hui thi.. kisne kidnap kiya.. vaha uske saath kisine kuch.. aise sawal log puchte hai..
I – lekin uncle iski age toh mujhse bhi bahut hogi.. I know.. 35 ya 40 toh hoga
A – excuse me.. I am 30..
I – shakal se toh buddha lagta hai
A – you
V – kya galat keh rahi hai vo… teri umar badhti ja rahi hai.. ab teri shaadi hoke rahegi
A – noooo
V – main tujhse puch nahi raha hu.. bata raha hu.. teri aur ishqi ki shaadi kal hi hogi
I – kal.. itni jaldi
K – yayy.. kal mere bhai ki shaadi hai.. kal mere bhai ki shaadi hai (he sang)
A – tu mujhse akele me mil kartik.. phir batata hu tujhe
V – main ek baar manish ko ye baat bata deta hu
I – rehne dijiye uncle.. unhe call karke apne paise kyu waste kar rahe hai.. vaise bhi unhe farak padne wala hai nahi..
V – lekin ishqi.. ye meri zimedari hai ki tumhare ghar walo ko pata ho tumhare zindagi ke itne bade decision ke baare me.. at least to your mother
I – (she started laughing)
V – tum has kyu rahi ho
I – uncle.. mere papa aur maa dono ko meri kuch padi nahi hai.. ha.. bas meri dadi ko meri fikr hoti hai.. unhe batana chahiye.. vo hi meri sab kuch hai..
V – ok (he called manish)(the call was on speaker) hello manish.. maine decide kiya hai ki main ishqi ki shaadi apne bete ahaan ke saath karrwa raha hu
Manish – tumhe jo karna hai karo.. but ek problem hai.. ishqi 18 years ki nahi hai
V – kya.. ishqi beta tumhari age kya hai
I – unse kahiye dadi se baat kariye
Manish – tumhari dadi yahi hai.. (to ishqi’s dadi) maa.. ishqi 18 years ki nahi hai na
Ishqi’s dadi – (she slapped him) ishqi abhi 21 saal ki bhi ho chuki hai.. itne saal tak bichari bacchi ka ek birthday tum logo ko yaad nahi tha.. pichle hafte uska birthday tha tab vo 21 saal ki ho gayi.. aur tu puch raha hai ki vo 18 saal ki hai ya nahi.. sharam kar..
Manish – (to veer) vo 21 saal ki hai
V – perfect.. (he ended the call) shaadi ki tayariya karne lag jaav.. kal shaadi hogi..
A – but dad
V – and this is the final decision
A – fine..
At Midnight
Ishqi who was fake sleeping got up from the bed..
I – ab sab so rahe honge.. yahi sahi time hai.. bhaag ja ishqi.. (she slowly opened the door and looked here and there.. when she got confirmed that no one is there she stepped out of the room.. when she took some steps forward someone came infront of her.. the person was Farhad) tum
F – bhabhi.. kuch chahiye.. itni raat ko aap room se bahar aa rahi hai..
I – pehle batav.. tum mere room ke bahar kya kar rahe the..
F – ahaan bhaiya aur veer sir ka order hai.. apke room ke bahar khade rehne ko kaha tha unhone
I – ohh.. toh suno mujhe paani chahiye
F – bhabhi.. apka jug poora bhar diya tha
I – jyada hoshiyaar mat bano.. mujhe chilled water accha lagta hai.. jaav jaake leke aao..
F – nahi bhabhi.. agar thanda paani peene se apki tabiyat kharab hui toh kal shaadi cancel karni padegi so aaj ke ek din ke liye normal water se kaam chalaiye..
I – fine (she returned to her room and slammed the door) what the hell ! ye farhad ka baccha toh mere peeche shani ki tarh pada hai.. ab kaise bahar jaungi.. (an idea popped into her mind) idea! (she looked outside the window.. she saw some guards there standing..) arey yaar.. yaha pe toh guards hai.. ab inse kaise bachu.. ughhh.. kuch soch ishu.. tujhe yaha se nikalke sidha chandigarh ki train pakadke jasmeet (her childhood bestfriend) ke paas jaana hoga.. vahi ek hai jo mujhe rehne ke liye jagah de sakti hai.. par inn bodyguards se kaise niptu.. (she was thinking to how to deal with bodyguards.. while thinking she was playing with her locket.. she looked at the locket and she got an idea) yesss.. ishu tu toh badi smart hai.. (she removed her locket and threw it out of the window.. then she again came out of room)
F – bhabhi.. ab kya chahiye apko ?
