Manish- haa aur vaise bhi akshu ki marzi ke bina ham kaunsa uski shadi karwayenge

Kairav- lekin bade papa...

Manish interrupts- dekho beta...shadi ki umar toh ho gayi hai tum sabki...vansh shadi karna nahi chahta...tum tab tak shadi nahi karoge jab tak akshu aur aru settle nahi ho jati...arohi ki abhi internship shuru hui hai...uska pehla focus uska career hai...toh bachi akshu

Swarna- haa aur vaise bhi...akshu aur aru me toh pehle shadi akshu ki hi honi hai...aakhir badi hai vo

Suhasini- aur vaise bhi...akshu hamari baat kabhi nahi taalegi...ham baat karenge usse

Kairav- main aap sabke emotions samajh raha hu lekin akshu ko agar pata chala ki aap sab uski shadi ki planning kar rahe ho...vo bhi uske mana karne ke bavjood toh use bohot bura lagega

Vansh- haa par kairav...agar ye rishta sach me accha hai toh baat karne me burai kya hai...kaunsa ham akshu ki marzi ke khilaaf kuch hone denge (looks at all) rishta kiska hai

Swarna- doctor abhimanyu birla ka

Kairav- udaipur ka best heart surgeon

Swarna nods- meri uski maa...Manjiri ji se baat hui...unhone hi bataya ki aaj jisne akshu ko treat kiya tha vo abhimanyu hi tha aur use pehli nazar me hamari akshu pasand aa gayi...aur jab un logo ne abhimanyu se baat ki toh usne rishte ke liye hi haa kar diya

Kairav- aap sabko sach me lagta hai ki abhimanyu akshu ke liye sahi hai...jaha tak maine suna hai abhimanyu ko bohot jaldi gussa aata hai...aur jab bhi aata hai bohot tez aata hai...gusse me vo kiske samne kya kehta hai...use koi parvah nahi hoti...aur aap sab akshu ko aise insaan ke sath...akshu kaise rahegi aise insaan ke sath zindagi bhar...puri zindagi bas uska gussa hi sehti rahegi

Swarna- kairav main samajhti hu tum akshu ke liye pareshan ho...par beta tum abhimanyu ke baare me sirf ek negative cheez jante ho...iske alawa tumne kabhi bhi abhimanyu ke khilaaf kuch suna hai...vo bura insaan hai...ya koi aur buri aadat hai usme...tum ek negative quality ke bharose baaki ki acchi qualities ko ignore nahi kar sakte

Kairav sighs- par badi mumma....(he stops as he sees akshara and arohi standing behind)

Others too turn and see them. They get tensed. Kairav goes near akshara and cups her face.

Kairav softly- akshu...bacche...dekh tu tension mat le...jaisa tu chahegi vaisa hi hoga...tu nahi milna chahti...mat mil usse...koi baat nahi

Manish chides kairav and makes akshara look at him- chup karo tum kairav...akshu...dekho beta...marzi tumhari hogi...par ham sab bhi galat nahi hai...tumne kaha shadi nahi karni...koi baat nahi...hamne maana...par agar hamare paas ek aisa rishta hai jo bohot accha hai...toh baat karne me burai kya hai...aisa toh hai nahi ki tumhe shadi se koi dikkat hai

Suhasini makes her look at him- haa akshu...tumhe yaad hai jis doctor ne aaj hospital me hamari madad ki thi...are vahi jo tum par gir pada tha (akshara lowers her head) usi ka rishta aaya hai...use tum pasand aa gayi ho...usne toh shadi ke liye bhi haa kar di hai...ab bas tum haa kar do toh ham tilak ke baare me tay kar lenge

Akshara gets nervous hearing her.

Swarna- akshu bolo beta...tumhe agar waqt chahiye toh le lo...agar tum ek baar abhimanyu se milna chahti ho toh batao...hame usse bhi koi dikkat nahi hai

Akshara remembers abhimanyu falling on her. She hasn't seen his face but she did felt an instant connection with him. She remembers how calmly he treated her.

Akshara looks at swarna and speaks slowly- mujhe ye rishta manzoor hai badi mumma...baaki jaisa aap chahe

Saying this akshara runs in her room. All were surprised and get happy except kairav and arohi. Kairav because he was worried about akshara and arohi because she thought that abhimanyu was meant to be hers. Others celebrate akshara's yes.

Suhasini- swarna...tum sabse pehle ye khabar manjiri ji ko do...aur unse tilak ke liye bhi puch lo...ham muhurat nikate hai

They all disperse.

Next morning

Abhimanyu was ready and was leaving for hospital when manjiri stopped him.

Manjiri- abhi...naashta kar ke ja

Abhimanyu- maa main late ho jaunga

Manjiri- mujhe fark nahi padta...baith...hospital me toh vaise bhi tujhe khane pine ka hosh nahi rehta...kam se kam ghar par se toh thik se kha kar ja

Manjiri drags abhimanyu and makes him sit. She serves him. Abhimanyu whines but eats. All smile seeing him.

Mahima teases abhimanyu- manjiri...tum chinta mat karo...ab bas kuch din ki baat hai...fir toh vaise bhi koi aur hi abhimanyu ke khane peene ka tension legi

Manjiri smiles- bilkul sahi kaha aapne didi...thak gayi hu main is ladke ko sambhalte sambhalte

Manjiri messes abhimanyu's hair. Abhimanyu gets irritated.

Abhimanyu sets his hair back- maa...mere baal nahi

Parth- are kitna gussa karta hai...bechari akshara...jhelegi kaise puri zindagi ise

All laugh. Abhimanyu is surprised. He looks at manjiri.

Abhimanyu- usne haa kar diya

Manjiri- haa...aur vaise bhi mere bete ko mana kaun karega

Abhimanyu gets confused- bina mujhse mile hi haa kar di

Manjiri- kuch kaha tune

Abhimanyu realises- nahi...main hospital ja raha hu...meri ek surgery hai

Manjiri teases him- tu jitna bhi bhaag le...hamse nahi bachega

Abhimanyu smiles- maa meri sach me surgery hai...main aata hu

Abhimanyu leaves smiling. Others can see that he is happy but isn't showing.

ABHIRA:- ARRANGED TO LOVEDonde viven las historias. Descúbrelo ahora