I – mujhe neend nahi aa rahi thi toh main window ke paas bethke chaand ko dekh rahi thi aur pata nahi kab mera locket mere haath me aa gaya aur vo haath se chhoot bhi gaya.. vo locket mere liye bahut special hai.. plz meri help karo wo dhundne me.. plzzzz
F – thik hai.. chaliye
I – thank you (both came outside)(to the two guards) suno tum log bhi mera locket dhundo.. malhotras ki to be bahu hu main.. tum logo ki bhabhi.. Mrs. Ahaan Veer Malhotra banane wali hu main.. so its my order..
The guards – ji bhabhi (they also started finding the locket.. in that time ishqi took some soil from the ground..)
F – bhabhi mil gaya locket..
I – (she turned to him) thank you farhad.. thank you so much.. (then she threw the soil in farhad and guard’s eyes.. she quickly took one of guard’s gun and kept it on farhad’s head) apna wallet nikal jaldi..
F – (as he didn’t had any option he gave her the wallet)
I – (she took it and then ran from there)
After Few Minutes
Farhad went to ahaan’s room and banged the door.. ahaan opened it
A – (he yawned) kya hai farhad.. raat ke 12:30 baj rahe hai.. tu meri neend kyu kharab kar raha hai
Farhad – bhaiya vo.. bhabhi bhaag gayi
A – what!?... pehle to voh teri Bhabhi nahi hai.. samjha.. tera dhyaan kaha tha
Farhad – main apko badme samjhata hu.. hume pehle Bhabhi ko dhundna padega
A – ek kaam kar.. humare aadmiyo ko bula
Farhad – ji
Ahaan And His Men Were Outside The House And Ahaan Was Telling Them Something
A – ishqi bahut shaatir ladki hai.. isliye sirf airport nahi.. railway.. bus.. har jagah jaao.. main aur farhad railway station ja rahe hai.. aur baaki tum me se kuch airport jaao aur kuch bus stand.. ok.. chal farhad..
Farhad – ji bhaiya
With Ishqi
I – proud of you ishqi.. uss farhad ke aakho me mitti phek kar aa gayi.. ab ye train aa jaye bas.. tab tak paani pi leti hu.. uss farhad ki vajah se mujhe Thanda paani tak peene nahi mila.. (she went to a shop and bought a bottle of water.. she was drinking water but just then she felt someone’s hand on her shoulder and was shocked to see ahaan there)
A – hi
I – (in mind – ye yaha kaise aa gaya) dekho.. tumhe shaadi nahi karni.. mujhe shaadi nahi karni.. toh plz mujhe bhaagne do
A – sorry lekin papa ki vajah se mujhe tumhe firse leke jaana padega
I – nooo
A – ab chal rahi ho ya uthake leke jaau
I – jaroorat nahi hai..
A – good
Soon they reached to MM
A – ishqi.. ab bas kuch der baaki hai.. phir humari shaadi ho jayegi so plz bhaagna mat.. already neend kharab kar rakhi hai tumne.. by the way tumhare mu pe sadness ka s bhi nazar nahi aa raha
I – kyuki mere dimaag me ek khichadi pak rahi hai..
A – kya
I – room me chalke baat karte hai.. yaha koi sunn lega
Both went to his room.. ahaan locked the door
I – nice room.. itna clean.. woahh.. vaise kya baat karni hai
A – humari shaadi ho rahi hai aur tum itni cool kaise ho sakti ho
I – tumhari tarh chidane se kuch hone wala hai kya.. nahi na..
A – ishqi ye humare zindagi ka sawal hai..
I – shaant vatsa.. shaant.. I have an idea
A – kya
I – hum shaadi karenge but only for some days…
A – you mean contract marriage
I – yes
A – but humara divorce kaise hoga.. dad bilkul nahi manenge..
I – poori baat sunoge.. ishqi jab kuch decide karti hai na soch samajh ke decide karti hai.. hum itna jhagdenge.. itna jhagdenge.. itna jhagdenge ki vo khud hi pareshaan hoke keh denge ki divorce lelo.. simple
A – idea accha hai
I – I know.. ab mujhe bahut neend aa rahi hai.. kal shaadi hai meri.. tum chahe bandar jaise dikho I don’t care par mujhe sundar dikhna hai.. good night.. (she left)
A – ajeeb ladki hai
Next Day.. Their Wedding Was Done
Precap – Day Out

My Crazy Wife 2 🤪Where stories live. Discover now